chehra aapka kaagaz pe utarna,
puchiye hamse hai bada kathin
raha na gaya hamse
to pucha hamne kaagaz se
k kyu hai tu itna muskil,
inhe aapke andar utarna
wahi kaagaz boll utha...
k galti na kariyega inko hamme utarne ki
ye itni pyaari hai k hame darr lag jaata hai
kahi hamare andar utaarne par,
inhe nazar na lag jaaye
wo hai hi itni pyaari
k koi chue to bhi daag lag jaaye.jo ye sunke mene
baat hai unki maani
phir bhi aapki khushi k liye
hamne bhi ye baat thaani
k ye sherni jo hai
ye kagaz me to utregi
sherni wo mere kaagaz
kisike nazar use na lagegi
tu mujhe utaarne de use
mat kar apni manmaani
har baar apni chalata hai
ab chod de ye aana kaaniaakhir me baat manva hi li
jo thaana wo kar hi liya
jaante hai hum k iss janmdin
aapko wo na de sake jo aapko chahiye
par ye yakeen rakhte hai
k jo iss kaagaz pe utara hai
wo aapko pasand aaye
maante hai k aapko iss kadar nahi utaar paye
par kya kare aap hai hi bade kathin
k kalam bhi kagaz k neechey se
bas phat se fisal jaaye 🙈❣️
YOU ARE READING
HAMARI SHERNI
PoetryTo ye kavita hamne hamari sherni k liye likhi hai jinka janmdin 14th August ko hai... Hai hame ye beyhad pyaari .... To jaiye aur padhiya kya likha hai hamne... THANK YOU 😊