" Jhoot mat bolo Amy. Maine kuch daer pehle hi tujhe blush karte hue dekha. " Anjali said with a smirk. Armaan blushed even more, and they all whistled. 

" Kya yaar tum log bhi? Aur Amit. Tu toh aise baat kar raha hain jaise tu kabhi blush nahin karta. "

" Main kahaan blush karta hoon? "

" Kyun? Jab hum log tujhe Sapzi ko le ke tease karte the, tab tu laal, neela, peela, hara, bhara, laal ke jitney bhi shades hain, sab tere mun pe dikhaayi dete the tere chehre par. " Sapna blushed at this. They all whistled again. 

" Ok guys, bas. Mazaak band. Amy, Ridzi kahaan hain? " asked Anjali.

" Woh toh so rahi hain. "

" Good. Ab dhyaan rakhna ki Ridzi ko iss waqt kuch bhi pata na chale, warna probem ho jaayegi. "

" Kya nahin batana hain Ridzi ko? " They all looked at the door, and saw Riddhima standing there in her red nighty, looking at them suspiciously. The gang looked at each other, and then at Riddhima. 

" Woh... woh... Ridzi... " Atul stuttered.

" Woh Ridzi, hum humare past ke baare mein baat kar rahe the. Yaad hain jab hum Lonavla gaye the, aur tu humme uss disc mein le gayi thi, bas usski baat kar rahe the. " Muskaan said.

" Subah ke saade paanch baje? "

" Kyun? Baat karne ke liye kya time dekha jaata hain? "

" Nahin. Bas aise hi pooch rahi thi. " Riddhima said with a smile. 

" Ab jab hum sab yahin hain, toh let's talk about the plans for the day. Rahul, aaj hum kahaan jaaye? " Riddhima walked over to the couch, and sat beside Armaan, and asked.

" Umm... let's go to Gilbert Trail. " Rahul suggested.

" What's so unusual about this place? " asked Anjali.

" Nothing's unusual. Yeh ek trail hain, jo long walk ke liye ek dum perfect hain. It's natural beautiful. "

" Hmm. Humme aaj vahin pe jaana chahiye. Waise bhi kal ke noisy day ke baad, thodi shanti to milni hi chahiye. " said Sapna.

" Yea. "

" Toh hum ek kaam karte hain, thodi daer ke liye so jaate hain, aur phir ek-do baje hum nikalte hain. Ok? " said Muskaan.

" Sure. "

" Ok, toh main chalti hoon. " Riddhima said with a smile, and then left for her room, while the others stayed back, and looked at each other.

" That-was-so-freaking-close. " said Atul.

" I know. Ek second ke liye toh main darr hi gayi thi. " said Anjali. 

" We gotta be careful now. " said Muskaan.

" Kyun? " asked Armaan.

" Kyunki... maine kuch din pehle hi Ridzi ko ek chota sa hint diya tha, jiss mein usse thoda sa vishwaas toh ho gaya tha ki Amy bilkul nirdosh hain. "

" Iss mein careful hone ki kya baat hain? Yeh toh achha hain na? Hum yeh hi toh chahte the ki Ridzi Amy par vishwaas karein. " said Rahul.

" Problem ye hain, ab Ridzi aur bhi zyaada alert hogi. Woh sab kuch jaanne ki koshish karegi usske liye khatra ban sakta hain. She's always curious about everything. And curiosity always kills the cat. "

" Don't worry Muski. Riddhima ko sab pata chalega. Lekin tab hi, jab main chaahunga. " said Armaan. 

On the other hand, Riddhima was pacing up and down the room.

AR FF "Betrayal"Where stories live. Discover now