-tumhari chipkali

275 19 3
                                    

Dear Chamgadar,

Kahan ho tum?

Itne saal ho gayi hai main phir bhi tumko bhula nahi paayi. Tumhare bina yeh zindagi bohot mushkil hai.Meri aankhon mein se girti hui har aansu uski saboot hai. Samajh main nahi aata ki is rote dil ko kaise chup karvao. Ab mujhse aur nahi hota. Ek tum the jisne mujhe pyar karna sikhaya, mujhe pyar ki nazar se duniya dikhaayi. Sirf insecurities main rehna aata tha mujhe, pyar ka rang dikhaya, duniya se dosti karvayi. Mujhe meri zindagi ki sabse accha vakt diya.

Jo duniya tum ne dikhayi, jis duniya main jeena tum ne sikhaya ab us duniya main tumhare bina nahi jee paa rahi hu.

'Chipkali chipkali' kehke Jo tum mujhe pukaarte the, ab mujhe chipkali kehke koun bulaayegaa koun mujhe chidaayega. Bohot dard hota Hain jab yaad aata Hain ki ab mujhe chipkali aur chamgadar ka khissa khatam ho gaya hai.

Bohot dard hota hai jab main Rooh ko apne papa ke liye taraste Hui dekhti hu.Tum kehte the na Jo humne apne zindagi main sabse zyada miss kiya...apne papa ko...vo hamari bacche kabhi nahi dekhenge.Humari beti bhi humare tarha papa ke liye tarasti hain.

Sochti thi ki main tumhe, tumhare smile ko,tumhare cuteness ko bohot zyada miss karungi. Lekin thanks to our beti Jo bilkul tumpe gayi hai. Sirf dikhne main nayi par uski harkate, smile, sabke liye uski pyaar sab tumhaari tarha hain. Use dekhte main saari zindagi kaat sakti hoon.Himmat milti hai mujhe. Zindagi jeena tho usi din chod di jis din tu mujhse door hogaya,ab sirf kaat ti hoon.

Bohot zor se chillake puchna chahti hoon bhagwan ji se ki meri aur Rooh ki zindagi se tumhe door kyun kiya. Afsos hain ki use kabhi bhi pata nahi chalega ki uski papa kitne acche the aur uss se kitna pyar karte the.

Ek baar tumhe milna chahti hoon. Tumhare haath pakad ke lake side pe walk karna chahti hoon.Vaadha Kiya tha tumne, ek baar aaoge naa?

                                      -Tumhari Chipkali

A Letter to Chamgadar حيث تعيش القصص. اكتشف الآن