Ekam - accha court ne hum dono ko 6 mahine ka time diya tha to ye faisla tum akele kaise le sakti ho tumne mujhse ek baar bhi poocha ki me kya chahata hu mujhe kya chahiya jo bhi faisla hoga wo hum dono ka hoga na ki sirf tumhara 

Then ekam leaves to his room 

Renuka - ye ekam ko kya ho gya hai ye manega bhi ya nhi 

Harleen - aap tension mat lo mom me ekam ko mna lungi 

Nehmat - ekam bhale hi maan jae pr me nhi manugi mujhe ekam se shadi nhi karni hai me aur Sartaj yahan se jaa rhe hai 

Renuka Nehmat ke samne haath jodti hai - Nhi Nehmat tu kahi nhi jaaegi please hamrae ghar ke waris ko humse door mat kar me tere pair padhti hu

Nehmat - I am sorry aunty pr mujhe jaana hi hoga 

Harleen - nhi Nehmat tu kahin nhi jaaegi Mom ki halat dekho tumhe taras nhi aa rha kya ro ro kar inka bura haal ho gya hai 

Sartaj - Ha Nehmat dekho kahi taaiji ki tabiyat na bigad jae hume abhi nhi jaana chahiye hum koi na koi solution nikaal lenge 

Nehmat - theek hai aap keh rhe ho to hum ruk jaate hai pr me ekam se shadi nhi karungi ye mera aakhri faisla hai 

Thabhi Nehmat bhi apne kamre me jaati hai aur Sartaaj bhi uske peeche peeche jata hai

Harleen - aap bilkul bhi chinta mat kijiye mom ekam aur Nehmat dono manege wo is bacche ki parents hai aur wo sirf apne baare me nhi soch sakte unhe apne bacche ke baare me bhi sochna hoga unhe saath aana hi hoga aur wo saath aaenge ye mera wada hai me unhe mna kr hi rahungi

Renuka - me janti hu ki tere saath galat kr rhi hu phir bhi tu is ghar ke liye itna kr rhi hai me tere liye kuch kr to nhi sakti bs tujhe aashirwad de sakti hu ki tu hamesha khush rahe 

In Ekleen Room

Ekam - Nhi Harleen aaisa nhi ho sakta

Harleen - pr tumhe ye karna padega ekam apne bacche ke liye tumhe ye karna padega 

Ekam - Harleen me tumse bahout payar karta hu tumhare bina me reh hi nhi sakta 

Harleen - me bhi tumse bahut payar kati hu ekam pr me selfish nhi hu tumhari tarah 

Ekam - kya me selfish hu 

Harleen - ha aur nhi to kya tum selfish ho tum sirf ane baare me sochte ho jab tum Nehmat se payar karte the aur use pane ke liye tumne mujhe dokha diya tha tabhi tum selfish the aur aaj jab tumhare baby aur Nehmat ko tumhari zaroorat hai aur aaj tum unke pass nhi jaa rhe kyunki tum mujhse payar karte ho to aaj bhi tum selfish hue na 

Ekam - Harleen tum kya bol rhi ho tumhe abhi samajh nhi aa rha hai baad me tum regret karogi aur mene keh diya na to me tumhe divorce dunga aur na hi Nehmat se shadi karunga baat khatam jisko jo sochna hai soche mujhe farak nhi padta

Harleen - tumhe farak padega bhi nhi sach to yeh hi hai tumhe kisi ki emotions feeling ki kadar hi nhi hai tumhari ma kya chahati hai tumhe isse koi matlab nhi hai tumhe sirf aur sirf apne aap se matlab hai

Ekam - accha batao jo meri mom chahati hai kya tum bhi wahi chahati ho kya tum mere bina reh paaogi 

Harleen - rehna padega ekam tumhe mujhe bhoolna padega aur time ke saath sab kuch theek ho jaega pelhle tumhe lagta tha na ki tum Nehmat ke bina jee nhi paaoge pr time ke saath saath sab theek ho gya na waisa hi aage bhi ho jaaega aur tum mujhse saccha pyaar karte ho na 

ekam - Ha Harleen bahut payar karta hu tumhare liye kuch bhi kr sakta hu 

Harleen - mujhse promise karo ki mujhe divorce doge tum 

Ekam - pr Harleen 

Harleen - abhi to tumne kaha na ki mere liye kuch bhi kr sakte ho accha ekam ek baatao kya tum apne dad ko miss karte ho 

