Divya Drishti

By tithi1278

13.1K 726 256

It's a story about 2 sisters that get Sepearted at the age of 5.. And after they are together, then are on th... More

Cast introduction
Chapter 1
Chapter 2
Chapter 4
Chapter 5
Chapter 6
Chapter 7
Chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29

Chapter 3

613 31 5
By tithi1278

Subha ke 9 baje hai....
Aur Divya abhi tak soi hai..
Garima uske room mei aati hai..

Garima- Divya, chalo utho..
9 baj rahe hai...

Garima parde khol rahi hai aur Divya ke muh pe roshni aa rahi hai..

Divya- Mumma pls parde band karo. Bohot neend aa rahi hai..

Garima- Aree meri sleeping beauty uthna..

Divya- Aap mujhe nhi sone dogi na??

Garima- (Haste hue) Nhi

Divya- (haste hue) toh mei nhi sougi

Garima- (haste hue) That's my girl!!
Chal jaldi uth.. Nah dhoke tujhe grocery lene jaana hai..

Divya- Okay Mother India..

Garima- chal pagli..

Drishti kitchen mei kaam kar rahi hai aur parminder aati hai..

Parminder- Chai bani?

Drishti- Nhi chachi, abhi bana deti hu..

Parminder- Kuch kaam ki nhi hai yeh ladki...

Aur parminder kitchen ke bahar jaati hai.. Aur romi kitchen mei aata hai..

Romi- Good morning di..

Drishti- Good morning Romi..

Romi- Meine suna kaise mummy aapko daat rahi thi..
Aap pls unki baaton ka bura mat manna.. Aapko pata hai na woh kaisi hai..

Drishti- Ha romi..
Accha chal mujhe naashta bahar le jane mei help kar..

Drishti aur romi nashta dining table par rakhte hai...
Drishti sabki plates tayar karti hai aur sabh aake beith jaate hai..

Amarpreet- Aaj kya banaya bhai??
Khusbu badi acchi aa rahi hai..

Drishti- (Haste hue) Aaj meine Upma banaya hai..

Amarpreet- wahh.. Aaj toh maza aayga..

Parminder- Drishti agar yeh upma accha nhi raha na toh mei tera bohot bura haal karugi...

Drishti- Zarurat nhi padegi chachi.. Aap khake toh dekhiye..

Sabh khate hai aur sabko bohot pasand aata hai.. Sabka khana hojata hai aur drishti plates dhone ke liye rakhti hai..

Drishti- Abh mei padhai karne jaugi..

Meanwhile divya fresh hoke garima ke paas jaati hai..

Divya- Hi mumma, mei ready hu..
Mujhe kya kya lana hai uski list de do..

Garima- Hi beta, haa deti hu rukh..

Garima drawer mei se list aur paise nikalti hai..

Garima- Yeh le. Aur sunn.. Pls koi jadu mat karna.. Tu khudko Bohot badi musibat mei dal degi..

Divya- Ha mumma, just chill.. Mei koi jaadu nhi karugi.. Abh bye.. Mei jaldi jaake jaldi aati hu..

Garima- Haa beta, byee...

Divya sabh grocery leke ghar aa jati hai aur sofa pe beith jaati hai.. Woh bohot thak gayi thi..

Garima- Aree beta aagaya..

Divya- ha mumma, bohot thak gayi hu..

Garima- Mujhe pata tha ki tuh bohot thak jaigi isliye meine tere liye orange juice ready rakha hai...

Divya- Thnx maa.. Aap mera kitna khyaal rakhti ho..

Garima- Abh beti ko maa ko thnx kabse bolna pada??

Garima fridge mei se orange juice leke aati hai aur Divya ko deti hai..

Divya- Thnx maa..

Garima- Welcome beta...

Divya TV dekte dekhte aapna juice khatam kar leti hai aur uski aankh lag jati hai..

Meanwhile, drishti ki padhai ho jati hai aur drishti soch rahi hai ki aaj parminder chachi ne usko padhte waqt disturb kaise nhi kiya.. Aur tabhi hi parminder usko bulati hai..

Parminder- (chillate hue) Drishti!!!!!!
Jaldi kitchen mei aa..

Drishti- Haa chachi, abhi aayi..

Drishti kitchen mei jaati hai..

Drishti- Haa chachi, kya hua??

Parminder- Abh tak yeh plates kyu nhi dhoye??

Drishti- Chachi mei padhai kar rahi thi..

Parminder- (Ghusse mei) Ek baar tu kan kholke sunle drishti!!!
Yeh ghar mei sabse pehle kaam khatam karna hai aur fir padhai..
Samjhi??

Drishti- Ji chachi..

Drishti ke plates dhoke ho jaate hai...
Aur usko abhi yaad aata hai ki aaj shaam 7:30 baje usko stall pe jaana hai.. Aur abhi 6 baj rahe hai..

Drishti- Chalo mere paas 1 ghanta 30 min hai... Jaldi se tayaar ho jati hu..

