RS: raj mujhe haseena ka Sara record chaheay abhi isi waqt uska record mangwao. Beta tum baith jao kab tak khari raho gi thak jao gi.
Raj kiyà tumharay school mei aaisi koi policy nahi hai Jo in jaisay bachon k liey bani hun. Har saal charity mei meri taraf say kaafi paisay tumharay school fund mei jatay hain toh woh spend Kahan hotay hain aakhir?

Raj: woh mei...

RS: mujhe unka bhi record chaheay raj abhi isi waqt..

Raj: Mr Singh apko Kal tak Sara record mil jaey ga.

RS: Kal nahi mujhe abhi isi waqt chaheay.

Raj: theek hai mei mangwata hun.

After reading files carefully...

RS: raj haseena k record ko deekh k lagta hai she is one of the most intelligent and brilliant student. Aaisay hi heeray humari desh ko buhat unchai tak lay ja saktay hain, tum is kaali ko phool bannay ka mooqa toh do. Isay khilnay say pehlay hi toar dayna Sara ra sar  bewakoofi hai. Or yeh funds k paisay Jo haseena jaisay bachon par kharach honay chaheay, un say tumharay ghar walon or rishtadaron ki fees ja rhi hai. Raj tum or tumharay relatives school fees afford kar saktay ho toh phir yeh sab kyun? I am really disappointed. Koi baat nahi beta tum chinta mat karo. Aaj say tumhari parhai ki sari zimadari meri hai.

HM: thank you so much sir.

Singh Mansion:

Kanta yeh sab kiyà hai or yeh khana table par kyun para hai abhi tak.  Tum log buhat lazy ho, ek number k nikamay or kamchor ho. Jab tak tum logon say Kaha nahi jaey kuch nahi kartay ho.

Kanta: Didi yeh chotay sahab ka khana hai, unhon nay nahi khaya hai abhi tak.

MS: Anu nay khaya nahi khaya par kyun?

Kanta: Didi chotay sahab ko yeh khana pasand nahi aaya unhon nay pasta khana hai shalu di un k liey pasta bana rhi hain.

Ms: theek hai tum yeh sab platein yahan say uthao or kitchen mei rakho.

Kanta: ji Didi. Or yeh khana iska kiyà Karna hai?

MS: yeh bacha hua khana Kaun khaey ga isay dustbin mei dal do.

RS: koi bhi khana dustbin mei nahi jaey ga, mena Anu say kaho yeh khana chup chap khaey. Koi pasta nahi bannay ga us k liay.

MS: par Rakesh ji Anu ko yeh khana pasand nahi hai.

RS: pasand ho ya na ho usay yahi khana hoga . Tum janti bhi ho mena is desh mei kitnay log hain jinhain do waqt ki roti bhi naseeb nahi hoti. Or tum is tarha khana barbad kar rhi ho. Anu ko agar yeh pasand nahi hai toh na khaey. Par us k liay alag khana nahi bannay ga.

MS: Rakesh ji beta hai ap ka woh, ap kaisay usay bhooka deekh saktay hain. Jo log ghareeb hai hum nay toh un say kuch nahi chena hai toh ap kyun humaray betay k mun say niwala cheen rhy hain. Un logon ko khana naseeb nahi is mei meri ya mere betay ki kiyà ghalti. Waisay bhi bhagwan nay humain itna diya hai, ap apnay betay ki itni choti si zid poori nahi Kar saktay.

RS: mena tum nay sir charha rakha hai Anu ko. Uski choti choti zid poori kar Kay tum nay usay bigar diya , aaisa na ho Kal ko woh zid mei humain koi nuksan na pohncha day.

MS: ap say bus yahi umeed thi Rakesh ji.

KS: mama mujhe bhook lagi hai khana do na.

MS: kamla Kashi ko bhook lagi hai us k liay khana lao. Kahan mar gae ho sunai nahi dayta kiyà ?

RS: mena Kashi tumhari beti hai usay khana dayna tumhara farz hai. Jao Kashi k liay khana lay k aao

MS: Rakesh ji ghar mei itnay naukar hain mei kyun khana laun. In k hotay huay mei kyun koi Kam karun. Kamla behri ho gae ho sunai nahi dayta kiyà? Saray k saray kamchor hain.

RS: mena tum nahi sudhro gi.

KS: baba sa yeh khana kis ka hai mei kha lun?

RS: ha beta kyun nahi yeh khana ap k bhaiya nay nahi khaya hai ap kha sakti ho

MS: Kashi choro usay. Ek toh basi khana hai or thanda bhi hai, tumharay baba sa buhat kanjoos hain. Itnay paisay honay k bawajood bhi bachon par kharach karnay k liay in Kay pass kuch nahi hai.

RS: mena yeh kaisi tabiyat day rhi ho tum bacho ko rizq ki qadar Karna sekho tum toh unhain bigar rhi ho.

MS: kiyà Rakesh ji Kam say kam bachon k khanay peenay par toh koi rok tok na lagein ap.

*****************

Precap:

What happened when 12 years old junior Anubhav meets haseena.

Kareena friendship...

I hope you like this part too. Thank you all for great response. Sorry for grammatical errors..

Story concept and credit goes to:
@anvisha504

TERA SATHWhere stories live. Discover now