Saru:- Haan Haan.
And rolls her eyes.

Parv:- behna, jara maalish toh kar de meri back ki.

Saru:- huh? Me-
And points at herself.

Parv:- please behna. Kar de na yrr. Bahut dard ho rha hai tabhi bol rha hu. Please.

Saru:- accha theek hai ruko. Karti hu.

Meanwhile outside guddan is watching and recording all these becuase all cannot stand outside.
Guddan:- abhi toh bahut kuch baki hai beta. Abhi toh sirf kamar tuti hai, dekhta ja abhi toh aur kya kya hota hai tere sath.
And laughs silently.

(FLASHBACK)
After saru took parv inside the room, guddan immediately wipe off the oil from floor.
(FLASHBACK ENDS)

After recording their video, she goes from there and shows it to everyone who laugh seeing them.

Laxmi:- kya baat hai sasu maa. Kamal hi kar diya. Kaise tadap raha hai ye dard me.

Durga:- iske sath aisa hi hona chahiye.

Guddan:- waise ye idea alisha ka tha.

Dadi:- waah. Kya baat hai bacche. Bahut khoob.
All smiles and gives appreciate look to Alisha.

Akshat:- lekin ye baccho wale tareeko se kya sabak sikhaogi tum guddan? Me abhi bhi keh rha hu-

But guddan interrupts him.
Guddan:- yahi na ki jake use police ke hawale kar dete hai, lekin humare paas saboot nhi hai jindal saab. Aur bina saboot ke police bhi kuch nhi kar paayegi aur unhe pata chal jayega ki hume sab pata hai, woh alag.

Alisha:- aur aapko kya pata papa, aise chote chote baccho ke tareeko se use dard dene me jo maza hai. Kyu mumma.
And looks at hed because she knows guddan will surely support her in this.

Guddan:- bilkul shi kaha Alisha ne. Arey aapko nhi pata jindal saab, use hum tyar kar rhe hein bade jhatke ke liye. Bechara abhi se aadat padegi jhatke khane ki, tabhi toh jake badi wali maar jhel payega wo.

And have a high five with alisha who laugh at her words while other family members are laughing at his misery between guddan and Alisha.

Akshat:- kabhi kabhi to tum alisha se bhi choti bacchi ban jati ho guddan.
Guddan pouts.

Dadi:- lalla. Khabardar meri bacchiyon ko kuch bhi kaha hai toh. Bahut accha idea hai meri dono bacchiyon ka. Samjha tu.

Akshat:- ji maa.
Guddan and alisha laughs and hugs dadi.

Alisha:- me kya keh rhi thi ki-

Guddan:- kya hua alisha?

Alisha:- yahi ki hum saboot collect nhi kar sakte.

Durga:- kya? Par kyu?

Alisha:- agar ghar me parv ya saru ne saboot n all ye sab sun liya ya fr humme se kisi se iss baare me baat krte hue sun liya toh. Pura plan bekar ho jayega.

Akshat:- haan baat toh tum shi keh rhi ho.
 
Guddan:- toh fr ab. Fr saboot kaise collect krenge jindal saab?

Durga:- AJ, aap vikrant ji ko kyu nhi bolte iss baare me.
(Vikrant leave today morning for some business)

Guddan:- haan jindal saab. Durga ji sahi keh rahi hein. Agar vikrant ji bahar rehkar ye sab kaam karenge toh humara plan expose hone ke chances bhi kam ho jayenge.

Akshat nods agreeing with this idea. He calls vikrant and narrate him everything.
Vikrant:- Tu chinta mat kar akki. Me kuch pata lagane ki koshish karta hu.

Akshat:- aur ek baat vikki. Tu phone nahi krega hume, hum krenge. Theek hai?

Vikrant:- haan theek hai.

Guddan:- vikrant ji, please thoda sambhal kar kijiyega jo bhi karenge aap. Ye baat parv tak nahi pahuchni chahiye. Kyuki wo khud police me reh chuka hai, isliye.

Vikrant:- aap chinta mat karo bhabhi. Me apne loyal aadmiyo se hi yeh kaam karwaunga.

Akshat:- theek hai. Take care.
And cuts the call.

Laxmi:- ab aage kya karna hai?

Alisha:- aage kya? Jab tak vikrant ji saboot dhoond rhe hein, tab tak hum parv aur saru ko yu hi pareshaan karte rahenge.

Durga:- woh sab toh theek hai lekin i think hume ek din me ek hi kaam krna chahiye.

Dadi:- haan, Durga bahu sahi keh rhi hai. Isse parv ko shak nhi hoga ki ye sab achanak se ek sath kaise shuru ho gya. Nhi toh fr woh hun par nazar rakhna chalu kar dega.

Guddan:- Haan. Aur durga ji aap kuch nhi krengi.

Durga gets perplexed and looks at her in disbelief.
Durga:- lekin kyu?

Guddan:- kyuki agar parv ko doubt bhi hua toh sabse pehle aap par hoga. Kyuki uske according uska sach kisi ko nhi pata aapke alawa. Toh agar ye sab ho rha hai toh woh yhi sochega ki ye sab aap kar rahi hein.

Alisha:- aur jiss waqt parv ke sath ye sab hoga uss waqt aap kuch aur kar rahi hongi toh wo khud hi confuse ho jayega ki agar aap nhi kar rahi aur hume kuch nhi pata, toh ye sab kar kon raha hai ya fr ye sab ho kaise raha hai.

Akshat:- haan durga bahu. Guddan aur alisha sahi keh rhi hein. Aur agar usne aap par doubt ke chakkar me aapke bacche ko nuksaan pahuchane ki koshish ki toh..

Durga:- theek hai. Jaisa aap logo ko theek lage.

Laxmi:- toh fr aaj use kamar dard ke sath rehne dete hai. Kal jab uska kamar dard theek ho jayega tab kuch aur karenge lekin use dard se mukt (free) nhi hone denge.
All laughs and have high five.

Parivaar Ka Sath✅ Where stories live. Discover now