MALAL E YAR | ON HOLD

By nayabhazel

10.5K 671 897

"Tumhein muhabbat hogayi hai uss se?" "Agar umar bhar sirf usske saath ko chahna muhabbat hai toh han shayad... More

Author's Note
Know the Characters
Prologue
1• Khwab | خواب
2• Tootay dil | ٹوٹے دل
3• Ek pal | ایک پل
4• Ham Nafas | ہم نفس
5• Haseen Ittefaq | حسین اتفاق
6• Raaz e Wehshat | راز وحشت
7• Dastak | دستک
8• Shayad | شاید
9• Lafz Muhabbat | لفظ محبت
11• AŞK | عشق
12• Aashna | آشنا
13• Sard Dil | سرد دل
14• Aghaaz e Safar | آغاز سفر
15• Nazrein | نظریں
16• Tum Se Ranjish | تم سے رنجش
17• Husn-e-Janan | حسن جانان
18• Vasal |وصل
19• Ikhtilaf | اختلاف
20• Bhikray Kaanch | بکھرے کانچ
21. Khasara | خسارہ

10•Bin Roye | بن روئے

221 24 17
By nayabhazel

آپ دولت کے ترازو میں دلوں کو تولیں
ہم محبت سے محبت کا صلہ دیتے ہیں

~

"Ek baat toh batayein apke apnay mamoo jan barrister Rehman Malik kesath taluqat kesay hain"

"Iss sawal ka iss sabse kya taluq?"
Hadeed ab chehray par sanjeedgi lakar bola.

"Nahi matlab itne baray barrister hain apke mamoo aur ab toh balkay apkay beloved susar g bhi right? Toh aisa toh ho nahi sakta ke apni ek loti behen ke accident ke case ko unhon ne investigate na kiya ho"
Sethi Sahab lafzon ke teer chalatay rahay.

"That's least of my concerns right now!"
Hadeed bola.

"But that should be your concern Mr.Khan"

"Mere pas zyada waqt nahi hai Sethi Sahab , aap document meray hawalay karke jasaktay hain , payment apko kardi jayegi"
Hadeed wapis se apni shades pehen kar bola jaisay woh yeh guftugu ab khatam karna chahta ho woh darwazay ki taraf barha hi tha jab Sethi Sahab ki awaz usske kanon mein ayi.

"Dhiyan rakhiyega Mr.Khan , Barrister Sahab ke jasoos har jagah mojood hain"
Yeh keh kar Sethi Sahab chotay chotay qadmon ke sath uss warehouse ke pheechay ke darwazay se nikal paray jabkay Hadeed wahin ka wahin khara reh gaya , woh chahay khud ko jitna bhi calm aur compose dikhanay ki koshish kar raha tha lekin usske andar ek halchal si machi hui thi.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aaj 1st October ka din tha , Ali aur Meher ne apne suprise birthday party ke plan mein Hoor aur Aaryan ko bhi shamil karliya tha.

Ali Meher Hoor aur Aaryan charon ke hath mein dher saray shopping bags , decoration material , fairy lights bohat sa saman tha jisko lekar ab woh Hadeed ke apartment ke samnay kharay hogaye thay.

"Lekin hamaray pas toh Hadi bhai ke apartment ki keys bhi nahi hain"
Hoor hath mein dher sari fairy lights lekar khari thi.

"Don't worry Mein hun na , meray pas usske apartment ki spare keys hain"
Ali apni pocket se keys nikal kar bola.

Woh charon apnay apnay kamon mein lag gaye , Ali aur Meher kitchen department ko sambhalnay lagay aur Hoor aur Aaryan decoration mein.

Hoor ek ek karke fairy lights uthati hogayi aur Aaryan ko thama di.

"Kya karoon mein isska?"
Aaryan confuse si shakal bana kar bola.

"Chalo shabash stool ke ooper charo aur lagao inko"
Hoor ussko order detay huay andaz mein boli.

"Mein kiun lagaun tum khud lagao mein ne abhi yeh balloons bhi phulanay hain"

"Toh ab kya mein charoon stool par?"

