Chapter 2

23 1 0
                                    

Zaviyar or uske kuch dost gali main cricket kheel rhe the. Wo Karachi ke eek muhale main rehte the.
-Zaviyar ab bas kar yar, chalo yar chalte he-Osman tak gya tha itni dhoop mai khel khel kar.
-Last ball teri kasam-Zaviyar ne Haider ko ishara kiya ball karwane ka.
Zaviyar ne ball ko uski taraf athe dekha to apne pure zoor se usne bat ke saath hit kiya or wo dur eek larki ke kadmu main a gira.

*******
Seerat ki lessons aaj jaldi khatam ho gae to wo Bus phe ghar chali gai. Uska muhala university se ziada door nai tha. Jab wo bus stop phe uthri to samne kuch larke cricket khel rhe the. Uske paas khafi books or files thi haath main. Usne duppate saath niqaab kiya or jaldi se wahan se guzarne ki koshis ki ke eek dam se ball uske samne a giri. Sari books uske haathon se ghir gai.
-Are yar kya kiya-Haider ne Zaviyar ko dhanta.
Zaviyar jaldi se Seerat ki taraf gya. Wo bht hi gabra gai thi or books jaldi akhata karne lagi. Isi dooran uska niqaab bhi uthar gya.
-Tum dekh nai sakti thi, yahan likhan huwa he is gali se guzarna mana he- Zaviyar uski taraf gya or uski madad karne laga.
Zaviyar ki nazar Seerat ke chehre phe pari or use kuch samaj na aya. Itni masoom or pyari larki thi
Ese lag rha tha jese koi pari Asmaan se uthari ho.
Seerat na jaldi se books uthai or apna face chupaaliya. Jaldi se wo apne ghar ki taraf chali gai.
Zaviyar kuch keh na paya or na hi use wo book return kar paya jo Zaviyar ke haath main reh gai thi.
-Kya baat he ustad, yeh kya he?-Osman ne uske haath se book cheen li.
-Are araam se-Zaviyar ne kaha.
-Yeh to koi university ki diary lag rhi he-Haider ne us dairy ko dihaan se dekha.
Zaviyar abhi bhi kamosh sa khara tha. Use kuch samaj nai a rha tha.
-Kon he yeh larki, pehle to kabhi nai dekha use- Zaviyar ne bht hi diljasbi se poocha.
-Miss Seerat Zulfiqar Law student-Haider ne thuti putthi english main para.
- Seerat?- Zaviyar ne apna dimaag peh zor dhala, wo is muhale ki har ek larki ko janta tha leekhin ye name isne kabhi nai suna tha pehle.
-Han, Zulfiqar sahib, main janta hun ine- Osman ne kaha.
- Kon se makaan main rehte he or kab ae is muhale main- Zaviyar ne diary Osman ke haath se chini.
-Main nai btaunga- Osman ko kuch kuch samaj ane laga ke itni diljasbi kyun ho rhi he Zaviyar ko.
Osman waha se bagh gya or Zaviyar or Haider bhi uske piche baghe.
-Nai btaungha- Osman dukhaan ki taraf baagha.
Haider or Zaviyar ne use pakhar kar dabooj liya.
-Btana to tume pare ga-Zaviyar uske upar beth gya.
-Inspector ki bethi he, jisne hamara jeena haraam kiya huwa he-Osman ne bataya.
- Inspector ki bethi, kya yeh wohi inspector he jo naya aya is muhale main- Haider ne herani se poocha.
-Han or ab mujhe choro-Osman ne Zaviyar ko dhaka diya.
Zaviyar gehri sooch main par gya.

************

Zaviyar apni do behnu ka eklotha Bhai or waleeden ka ekhlota betha tha.
Uske Abba ki choti si muhale main grocery shop thi jisse ghar ka guzara or behnu ki parai ka garcha nikal atha tha. Uski behne bhi tution para kar apne zaroorat puri kar lethi thi.
Abdul Hafeez Sahib is mohale main bht arse se rehte the. Unki bohat izzat thi is muhale main. Unki begum Safiya begum mohale ke bachun ko Quran ki taleem dethi thi. Haaya Zaviyar se eek saal hi choti thi leekhin bohat samajdhar thi. Or Hoora Hayaa se 4 saal choti thi.

-Amma, kidar he?- Zaviyar ghar main dahil huwa.
Unka chota sa 3 room wala ghar tha. Main gate se dahil hote hi eek sehan tha jisme kaleene bichi hui thi or bohat se muhale ke bache phar rahe the. 2 charpaye thi or eek side phe bathroom or eek side phe kitchen tha. Bathroom ke saath hi terrace ki serya thi jahan Zaviyar ka room tha.

-Mashallah, a gae betha-Safiya ne tasbi rakhi or Zaviyar ki taraf gai. Uske upar Ayaat ul kursi ka dam kiya or use chapai phe bithaya.
- Bhook lagi he kuch khana ko deden-Zaviyar ne masoon sa chehta bnaya.
-Hayaa betha, bhai aya he khana leke a-Safiya ne awaaz di or dono behne baghi baghi a gai.
-Bhai jaan, itne dinu baad, kahan the aap?-Hoora apne Bhai ke paas a kar beth gai.
-Zavi tume pata he na Abba ne tume dekha to bohat naraz ho ghe, tu upar ja room main main udhar le athi hun khana- Hayaa ko pata tha ke Abba uski awara gardio phe bohat gussa the.
Zaviyar ne metric puri ki or college main admission liya huwa tha, leekhin awara gardi ki waja se na hi wo college par paya or na hi koi kaam kar paya. Uske waleeded ko usse bohat si umeede thi leekhin usne in ka bilkul khyaal na kiya.
Hafeez Sahib bohat naraaz the usse or isi wajah se use dhante rehte ke shayad uske dimaag main koi baat a jae or apne future ke bare main sooche. Isi wajah se Zaviyar ghar na atha or une apna dushman samajtha.
-Wo to he hi meri jaan ke dushman, tum khana lekhe ao- Zaviyar upar apne room main jane laga.
-A gae sahibzade- Hafeez sahib abhi abhi ghar main dahil hue.
Sab khamosh ho gae.
-Acha bacho ab aap jae, kal time phe ana- Haaya ne bachun ko chuti de di or darwaza band kiya.
-Amma main upar ja rha hun-Zaviyar ne pehli siri phe kadam hi rakha khe uske Abba ne use rokh liya.
-Ise khana bilkul bhi nai mile gha, pehle jao or kabil ban kar ao, sharam nai athi 2 jawan behne he ghar main or tum awara gariun main masroof ho-Hafeez sahib bohat gussa the. Eek to wo koi kaam na karta tha or upar se muhale wale bhi iski shikayat lagaate ke unke larkun ko bighaar rha he
-Sunye to sai, itne dino baad aya he, use khana to khaa lene de-Safiya ko samaj thi ke roz rozke jagru se dono baap bethe main duriyan bar rahi he.
Zaviyar bgheer kuch kahe sune bahir chala gya.
-Maine bola tha na itna gussa na kiya kare uspe-Safiya ki ankhun main ansu a gae.
-Ab wo chota bacha nai he, A jae ghar jab bhuk lagi. -Hafeez sahib ko bhi pata tha ke unka gussa ab mazeed duriyan peda kar rha he dono main leekhin une apni izzat or bethyu ka bhi khayaal tha.

**********

Hello guys
So how was the chapter?
A big applause to those wo guessed right the quiz answer.
Yes you are right. Zaviyar lives in Seerat's neighbourhood.
Thank you

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Nov 19, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Adhuri ChahatWhere stories live. Discover now