Drishti apne room mei jaane wali hoti hai but woh ruk jaati hai..
Kyuki usko yaad aaya ki aaj purnamasi ki raat hai..

Drishti- Divi kaha hai tu?
Kaisi hai tu?
Kiske saath hai tu??
Mere mann mei kitne saare sawal hai..
Bohot yaad aa rahi hai teri divi... Pls aaj ki purnamasi ki raat ko mil jaa muje..

Aur fir drishti apne room mei chali jaati hai..

Meanwhile, Divya uth jati hai.. Aur usko uski ek friend ka call aata hai.. Friend ka naam hai nishi..

Nishi- D, Tu mele mei aa rahi hai?
Aaj waha pe stalls lage hai..

Divya- Mera mann nhi hai yaar..

Nishi- D, chalna..
Aur aaj toh purnamasi ki raat hai..
Teri mumma hi kehti thi na..
"Joh khoye hai woh mil jayge ussi chandi raat mei"

Garima aa jati hai, par woh Divya ki baat sun rahi hai...

Divya- Haa mujhe yeh sabh yaad hai..
Par koi fayda nhi hai..
Mei 18 saal se har Puranmasi ki raat ko bahar jaati hum. Yaha waha jaati hu.. Hope ke saath ki haa, aaj di mil jaygi..
Aur jabh di nhi milti hai tabh, mera hope tut jaata hai.. Mera mann udas ho jaata hai.. Isliye mei nhi aa rahi hu..

Nishi- Ok, bye..

Divya- Bye!!

Divya ke phone rakhne ke baad garima uske paas jaake beith jati hai..

Garima- D, meine sabh baatein suni..
Beta tum hope kyu chod rahi ho?
Kya pata tumhari di tumhe aaj mil jaye??
Jao beta... Nishi ko bolo ki tum aa rahi hai...

Divya- Shayad aap sahi keh rahi hai maa, mei abhi nishi ko phone karti hu..

Garima- Good..

Garima sofa se uthke apne room mei chali jaati hai aur Divya nishi ko phone lagati hai..

Divya- Hi nishi, mei mele mei aa rahi hu..
Mujhe pick up karo..

Nishi- Yay!!! Ok D.. I will be there in 15 mins...

Divya- Kk...

Divya jaake ready ho jati hai, nishi aur divya mele mei poch jaate hai..

Meanwhile, drishti ka stall lag jata hai..
Usne scarf ka stall khola hai..

Drishti- Aaj purnamasi ki raat hai divi..
Mei tujhe 18 saal se dhund rahi hu.. Aaj tak nhi mili..
Pls aaj mujhe mil jaa..

Divya ko scarf kharidna hota hai toh woh drishti ke stall pe jaati hai..

Divya ko yeh scarf pasand aata hai..

Divya- Mujhe yeh scarf chahiye..
Kitne ka hai??

Drishti- 300

Divya- Kya?
Tum kis baat ke itne paise le rahi ho?
Yaha pe acc nhi hai mall wali feeling bhi nhi aati..

Drishti- Yaha se bahar jao.. 5 min mei mall aa jayga..waha pe aagayi tumko mall wali feeling.. Aur mall mei mall wala price hoga..

Divya- It's fine.. Mei yeh kharid lugi..

Drishti- Good.. Toh do ₹300..

Divya- Yeh lo..

Jabh Divya paise deti hai tabh Divya aur drishti ke haath touch hote hai aur woh log 1 min ke liye aise hi khade rehte hai..
Background mei Channa ve gaana baj raha hai.. Fir drishti bolti hai..

Drishti- Thnx..

Divya ko yeh bhi scarf chahiye..

Divya- Accha mujhe yeh wala scarf bhi chahiye.... Kitna ka hai?

Drishti- Same rate.. ₹300..

Divya- meine 2 scarf liye hai.. Discount toh banta hai..

Drishti- Nhi koi discount nhi milega.. Lena hai toh lo ya rakh do..

Divya- Fine, mujhe nhi chaiye..

Drishti ke haath se ek scarf gir jaata hai toh woh jhukti hai woh scarf lene ke liye aur utni hi der mei Divya jadu karti hai aur woh scarf apne bag mei rakh deti hai..

Meanwhile Pisachini ko khabar milti hai ki dono Chuhiyon mei se koi ek waha jaane wala hai toh woh bhi woh mele mei jaati hai....

Pisachini- Chuhiya aise nhi milegi.. Mujhe kuch karna hoga jisse woh apna jaadu kar sake aur mei usko pakad saku..
Haa, mei toofan lati hu..

Aur fir pisachini tofaan lati hai..
Sabh idhar udhar bhagte hai..
Divya aur drishti bhi..
Chalte samay Divya aur drishti ka haath wapas se touch hota hai aur Divya ka haath chamakta hai..

Divya- Mera haath chamak raha hai..
Aur mera haath tabhi hi chamakta hai jabh di aur mera haath touch hota hai..
Di.. Di.. Kya woh aap thi??