"Han tum charo mein tumharay liye stool pakar leta hun nahi girogi iss bar I promise"
Aaryan chehray par ati muskurahat ko dabatay huay bola.

"No not again , meray chehray par stupid likha hua hai ? Phichli bar bhi Sara Appi ki mehendi par mujhe stool se gira diya tha tumne , iss bar tum charoge"
Hoor apnay dono hath kamar par rakh kar ussay order detay huay andaz mein boli.

Aaryan zor zor se hansnay laga
"Han yad agaya mujhe kaisay giri thi tum aur phir ek ghantay tak roti rahi...... waisay I am sorry"

"For what?"

"Pehle keliye , har uss waqt keliye jab mein ne tumhein tang kiya , tum se larayi ki , tumhein rulaya"

"Tumhari tabiyat toh theek hai na Aaryan , Itna formal hokar toh tum kabhi bat nahi kartay"
Hoor usske mathay par hath rakh kar boli.

"Tum batao kya mein theek lag raha hun?"

"Nahi mujhe aisa lagta hai tumhein koyi beemari hogayi hai"

"Han ho toh gayi hai ek beemari khair tumhein kya lagta hai kya beemari hui hogi mujhe?"
Aaryan baton baton mein ussay bohat kuch samjhana chah raha tha.

"Hmm tumhein na ek shadeed kisam ki........ bari hi shadeed kisam ki nafsiyati beemari hogayi hai"
Aur yeh kehtay hi hoor zor zor se hansnay lagi jabkay Aaryan bas ussay dekhta raha , agar yeh purana wala Aaryan hota toh iss bat ke jawab mein bhi Hoor kesath larayi shuru kardeta magar ab woh badal chuka tha , bohat si cheezein badalnay lagi thi ab woh usski hansi ko ghanton sun sakta tha ussay ghanton dekh sakta tha.

Aaryan stool par char gaya tha aur ab Hoor ek ek karkay ussay fairy lights derahi thi jinhein woh bari maharat se curtains kesath laga raha tha.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Liza apne apartment mein kitchen mein coffee bana rahi thi , ussne coffee ka mug uthaya aur kamray ki taraf barhi , side table par mug rakh kar apnay balon ka joora bandha aur ab apna wardrobe khola , aaj Hadeed keliye sab surprise birthday party plan kar rahay thay usske dimagh mein bohat se sawal thay sabse bara sawal tha Hadeed ko gift mein kya dena chahiye?

Ussne apne wardrobe se apna dress nikala jo ussne aaj pehnna tha raat ko , aur phir neechay wali drawer se ek dabba nikala , jis mein wahi wrist watch thi Radon ki men's wrist watch.
Yeh wrist watch usske liye itni khas kiun thi ? Yeh kiski watch thi ?
Asal mein yeh toh kisi ki amanat thi , Hadeed ki amanat.

Ussne apni black coffee mug ka uthaya aur ek do ghoont mein sari pee li aur raat keliye tayar honay lagi.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sham dhal chuki thi aur ab ahista ahista log bhi ana shuru hogaye thay , Hadeed ka apartment bohat wasee aur khoobsurat tha , usske apartment se Istanbul ke bosphorus ka mukammal nazara kiya jasakta tha.

Invited guests mein Hadeed ki company ke kuch close friends aur employees bhi thay.

Meher aur Ali saari arrangements dekh rahay thay , jabkay Aaryan balcony mein khara samnay walay manzar ko apne camera mein qaid kar raha tha.


~Aaryan's Look

Hoor ne ek khoobsurat Black outfit pehna tha jis mein woh bohat khoobsurat lag rahi thi , aaj sabke chehray par ek alag si chamak thi.
Woh sab logon se side par khari Liza ko phone mila rahi thi.

"Liza kahan hain aap?"

"Han bas mein tayar horahi thi arahi hun panch minute mein , Hadeed ki flight kitne bajay land karegi?"
Phone ki doosri janib se Liza ki awaz ayi.