Ekam - ye sawal kaha se aa gya beech me 

Harleen - jo puch rhi hu uska jawab do kya tum apne dad ko miss karte ho 

Ekam - Ha Harleen me bahut miss karta hu unhe pta hai aaj me jo kuch bhi hu na apne dad ki wajah se hu

Harleen - accha kyun miss karte ho tumhare pass mom hai tumhari puri family hai jo tumse bahut payar karti hai phir kyun unhe miss karte ho 

Ekam - ye kaisa sawal hua ha mana ki puri family mujhse bahut pyar karti hai pr meri life me sab ki apni jagah hai meri dad ki apni jagah hai aur unki kami mere life me koi pura nhi kr sakta 

Harleen - exactly ekam yahi to me tumhe samjhana chahti hu ki ek bacche ki life me ma baap ki kami koi pura nhi kr sakta mana ki Sartaj bol rhe hai ki wo tumhare baby ko kabhi dad ki kami mehsoos nhi hone denge pr ekam uske baap to tumhi rahoge na jaise tumhari life me tumhare dad ki kami koi puri nhi kr sakta waise hi tumhare bacche ki life me bhi tumhari kami koi puri nhi kr sakta aur ekam wo tumhara baccha hai tumhari zimmedari hai aur jis ekam ko me janti hu wo apni zimmedari se peeche nhi hat sakta 

Ekam - theek hai wo baccha meri Zimmedari hai Nehmat nhi to me us bacche ko is ghar me le aaunga aur me apni baap hone ki sari zimmedari puri karunga pr iske liye hum dono ko alag hone ki zaroorat nhi hai 

Harleen - accha matlab tum us bacche ko uski ma se door karoge ekam wo baccha jitna tumhara hai utna Nehmat ka bhi hai tum dono saath milkar apni zimmedari kyun nhi utha sakte 

Ekam - theek hai rhe na wo is ghar me kon mana kr rha hai usse pr me usse shadi nhi kr sakt 

Harleen - aacha jab wo baacha bada hoga aur puchega ki tum dono ki shadi kyun nhi hui hai tum dono aaise alag alag kyun rehte ho to kya jawab doge kya tumne ek baar bhi apne bacche ke future ke baare me soch hai ki aage jakar us par kya asar pad sakta hai 

Ekam - me kya karu Harleen ek taraf meri zimmedari aur ek taraf mera payar 

Harleen - ekam tum ek police officer ho na to tumhr ye sikhaya gya hoga ki kabhi payar aur zimmedari ke beech me se kisi ek ko chunna ho to tum zimmedari ko chunoge phir ab kya ho gya ekam please man jao tumhare bacche ko tumhari zaroorat hai ekam plesae mere khatir man jao 

Ekam - theek hai pr me tumhare bine kaise rahunga 

Harleen - ekam hamre beech husband wife ka rishta khatam ho rha hai pr friends hum hamesha rahenge 

Ekam - theek me to maan jaaunga pr Nehmat kabhi nhi manegi 

Harleen - wo bhi maan jaegi ekam me baat karungi usse me manaungi use pr tum maan gye ho na ab tum isse peeche nhi hat sakte ekam 

Ekam - theek hai agar Nehmat maan jaati hai to me bhi ready hu

Ekam in mind - mujhe to maan na pada kyunki meri majboori hai I wish Nehmat ki tu kabhi na mane hamari shadi ke liye taki mujhe Harleen se kabhi door na hone pade











Naabot mo na ang dulo ng mga na-publish na parte.

⏰ Huling update: Sep 28, 2023 ⏰

Idagdag ang kuwentong ito sa iyong Library para ma-notify tungkol sa mga bagong parte!

Ekleen and Nehtaj Ki UdaariyanTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon