Part 6

1K 60 19
                                    

Scene starts in Abhinav's house,
Abhinav was in the kitchen. Just the Akshara woke up yawning and saw Abhinav.
Abhinav: Arrey Akshara jii.....uth gayi aap?
Akshara: Haan......kal raat ko bohot der tak Muski ke saath baatein kar rahi thi....isiliye uthne mein der ho gayi. Waise aap khana bhi bana lete hain?
Abhinav: Jii bilkul.......bachpan se maine hi toh Muski ke liye hamesha khana banaya hain.
Akshara: Acchi baat hain yeh toh.......par mujhe khana banana nahi aata hain......
Abhinav: Koi baat nahi jii....aapko Muski sikha degi. Usko bhi bohot accha khana banana aata hain.
Akshara: Hmm...waise aap bana kya rahe hain?
Abhinav: Pyaaz de parathe.
Akshara: Wahh! Mujhe toh bohot pasand hain.......
Abhinav: Sach mein jii? Yeh toh badhiya ho gaya. Yeh mujhe bhi bohot pasand hain.
Akshara smiled.
Akshara: Abhinav jii.......yaha aas paas.....kahi koi college hain kya?
Abhinav: Haan jii bohot saare hain...par aap kyun dhoond rahi hain? Aapki padhai puri nahi hui kya? Haww! Aap college drop out ho?
Akshara glared at Abhinav.
Abhinav: Vo...main mazaak kar raha hoon jii....bura mat maaniye........main waise bohot lame jokes maarta hoon isili wajah se mere dost bhi nahi bane. Par main hamesha kosish karta hoon ki kisi ko impress karke dost bana loon par.....
Akshara: Mujhse dosti karne ke liye mujhe impress karne ki zaroorat nahi hain........
Abhinav: Jii?
Akshara: Kya jii? Dekhiye mujhe ghuma fira kar baat karne ki addat hain nahi....isiliye saaf saaf pooch rahi hoon. Kya aap mere dost banenge?
Abhinav: Par mujhse aap bore ho jaaengi bohot jaldi........
Akshara: Nahi houngi...don't worry.....friends?
Abhinav: Friends jii.....waise aap college ke baare mein kyun pooch rahi thi?
Akshara: Mujhe job chahiye.......main qualified hoon.
Abhinav: Par Akshara jii aap abhi......iss halat mein.....
Akshara: Iss halat mein matlab?
Abhinav: Kal maine aapki aur Muski ki baatein sunn li thi. Mujhe sunn kar bura laga ki aapke saath jo bhi hua......
Akshara(sternly): Maine bohot mushkil se himmat jutai hain. Jo kuch bhi hua...uss baat ka afsoos mana kar saari zindagi nahi rehna chahti main. Isiliye maine ek job join karna chahti hoon.....independent bann na chahti hoon taa ki zindagi mein agar kabhi peeche mud kar dekhu na aaj se 50 saal baad....toh aisa na lage ki zindagi mein maine kiya hi kiya.
Abhinav smiled.
Abhinav: Bohot accha faisla hain jii aapka.....aapko main le chalunga....aaj aapko raasta dikha doonga toh aage se aap akele jaa paaengi.
Akshara: Thank you.....friend....
Abhinav smiled.

Scene shifts to the bus stop of Gadchiroli,
Kairav came down from the bus and sat down at a dhaba.
Kairav: Ek chai dena.......
Kairav called Akshara up but it was switched off.
Kairav(in mind): Akshu ka aakhri location yahi track hua tha. Par itni badi jagah par kaha hogi Akshu? Ek kaam karta hoon......unke saath mil kar dhoond ta hoon.
Kairav left.
Scene shifts to a lonely road,
Akshara stood there glaring at Abhinav who was standing there bowing his head.
Akshara: Muski ne aapko kaha tha na? Ki scooty mein petrol nahi hain? Toh aapne kya kaha? Nahi nahi Muski.....petrol kaafi hain...maine bharwaya tha....aur ab........
Abhinav(raising his head): Main zarasal bhool gaya tha Akshara jii ki maine pichle kuch dino mein itna travel kiya ki petrol khatam ho gaya.
Akshara: Very good hain jii......ab hum kare toh kya kare iss sunsaan sadak par?
Abhinav: Chalte hain.....chalte chalte pohoch jaaenge bas 2 ghante ki duri par hi hain.
Akshara: Chal kar 2 ghante mein pohoch jaaengi?
Abhinav: Nahi jii...vo scooty se 2 ghante mein pohoch jaate.......chal kar pata nahi kitna time lagega.
Akshara sighed irritated.
Akshara: Ab hum beech sadak mein kuch kar toh sakte hain nahi? Chaliye.....chalte hain.....pohoch hi jaaenge.
Abhinav(with a smile): Main wahi toh......
Akshara glared at Abhinav.
Abhinav(smile vanished): Keh raha tha jii....chaliye......
Akshara and Abhinav started walking.

Scene shifts to Maheshwari Villa,
Kairav rang the door bell. A woman in her early 70's came and opened the door. She was revealed to be Rajshri Maheshwari.
Rajshri: Jii?
Kairav: Aapne mujhe pehchana nahi?
Rajshri: Um...nahi beta...kaun ho tum?
Kairav touched Rajshri's feet and then spoke.
Rajshri: Khush raho......par tum ho kaun?
Kairav: Main Naira aur Kartik Goenka ka beta hoon....Kairav...oh sorry....Kairav Kartik Goenka.
Rajshri smiled widely.
Rajshri(caressing Kairav's face): Kitna bada ho gaya tu......kitna wakt ho gaya tujhe dekhe hue. Bilkul meri Naira ki aankhe......wahi muskaan.......aa jaa andar aa....
Kairav came inside the house.
Kairav(in mind): I really hope ki yaha se mujhe koi maddat mil jaaye Akshu ko dhoond ne ke liye.
Scene End.

(I don't know wether you all will like this part or not. I am really sorry if you don't like this part. I will try my best in the next part. Please forgive me for this part everyone. Also sorry for the delay.)

Humdard❤️💕Hikayelerin yaşadığı yer. Şimdi keşfedin