SS, CC and KS: jai Hind sir ap yahan? All together.

AS: jai Hind. Aray ap log humain yahan deekh k pareshan kyun ho rhy hain hum nahi aa saktay yahan ? Or hum nay socha k routine visit subha subha ho jaen toh acha hai. Waisay bhi hum haseena ko drop Karnay aa hi rhy thy.

SS: kyun kiyà hua MS ap nay apnay auto walay ko nikal diya kiyà? Acha kiyà Ms mujhe woh Zara bhi pasand nahi tha ek number ka cheap insan hai jab dekho flirt karta rehta hai.

AS: haseena woh ap say flirt karta tha ap nay humain bataya kyun nahi or ap kaisay yeh sab bardasht kar sakti hain us k khilaf koi action kyun nahi liya.

HM: Anubhav .... Sorry humara matlab hai Anubhav sir woh sirf humari tareefain karta tha koi aaisi waisi harkat nahi ki k hum us k khilaf action lyn.

AS: phir bhi kyun bardasht karti thi ap uski batein. Ghalti sari apki hai.

HM: sir humari is mei kiyà ghalti hai.

AS: ghalti apki nahi toh kis ki hai ap hai hi itni Sundar koi.( mummered).
He said slowly but she listens and smiles on his compliments.

HM: sir ap nay jawab nahi diya is mei humari ghalti kiyà hai.

AS: dekhain MS mallik ghalti ap ki hi ho gi agar pehli bar mei hi ap usay dant dayti toh woh aaisa dobara nahi karta.

HM: Sahi Kaha ap nay sir ghalti humari hi hai par kiyà Karen humaray pati nay kabhi humari tareef nahi ki na.

AS: toh ap chahti hain k woh apki tareefain Karen.

HM: nahi hum nay toh aaisa nahi Kaha kuch.

AS: ks hum chaltay hain humain head quarter jana hai ap waqt par khana kha lijeay ga. Kaafi kamzoor hoti ja rhi hain ap.

PS: sir apki ankhain toh theek hai karishma ji or kamzoor waisay inhain bolnay ki zaroorat toh hai hi nahi chahay koi kahay ya nahi yeh bina bolay waqt par khana kha layti hai or us k bawajood bhi zayda bhook lagay toh humara dimagh bhi...

KS: pushpa ji matlab ek din bhi ap hum say laray bina nahi reh sakti hain na.

HM: bus dono phir say shru mat ho jaeay ga.

AS: hum chaltay hain haseena ap hi ki himmat hai inhain sambhalnay ki warna agar hum apki jagha hotay ya toh resign kar daytay ya in sab ka transfer kahen aur karwa daytay.

HM: jai hind sir.

AS: jai Hind yad rakheay ga Jo hum nay ap say subha Kaha tha.

HM: ji sir zaroor.

The marks on her arms is still visible, karishma sees it and she knows very well who is behind this? She understands what her brother did with her, she knows that are not happy with each other, apart from this she unable to digest what she saw today? They came together and her brother speaks softly, politely and lovingly with her.

KS ( pov): aakhir kiyà chal rha hai bhaiya k dimagh mei , aaj say pehlay toh kabhi Ms ko thanee drop Karnay nahi aaey, mana k sab k samnay woh Ms say pyar say baat kartay hain par aaj subha wali baat bhi kuch hazam nahi ho rhi hai, yeh bhaiya usi waqt itnay meethay bantay hain jab un k maan mei kuch chal rha ho. Par Ms k hathon or galay mei woh nishan hum jantay hain yeh zakham unhain bhaiya nay diey hain, kahey nahi bata daytay woh maa ko sab kuch, kyun Ms par bhi zulam kartay hain or khud par bhi. Hum jantay hain bhaiya Ms ko takleef daynay k bad wahi choat khud ko bhi daytay hain. Lekin abhi Jo bhaiya nay Kiya hai MS k Sath woh buhat ghalat hai unhain Ms ko choat nahi pohchani chaheay thi jab woh jantay thy k Ms ki tabiyat bhi theek nahi hai, unhain bukhar hai, bhaiya k torture ki wajah say Ms ko hospital mei admit rehna para.

Hate Or LoveWhere stories live. Discover now