Dil_Will_Pyaar_Vyaar

By Being101Indian

32.5K 1.5K 862

[COMPLETED] Kavin Khanna, unlike his Friend Dushyant Hemraj doesn't believe in love. They come to CID Mumbai... More

Dil Ki Baatein ❤
Dil Ki Baatein ❤ #2
Dusri Sagaai
Suleh
Note
Gussa
Dushyant's confession
Dushyant's accident
Care
Flashback
Realisation
Broken Heart
Mission
Senorita a culprit?
Kavin speaks
Purvi not the same anymore?
Realisation #2
Writer's Note
The End?

Hand Of Help

1.7K 91 29
By Being101Indian

Heyy Guys!! No I am not publishing before completion of Target. I just gave that target, because I was not sure if I may get a nice internet here. Anyways..let's get back to our story. 

Kahani ab tak : Ishita ki sagaai tay hui hai. Dushyant ko apne pyaar ka ehsaas hota hai. Purvi madad karne aati hai to Kavin uspe chillata hai.


Ab aage:

Purvi – Ab bhi bohot kuch ho sakta hai sir.

Kavin (hiding Dushyant) – Purvi tum? Kya? Kya ho sakta hai? Aur tum kya chup chup ke humari baatein sun rahi thi? I never expected this from YOU! PURVI... This is DISGUSTING! Kisi aur ki baatein chup chup ke nahi sunni chahiye, uski ijajat ke bina nahi sunni chahiye. Itne manners nahi sikhai hai maa-baap ne?

Dushyant (rubbing his eyes) – Kavin..Kya bol raha hai? Limit me reh..

Purvi (with anger in her eyes, but controlling her emotions) – Nahi sir..mai aapki baate sunne nahi par jo file aap study karne nikle wo meri desk par thi. Mujhe laga aapko dedu. Isliye yaha aai thi.

Purvi gives the file to Kavin and leaves..but then..

Dushyant (with a fake smile on his face) – Ruko Purvi.Pehle to Kavin ki aur se mai Sorry bolta hu. Aur.. Mujhe nahi pata tumne kya suna. Aur tumne mujhe shayad judge bhi kiya ho. Jo kuch ho. Ye baat hum teeno ke beech hi rehni chahiye. Aur aage se hum teeno is baat ko bhul jayege. Okay?

Purvi – Dushyant sir aap..

Kavin – Purvi tumne suna nahi Dushyant ne kya kaha? Either say yes or leave!

Dushyant – Kavin. Please shaant ho ja... Purvi?

Purvi – Sir please aap meri baat sunege?

Dushyant sees Kavin and nods his head in yes

Purvi – Sir..sagaai ko ab bhi 20 din hai.

Dushyant – To?

Purvi – Sir mujhe nahi lagta ki Ishita is sagaai se khush hai.

Kavin – Matlab?

Purvi ignores him and talks with Dushyant

Purvi – Sir..mai jitna Ishita ko jaanti hu..wo arrange marriages me believe nahi karti. Use humesha se love marriage karni thi. Ek insaan jise wo khud se jyada jaanti hai. Jo uski kaabiliyat par apne aap se jyada wishwash karta hai. Jo uske decisions me uska support karta ho. She always waited for that one sir. Shayad usne mamaji ke pressure me ha kaha hai.

Dushyant – Par jo bhi ho. Uski sagaai to ho rahi hai na?

Purvi – Par sir..kya wo khush rahegi? Is duty se dur jake..aapse dur jaake?

Kavin (with a glow of happiness in his eyes) – Do you mean ki

Purvi (ignoring Kavin again) – Sir..mujhe confirm to pata nahi hai..par shayad Ishita bhi..

Dushyant (with hopes) – Purvi agar aisa hai to usne ab tak bataya kyu nahi?

Purvi – Sir aapne kyu nahi bataya?

Dushyant – Kyuki..mujhe...

Purvi – Abhi abhi realise hua? Shayad use abhitak realise hi nahi hua hai. Sir agar uske aankho me maine Khushi dekhi hoti to mai aapki help karne nahi aati. Mai bhul bhi jaati hum teeno ke beech ki ye baat. Par she's sad sir. Iska matlab hai ki uske dil me koi aur hai..aur shayad use pata nahi. Ekbaar sagaai ho gayi to koi kuch nahi kar payega.

Kavin – Sahi keh rahi hai Purvi. Agar aisi baat hai to Dushyant..hume ye chance nahi gawana chahiye. Pehle ladki ke dil ki sunege aur uske baad ladki ke maamaji ko samjhayege. Kyu sahi hai na Purvi?

Purvi (ignoring Kavin again) – Ladki ka thik hai Dushyant sir..par Mamaji ka thoda problem ho sakta hai.