Aur Divya drishti mele ke bahar jaate hai.. Dono ghar jaane ke liye rickshaw
Dhund rahe hai..
Aur waha pe ek rickshaw aati hai.. Woh rickshaw guruji ka bhakt chala raha hai..
Guruji ne unko sabh jaadu sikhaya..
Divya aur drishti dono ek saath woh rickshaw mei beith te hai..

Divya- Tum??

Drishti- Tum??

Divya- Mei pehle aayi, tum utro..

Drishti- Oh hello.. Mei pehle aayi... Tum utro..

Guruji (Rickshaw chalane wale) -Mei tum dono ko ghar chod duga..
Aur guruji Divya ko pehle drop karte hai aur fir drishti ko..

Drishti- Thank you bhaiya.. Yeh ligiye paise..

Guruji- Nhi beta.. Nhi chahiye..

Drishti- Aapne woh ladki se bhi liye.. Aapko mere se bhi lena padega...

Gurujii- Thik hai beta..

Fir drishti gurujii ko paise deke chali jaati hai..
Guruji romi ko phone lagata hai..

Romi- Guruji kya hogaya??

Guruji- ( Ghabrate hue) Joh nhi hona chahiye woh hogaya...

Romi- Mei samjha nhi...

Guruji- Drishti ki behen Divya issi seher mei hai..

Romi- Kya??
Yeh toh bohot acchi khabar hai...
Mei abhi di ko batata hu..

Guruji- Nhii... Woh dono ek saath nhi aa sakte... Pisachini unko dhund legi..

Romi- Koun pisachini?

Guruji- Mere paas itna samay nhi hai.. Mei phn rakh raha hu aur tum bilkul bhi yeh baat kisi ko nhi batao ge..

Romi- Parr...

Guruji phone kat dete hai...

Romi- Guruji ko kya hogaya hai?
Par chodo.. Mere paas drishti di ke liye ek bohot badi khush khabar hai...

Romi ghar ke andar jaata hai aur sabko bahar bulata hai...

Romi- (Chillate hue) Mummy, papa, di sabh bahar aao... Jaldiiiii...

Sabh bahar aa jate hai..

Drishti- Kya hogaya romi?

Romi- Di tumne 3 jagah pe job ke liye interview diya tha...
Toh... Ek company hai, Shergill Company unhone tumhe job pe rakh liya hai..

Drishti- Kyaa???

Romi- Haa di, aur tumhe uske liye Bali jana padega...

Parminder- Kya?
Bali?
Bilkul nhi.. Drishti kaha bhi nhi jaugi...

Amarpreet- Kya bol rahi ho tum??
Drishti, beta jao packing karo tum kal bali jaogi...

Parminder- Parr...

Drishti- Thnku chachu..

Aur drishti chali jaati hai apne room mei packing karne ke liye..

Parminder- (Ghusse mei) Aapne na usko sir pe beitha rakha hai..

Amarpreet- Aisa kuch nhi hai..

Amarpreet aur parminder waha se chale jaate hai...
Drishti apne room mei packing kar rahi hai.....

Drishti- Chalo packing hogayi.. Abhi bohot raat hogayi hai.. Mei soo jati hu..
Kal subha jaldi uthna hai....

Stay tuned for next part...
Till then byeee!!!!!

Continue Reading

You'll Also Like

1M 39.2K 92
๐—Ÿ๐—ผ๐˜ƒ๐—ถ๐—ป๐—ด ๐—ต๐—ฒ๐—ฟ ๐˜„๐—ฎ๐˜€ ๐—น๐—ถ๐—ธ๐—ฒ ๐—ฝ๐—น๐—ฎ๐˜†๐—ถ๐—ป๐—ด ๐˜„๐—ถ๐˜๐—ต ๐—ณ๐—ถ๐—ฟ๐—ฒ, ๐—น๐˜‚๐—ฐ๐—ธ๐—ถ๐—น๐˜† ๐—ณ๐—ผ๐—ฟ ๐—ต๐—ฒ๐—ฟ, ๐—”๐—ป๐˜๐—ฎ๐—ฟ๐—ฒ๐˜€ ๐—น๐—ผ๐˜ƒ๐—ฒ ๐—ฝ๐—น๐—ฎ๐˜†๐—ถ๐—ป๐—ด ๐˜„๐—ถ๐˜๐—ต ๏ฟฝ...
1.8M 59.3K 72
In which the reader from our universe gets added to the UA staff chat For reasons the humor will be the same in both dimensions Dark Humor- Read at...
423K 28.7K 43
โ™ฎIdol au โ™ฎ"I don't think I can do it." "Of course you can, I believe in you. Don't worry, okay? I'll be right here backstage fo...
133K 3.7K 54
Daphne Bridgerton might have been the 1813 debutant diamond, but she wasn't the only miss to stand out that season. Behind her was a close second, he...