KS: theek hai sir jai Hind

AS: jai Hind.
KS (pov): bus bhaiya hum ab apko Ms ko aur takleef daynay nahi dyn gay, mana k unhon nay Jo kiyà tha na hi usay bhula aasan hai na hi unhain maaf karna, hum bhi abhi tak unhain maaf nahi Kar paen hain, baton baton mei humaray mun say bhi un k liey na chahtay huay bhi sakht baat nikal jati hai, kyun k bhaiya hum ap say buhat pyar kartay hain apko dukhi deekh k humain bhi dard hota hai, par hum yeh bhi nahi chahtay k ap unhain is tarha takleef dyn.

HM: KS ap yahan thanee k gate par khari kiyà soch rhi hain?

KS: bhaiya aaey thy yahan?

HM: ha koi Kam tha unhain ap kyun pooch rhi hain.

KS: bus aaisay hi. Ap nay us Raju ko pakarnay ka Kaha tha hum lay aaey hain usay pakar kar, buhat akar hai us mei baat nahi maan rha tha baal say khench k laey hain hum usko.

HM: acha kiyà ks good job, ab aagay ka plan sunain.

KS: Ms is mei buhat khatra hai ap wahan akelay jaen gi.

HM: ha kyun hum nahi ja saktay kiyà?

KS: ja sakti hain par....

HM: par kiyà ks??

KS:  hum jaen agar ap kahen toh.

HM: nahi apko pehlay hi kaafi choatain lag chuki hain ap apna khayal rakhain.

KS: Ms ghao toh kaafi aaey thy par ap nay marham laga diey hain.

HM: woh toh humara farz tha ks , apka or humara senior junior k ilawa bhi koi rishta hai yeh ap manain ya na manain magar hum apko apni choti behan mantay hain , agar koi humari choti behan hoti toh bilkul apki tarha hoti.

KS: jantay hain achay say kaisi behan hai ap, behan ki khushiyan chenay mei ek pal k liay bhi nahi sochti hain.

HM: aapi khush hai ks Saad k Sath, hum nay un say koi khushi nahi cheeni hai, woh Jo chahti thi unhain wahi mila hai.

*************

At evening:

Anubhav is in thanee came to pick his wife and waiting her for almost an hour. Atlast he asked ks where is haseena. Only Karishma is there.

AS: ks haseena Kahan gae hai or kab tak aaey gi, itni dyar ho gae hai. Hum kab say uska intezar Kar rhy hain

KS: toh ap ghar chalay jaen or khud aa jaen gi, waisay bhi maa nay ap dono ko alag alag rehnay ka Kaha hai.

AS:  Kashi woh abhi bhi humari patni hai or humari responsibility hai. Hum usay liey bina nahi jaen gay.

KS: wah aaj do saal bad apko apni responsibility yad aa gae Kahan tha yeh pyar do saal pehlay tak.

AS: hum nay aaj tak buhat ghalat kiyà hai us k sath par ab ghalat nahi Karna chahtay.

KS: bhaiya hum samjh rhy hain ap kiyà Chahtay hain.

AS: ap haseena ko call Karen abhi isi waqt humain kuch garbar lag rhi hai, or us nay toh humain kisi case k baray mei nahi bataya.

KS: call nahi utha rhi hain Ms.

AS: Kahan gae hai woh humain address dyn hum abhi jatay hain wahan.

KS: Ms nay mana kiyà hai hum nahi day saktay.

AS: dekhain ek toh woh humari patni hai or dosra hum is shehar k DSP hain humari patni Kahan hai or ek DSP honay k natay ek  SHO kab Kahan ja rha hai humain jannay ka poora idikar hai.

KS: ap chinta mat karen woh aa jaen gi.

AS: kashi ab hum say aur intezar nahi ho rha. Hum ja rhy hain haseena ko laynay bus.

Hate Or LoveWhere stories live. Discover now