Ek Maa ki kahani, Beti ki zubaani

5 0 0
                                    

Jab biyaah kar aayi thi wo,
Mere Baap ke ghar me,
Sapne sanjo kar aayi thi
Ghar ki lakshmi jo kehlaayi thi!
Din raat sunti taane sabke
Sun karke chup rehti thi
Dil to bahut rota tha,
Phir bhi dukh wo sehti thi!
Jab jaati thi wo mayake,
Sabse haskar milti thi
Chahe jitne gehre ho zakhm
Zubaa'n pe dard apna silti thi!

Jab maaloom hua use,
Hai ek jaan uski konkh me,
Wo khushi se phuli na samayi
Apne dukh saare bhulkar,
Hotho'n pe muskan thi sajaayi!
Jab bani thi wo maa,
Diya janm usne mujhe,
Seene se mujhe usne lagaya tha
Mamta ka pehla ehsaas mujhe karaya tha!
Jab thi mai nanhi,
Usne mujhe sambhala,
Ek gudiya ke jaise hi usne
Har din tha mujhe sanwara!
Phir jab chalna seekha maine
Toh thami thi usne ungli meri
Sone se pehle sunati thi mujhko
Aksar kahaniyaan wo sunehri!
Jab rakha maine,Ladakpan me qadam,
Wo thodi sakuchaayi thi,
Behek na jaye kadam mere
Iss baat se wo ghabraayii thi!
Phir jab ki ek galti maine
Thappad ek lagaya tha,
Phir jo roothi mai usse,
Usne ro rokar mujhe manaya tha!
Karte jo papa gussa mujhpar,
Wo meri dhaal ban jaati thi
Mere gunaaho ki sazaa
Khud hi wo seh jaati thi!
Phir jo aayi mai, Jawani ki dehleez pe
Usne mujhe samjhaya tha,
Sharafat se kaise rehte hai,
Wo sabak usne mujhe rataaya tha!
Din bhar wo karti , ghar ka saara kaam,
Raato'n ko der se soti thi,
Kisi pe gussa karte waqt,
Aksar Khud hi wo roti thi!
Rakha karo Maa ka dhyan,
Ye baat thi tumhe jataani!
Kaisi lagi aapko,
Ek Maa ki kahaani,
Uski Beti ki zubaani!!

-Sajida Hussain

Pehla pyaarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें