Adhura Khwab

16 0 0
                                    

Kaise kahu k tu mera kya h
Ek khwab hai mera jo unchua h
Ek arzi h meri jo abtk na pahunchi h
Ek dua h meri jo abtk unsuni h
Tu na mera h fir v tu apno se v jyada apna h
Tu wo hawa h jisne saso ko nhi dil ko chua h
Teri arzoo h dil me na jane kab se
Tu wo yaad h bachpan ki jo na kabhi juda hua h
Saalo ki doori v na juda kr saki tere ehsaas ko
Barso baad hai mila fir v wo ehsaas unchua h
Teri yaad na dil se kabhi gai
Teri chah na abtk dil se miti
Tu wo sapna mera h jo mere samne khada h
Tu wo fariyaad meri h jise dil hi dil me har roz manga h
Tu wo yaad h bachpan k un khaas lamho ki jab humne v kuch chaha tha
Tu wo shaksh h jiske lie dil me ehsaas pehla jaga tha
Kuch waqt badla aur kuch halaat
Bas na badla to tera ehsaas
Kuch log aae aur chale gae
Kuch ehsaas jaage aur dafn ho gae
Teri chaah aisi thi jo humesha dil me maujud thi
Bas hum samajh na sake k asal me dil ne kya chaha tha
Jabtk ehsaas hota tu door bahut nikal chuka tha
Tujhe wapas bulane ka humne v hak kho dia tha
Akhir humne hi tujhse dooriyan banai thi
Humare beech in lambe saalo ki deewar v humne hi khadi ki thi
Jab laut kar ae to dekha sab badal chuka tha
Ab na himmat h ladne ki aur tujhe bulane ki
Ab na takat h tujhse door jane ki
Bas ek kone me baith k tujhe muskurata dekh dil khush ho jata h
Tere sath kuch pal bita kr un ehsaaso ko akele hi jee leta h
Dil nadaan h nai samjhta aage kya hona h
Hai kuch bachpana av v baaki ki tujhse lad kr v khush ho leta h
Bas itna hi kafi h k tu pas hai
Tu khush hai aur tere sath hone ka ehsaas h...

Kaise kahu k tu mera kya hEk khwab hai mera jo unchua hEk arzi h meri jo abtk na pahunchi h Ek dua h meri jo abtk unsuni hTu na mera h fir v tu apno se v jyada apna hTu wo hawa h jisne saso ko nhi dil ko chua hTeri arzoo h dil me na jane kab seTu ...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Adhura KhwabWhere stories live. Discover now