"Abhi hai adha ghanta aap jaldi ayein"
Yeh keh kar ussne phone band kardiya.

~Hooriya's Look

Liza jaisay hi andar ayi sabki nazrein usski taraf gayi , saray guests bas sirf ussay hi dekh rahay thay , Liza ne ek long black outfit pehna hua tha , black hamesha se uss par bohat acha lagta tha lekin aaj ki sham ke hisab se woh aur bhi zyada pyari lag rahi thi.

~Liza's Look

Liza abhi sab guests se mili hi thi jab ek daraz qad admi jiske naqoosh turk logon se kam aur Americans se zyada milta thay woh Liza ki taraf aya.

"Hi How are you doing?"
Uss shakhs ne musafiha keliye hath barhaya lekin Liza ne hath nahi barhaya aur mehez muskura kar usse jawab diya.

"I m good"

Woh shakhs baghair embarrass huay muskuraya aur guftugu jari rakhi.

"So how has it been going here in Istanbul?"

"Its been going good so far. I beg your pardon but do I know you?"
Liza ne dheemay se lehjay mein uss se phoocha.

"Hmm Mein Hadeed ka dost hun usske sath company mein 20% ka shareholder bhi hun Oops Sorry I didn't even introduce myself properly I am Wadan Hamdani"
Ussne apne behad attractive andaz mein kaha.

"Ek second apko urdu ati hai , I mean I am sorry I thought you were American"
Liza ne kaha.

"Yeah actually meri mama American thi but baba Pakistani hain..... apse mil kar kafi acha laga aap Hadeed ki cousin hain right?"

"G apko kaisay pata?"

"Ali aur Meher aksar aap logon ka zikar kartay hain , magar aap apne zikar se bhi zyada dilkash hain dekhnay mein"
Wadan ke labon par muskurahat thi jisne Liza ko kuch dair keliye bechayn kiya.

"Nice to meet you Mr.Wadan mujhe actually kuch kam hai see you later"
Woh yeh keh kar wahan se chali gayi jabkay Wadan ki nazrein abhi bhi usska taqub kar rahi thi.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

"Apne hadi bhai keliye koyi gift liya?"
Hoor ne Liza se phoocha.

"Han liya hai"

"Kya liya hai mujhe bhi dikhayein na"

"Hmmm bas hai kuch itna khas nahi hai lekin anyways , tum yeh batao yeh decoration tum logon ne ki hai"

"Han ham sab ne mil kar ki , kaisi hai , hadi bhai ko pasand ayega na hamara surprise?"

"Hmm pata nahi , hai toh woh thora kharoos"
Liza apne balon ki ek lat pheechay karke boli tabhi usse mehsoos hua ke kisi ki nazrein uss par jammi hui thi aur woh koyi aur nahi Wadan tha , magar Liza ne avoid karna hi sahi samjha.

"Aap apne husband ko kharoos keh rahi hain?"
Aaryan pheechay se akar bola.

"Khudaya ! Dara diya mujhe"
Liza ne dil par hath rakh ke kaha.

"Kya hogaya hai behna , ajkal bari nazuk mizaj hogayi hain aap"

"Bakwas ke mood mein nahi hun mein Aaryan mujhe bohat tension horahi hai iss waqt"

"Kis bat ki?"
Hoor aur Aaryan ne ek sath hi kaha.

"Pata nahi bas aisay hi"

"Aap kiun tension lerahi hain aap ayein meray sath itni pyari lag rahi hai meri behen ek photoshoot toh banta hai"
Aaryan side table se apna camera utha ke bola.

"Nahi tum Hoor ki pictures lelo mein bahar jarahi hun , baba ki call arahi hai"

Y

eh keh kar Liza wahan se bahar agayi ab woh building ke corridor mein khari thi.

"Baba!"

"Kaisa hai mera bacha?"
Phone ki doosri janib se Rehman Sahab ki awaz ayi.

"Sab theek hai baba aap sunaein?
Sab theek hai na ? Sultana Jan kesi hain?"
Liza musalsal hawa ke jhonko kesath apnay urtay huay balon ko sambhaltay huay boli.

