Shaayd ab main tumhe bhoolne laga hu

48 4 0
                                        

Khul khul Kar saase ab lene laga hu
Khul khul Kar saase ab lene laga hu
Tanhaiyo main bhi khushiyo ko dhoondne laga hu
Mushkil lambho main bhi muskuraane laga hu
Ha shaayad ab main tumhe bhoolne laga hu....

Par kabhi kabhi andar se ek awaaz aati hai ,k khud se jhoot bolna ab main seekhne laga hu ,
Ha shaayad ab main tumhe bhoolne laga hu....

Dino ko raatein ban ne ab waqt nahi lagta
Subah ko shaam , shaam ko raat.
Subah ko shaam shaam ko raat samay beet jaane main ab samay nahi lagta.
Mann abhi karta hai k pehle ki tarah in samay k kaato ko Teri yaadon main rok lu
Mann abhi karta hai k pehle ki tarah in samay k kaato ko Teri yaadon main rok lu
Par unhi yaadon main dubara doob jaane ka ab Mann ko bhi Mann nahi karta.

Ab to tumhari yaadon se bhi door rehne laga hu
Ab to tumhari yaadon se bhi door rehne laga hu
Haa shaayad ab main tumhe bhoolne laga hu...

Kabhi kabhi yaad aate hai wo din jab Roz karta tha tum se guft-a-gu
Kabhi kabhi yaad aate hai wo din jab Roz karta tha tum se guft-a-gu
Waqt- bewaqt tumhare tasveero se hi baat Kar liya karta tha Jo tum na hote ru-ba-ru
Apni tasveero se zyada tumhari tasveerein thi mere paas.

Ab un sabhi tasveero ko apne Dil se nikaal Chuka hu
Ha shaayad ab main tumhe bhoolne laga hu...

Yaad hai jab tum mujse khafa ho jaati thi
Yaad hai jab tum mujse khafa ho jaati thi
Tumhe manau kaise?
Tumhe manau kaise, nahi aata ye mujse khata ho jaati thi
Tumhare aankho se nikle aasuon ko jin kaagaz k tukdo pe tum pocha karti thi
Un tukdo ko apne khata ki zimmedari samaj Kar apne paas rakha karta tha

Ab un tukdo ko kahi, kahi kho Chuka hu
Ab un tukdo ko kahi, kahi kho Chuka hu
Ha shaayad ab main tumhe bhoolne laga hu...

Haath uthaya karta tha jab dua k liye
Haath uthaya karta tha jab dua k liye
Har Dua main Tera zikr hota tha
Aaj bhi duaaon main Tera zikr hai
Bas farak ye hai k tab hamare khushiyo ke liye dua maangta tha
Bas farak ye hai k tab humare khushiyo ke liye dua maangta tha

Ab Tu apne Zindagi main khush rahe ye Dua maange laga hu
Ha shaayad ab main tumhe bhoolne laga hu...

Par kabhi kabhi andar se ek awaaz aati hai ,k khud se jhoot bolna ab main seekhne laga hu ,
Ha shaayad ab main tumhe bhoolne laga hu....

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछली अपडेट: Apr 10, 2020 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Shaayad कहानियाँ जो दीवाना बना दें। अभी खोजें