Kavin – Are bhai thik hai na..har ek pita chahta hai apni beti acche ghar me jaaye. Jaha uska pati uski acche se dekhbhal kare. Samjha lenge mamaji ko..

Purvi – Dushyant sir..Ishita ke mamaji ko manana jitna aasan hai utna hi mushkil.

Dushyant – Kyu?

Purvi – Wo actually..

Just then..

.

.

.

.

.

.

.

.

Shreya – Tu yaha hai Purvi! Kaha kaha nahi dhoondha maine tujhe..

Purvi ( with a shock) – T..Tu yaha kya kar rahi hai?

Shreya – Are mai tujhe dhoondh rahi thi. ACP sir aa gaye hai. Humse urgent baat karna chahte hai. 10 minute me Taskari ki file leke aa ja agar study ho gayi ho to. Sir..aap dono ko bhi bulaya hai.

Kavin – Ha hum aate hai 10 minute me.

Shreya leaves.

2 minutes later, when everything is clear.

Purvi – Sir shayad koi case aaya hai. Hume cases ka bhi dekhna hoga. Cases solve karte karte kahi hum humare is mission ko na bhul jaaye.

Dushyant – Ha Purvi sahi kaha

Purvi –Hmm...

After sometime, they come out.

ACP – Aa gaye sab log? Okay..so aaj mai DCP se baat karne gaya tha. Sheher me Taskari ke cases badhte jaa rahe hai. Kahi ladkiyon ki, kahi drugs ki, kahi hathiyaaro ki,..to mai DCP se baat karne gaya. Aage ke 20 din..baki sari cases cancel.Hum log sirf ek hi case handle karege. Taskari ka. Humare saath department ke higher officials bhi incognito rehkar help karege. Daya aur Ishita ki sagaai ke din jashn hoga. Warna dono apni sagaai cancel kar do. Samjhe sab?

Everyone – Yes sir!

ACP – Hum 2 teams bana rahe hai. 1 meri aur 1 Abhijeet ki. Mere team me mujhe Ishita, Daya, Pankaj, Tarika, Dushyant aur Sachin chahiye. Abhijeet ki team me Fredicks, Kavin,Purvi, Shreya, Kajal aur Salunke chahiye. Kal se agle 20 din ek hi focus is Taskari ke main ko pakadna. Aur uske baad hi sagaai ka function hoga. Is that clear?

Everyone – Yes sir!

ACP – Subah se le kar Shaam tak hum sare saboot ikhatta karege. Aur shaam ko discussion aur planning hogi. Chalo sab log. Ghar jao. Aaram karo.

Everyone leaves. In the parking area. Dushyant and Kavin are talking. Dushyant sees Purvi going towards her car.

Dushyant – Are Purvi! Yaha aao na please.

Purvi (sees both side that everything is clear) – Ji sir?

Dushyant – Pehle to..Kavin ki aur se I am really sorry.

Purvi – Sir jisko sorry feel karna chahiye uske muh pe taala hai. Aap please kisi aur ki galti ka bojh mat lijiye.

Kavin glares at Purvi

Dushyant – Kavin ya to Sorry bol ya phir chup reh. Apni galti maan li to pahad nahi tutega.

Kavin stays quiet.

Dushyant gives an angry look to Kavin.

Dushyant – Purvi, aaj raat 10 baje video conference kare?

Purvi – Haa sir. Chalega. Saare kaam nipta ke mai ready rahungi.

Dushyant smiles seeing Purvi.

Dushyant – Purvi..mujhe aajtak ek choti behen na hone ki kami mehsoos ho rahi thi. Aaj tumse itni saari baatein kar ke aisa lag raha hai, wo kami bhi puri ho gayi.

Purvi has tears in her eyes – Sir....?

Dushyant – So aajse tum meri choti. Okay na?

Purvi (with moist eyes. Khushi ke aasu, you know?) – Yes sir..

And they both share a hug...








Okaayyy..so guys the chapter's over.

Thank you for the patience and the love you showered. 

I will be consistent from now on. 

Do share the story with all #KaVi fans. 

Tell me about the areas of improvisation.

Target for next part - Aap apni marzi se agle 5 din jitne votes dena chahe. I will accept wholeheartedly..

Till then

Stay Home Stay Safe

Namaste

Continue Reading

You'll Also Like

39.8K 2.2K 30
Love story of Kavi and Ishyant...peep in to know more....
2.8K 167 14
One Sided love story of Purvi.
10.7K 652 16
kya do logo k beech dosti ka rishta bn skta hai. nhi bn skta toh us rishte ko aap kya naam do gye. .........
7.8K 236 5
Nothing special to say. Just a short Kavi Story. Take a look inside and enjoy!