"Han sab theek hai? Tumhara wahan dil toh laga hai na?"

"G baba ! Aap achanak yeh sab kiun phooch rahay hain?"

"Apni beti ki khairyat phoochna ghalat hai kya meri jan?"

"Nahi baba aisa toh nahi kaha mein ne"

"Hadeed se baat hoti hai?"

"G hoti hai"

"Kaisa hai woh?"

"Pata nahi"

"Kya matlab ? Sab theek toh hai na ?"
Rehman Sahab ki awaz mein ek dam pareshani si mehsoos hui Liza ko.

"Han baba bas woh kuch dino se Istanbul mein nahi tha , aaj wapis ayega....."
Itne mein Liza ko Hadeed ki gari neechay nazar agayi.

"Baba mein bad mein bat karti hun okay? Allah Hafiz"

Yeh keh kar woh foran andar gayi.

"Hadeed agaya hai! Parking lot mein hai , jaldi se lights sab kuch off kardo"
Liza ne Hoor aur Meher ko ishara kartay huay kaha aur sab lights off hogayi.

Hadeed ne jaisay hi darwaza khola aur andar qadam rakha saari lights on hui aur sab ne ek sath hi kaha.

"Surpriseeeeeeeeee!"

Hadeed ek hath se apna suitcase pakray huay tha aur doosray hath mein kuch files thi , woh hamesha ki tarah apne formal getup mein tha aur hamesha ki tarah kamal lag raha tha , magar iss waqt usske chehray par jo tasurat thay woh aur bhi kamal ke thay , woh hairan bhi tha aur pareshan bhi.

Ali aur Aaryan usski taraf aye aur Aaryan ne ussay dono bazooyon se kheencha.

"Arrey ayein na Hadi Bhai apna hi ghar samajhiye isse , apka ghar hai bas hamne naqsha thora badal diya hai......"
Aaryan apnay shararat bharay andaz mein bola.

"Ajke din toh yeh files chor de meray bhai"
Ali ne usske hath se files lekar side table par rakh di Hadeed ki nazrein un files par jammi rahi kiunke yeh koyi aam files nahi thi.

Ahista ahista apnay sab colleagues ,business partners se milne ke bad woh balcony mein khara tha , kisi soch mein gum , tab hi ussay ek jani pehchani si khushboo ne gher liya , ussay mehsoos hua ke woh ab qareeb anay lagi thi , woh Liza ki hi khusboo thi.

"Tum yahan akelay kiun kharay ho?"
Liza usske pas akar boli.

"Yeh sab kis ka idea tha?"
Hadeed ne dheemay se lehjay mein phoocha.

"Ali aur Meher ka... kiun tumhein pasand nahi aya?"

"Nahi acha hai .... I mean mujhay laga yeh sab tumhara idea tha"
Hadeed ab usski taraf rukh mor kar bola.

"Nahi , mujhay toh tumhari birthday tak ka nahi pata tha ... I mean I don't know much about you"
Liza apni ungliyon kesath kheltay huay boli. Hadeed usske har andaz ko ghor se dekhnay laga.

"Mein aya tha uss din ..... tumharay pas Liza"
Hadeed usski taraf dekh kar bola.

"Kis din?"

"Jis din meri Antalya ki flight thi , tum pursukoon si neend mein thi"

"Ohh han ! Bataya tha mujhe Elif ne.....
Tumne mujhe uthaya kiun nahi"

"Pata nahi.... dil ne kuch kaha aur pehli dafa mein ne dil ka kaha man liya"
Hadeed usski ankhon mein dekh kar bola aur kuch dair keliye dono mein se kisi ne kuch nahi kaha , an unke darmyan sirf andar se anay walay mehmanon ka shor tha aur bahar chalti hui hawaon ki awaz thi.

"Aaj koyi bohat khoobsurat lag raha hai"
Hadeed ne iss barhti hui khamoshi ko tor kar kaha.

"Kon?"
Liza ne phoocha.

"Hai koyi , jo waisay toh bohat bolti hai magar aaj khamosh hai"

"Aaj aap full mood mein lag rahay hain Hadeed Sahab"
Liza ne muskuratay huay kaha.

"Han shayad"

"Mere pas tumharay liye kuch hai"
Liza ne usski taraf ek box barhaya jis par golden ribbon tha.

"Yeh kya hai?"

"I am sorry mein ne tumharay liye koyi gift nahi liya lekin meray pas tumhari ek amanat hai ..... socha aaj tumhein tumhari amanat wapis de dun"

Hadeed ne box khola toh uss mein ek khoobsurat wrist watch thi , silver aur ocean blue combination ki ek khoobsurat ghari , jissay dekhti hi usski ankhein chamak uthi , usski ankhon mein ansoo ternay lagay aur Liza ke gaal par bhi ek ansoo abaha.
Woh dono wahan sari dunya se anjan ek doosray ke samnay nam ankhon kesath kharay thay.

"Yeh watch.... yeh watch toh baba ki watch hai.... Liza yeh .... mujhay laga mein ne baba ki akhri nishani ko bhi khodiya"
Hadeed ki awaz mein nami thi , gham tha , shiddat thi , woh kabhi kisi ke samnay nahi roya tha , aaj usse koyi parwah nahi thi , usska dil kar raha tha ke woh bilak bilak kar roye.

Liza ne usska hath apnay hath mein thama.

"Tum ne isse nahi khoya Hadeed , yeh itne salon se Mere sath thi , tumhari amanat thi yeh , mein yeh lotana chahti thi magar tab bohat dair hochuki thi , tum Pakistan se jachukay thay"

"Yeh kahan mili tumhein?"

"Jis din hamara nikkah hua tha , aur tum ghussay mein chalay gaye thay , tum yeh wahin table par chor gaye thay ... tumhein laga tumne isse kho diya... lekin mein ne isse sambhal kar rakha tha ke tum aoge toh mein yeh tumhein lota doongi... par tum aye hi nahi Hadeed"
Liza apni bayein ankh se behta hua ansoo saaf karke boli.

"Thank you Reallly Thank you so much Liza .... yeh watch Mere liye bohat important thi"
Hadeed ne ussay hath se apni taraf kheench kar apnay seenay se laga kar kaha.
Woh dono ek doosray ke itne kareeb thay ke Liza usske dil ki taiz hoti hui dharkano ko sun sakti thi.
Shayad kisi ke qareeb jana ya kisi ko apnay qareeb bulana itna mushkil nahi hota , dilon ki awaz toh sab hi sun letay hain bas samajhnay mein thori dair hojati hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

I hope all of you are fine!
So here is a new chapter.
Do let me know in the comments if you liked it and also don't forget to vote.
Stay Blessed
~Nayab.

Continue Reading

You'll Also Like

140K 4.8K 28
یہ کہانی ہے انتقام اور محبت کی۔ مناہل سکندر، ایک ایسا کردار جو انتقام کی بھینٹ چڑھ کر اپنی محبت اور سب رشتوں کو کھو دیتی ہے۔ شایان خان، وہ کردار جو ا...
15.2K 841 38
یہ کہانی ہے ایک ایسے لڑکے کی جو محبت میں کچھ بھی کرسکتا ہے۔ پیار،محبت،دوستی،دشمنی کے جذبوں سے سجی ایک انوکھی کہانی...
1.6K 350 7
ئالیسنت بۆ ئەوەی میراتەکەی باوکی وەربگرێ و ببێ بە سەرۆکی کۆمپانیای ڕیچارد دەبێ کۆتا وەسیەتی باوکی بەدی بھێنێ وەسیەتەکەی باوکی چیە ؟ ئایا دەتوانێ می...
4.9K 145 16
G to chaliye mery sath muhabbat k ek Haseen safar ma. Safar muhabbat ka, Muhabbat k imtehan ka,,,or jub tk muhabbat ma imtehan na ho to muhabbat ka m...