Maa: hum apni bachi say mil saktay hain kiyà ?

Doctor: ha kyun nahi?

Maa: haseena beta kiyà ho gaya hai tujhe hum tujhe mana kartay thy k itna Kam mat kar bemar par jaey gi dekha wahi hua na, khayal bhi toh tu nahi rakhti hai apna, apnay Siwa tujhe sab ka khayal hai ek bus apna nahi hai.

AS: maa ap thora kuch kha lyn subha nashata bhi nahi Kiya tha ap nay.

Maa: nahi Jab tak humari bachi theek nahi ho jati hum kuch nahi khaen gay.

AS: is tarha toh Jan k Sath Sath ap bhi bimar par jaen gay, or apko bimar deekh k woh bhi pareshan ho jaey gi.

Maa: Anu kiyà Karen hum phir tu bata.

AS: maa ap aaram Karen ghar ja k hum haseena k sath hain yahan.

He saw marks on her arms which he quickly hides with blanket.

Maa: hum usay kaisay chor k jaen.

KS comes.

KS: bhaiya kiyà hua hai, maa theek toh hain pata hai jab ap nay phone kar k humain hospital aanay ko Kaha toh hum kitna dar gay thy.

Maa: hum theek hain beta par haseena.

KS: kiyà hua hai inhain.

AS: buhat teez bukhar hai behosh ho gae thi. Looking worried.

KS: bhaiya hosla rakhain Ms jaldi theek ho jaen gi, kiyà Kaha doctor nay.

AS: medicine or injections diey hain thori dyar mei hosh aa jaey ga isay.

KS: shukar hai inki tabiyat behtar hai.

AS: behna ap maa ko ghar lay k jaen or inhain kuch khila k dawaen day dayna hum yahan hain haseena k sath.

KS: ji bhaiya agar kisi cheez ki zaroorat paray gi toh humain Zaroor bataeay ga.

AS: ji zaroor par ap maa ko ghar drop kar k thanee Chali jaen haseena bhi wahan nahi hai toh apka wahan hona zaroori hai.

KS: ji bhaiya hum chalay Jaen gay. Chalen maa

Maa: theek hai hum ja toh rhy hain tu humari bachi ka khayal rakhay ga jaisay hi usay hosh aaey humain phone karna.

AS: ha maa hum us k hosh mei aatay hi uski baat ap say karwa dyn gay.

************

Here she gains conscious and he is sitting next to her holding her hands.

AS: Jan kaisi ho tum and hugged her tightly humain maaf kar do hum say buhat bari ghalti ho gae hai, humain aaisa nahi Karna chaheay tha , hum sab jantay thy k tumhain itna shadeed bukhar hai phir bhi hum apnay gussay par qabo nahi rakh paey. Sorry hum wada kartay hain k tumhain ab kabhi humari wajah say koi takleef nahi hogi. Hum buhat sharminda hain haseena, hum Jantay hain k hum buhat buray hain, buhat zulum kiyà hai hum nay tum par ab aur nahi, please....
Crying badly she padded his back to makes him clam.

HM: Anubhav aaisay mat roen humain takleef hoti hai buhat, ap nay kuch nahi kiyà hai .

AS: kaisay kuch nahi kiyà hai dekho yeh nishanat yeh saray zakham humaray hi diey huay hain, he starts scratching his body " hum khud ko saza dyn gay haseena" but she holds his hand.

HM: Anubhav apko apni ghalti ka ehsaas hai humain aur kuch nahi chaheay please ap mat roen warna hum bhi to dyn gay....

He applies ointment on her wounds.

Doctor enters:  kaisi ho haseena?

HM: suhana tum kaisi ho kitnay dino bad mulaqat hui hai.

AS: ap dono batein karen hum haseena tumharay liay kuch lay k aatay hain.
HM: ji theek hai.

Doctor : haseena mujhe tum say baat karni hai.

HM: ha bolo..

Doc: yeh batao tumhari shadi shuda zindagi kaisi ja rhi hai, koi problem toh nahi hai.

HM: nahi bilkul nahi hai tum kyun pooch rahi ho

Doc: jhoot mat bolo haseena mei tumhari friend k Sath Sath ek doctor bhi hun, jab tumhari Saas or pati tumhain yahan lay k aaey thy toh mei nay tumharay jism par choat k nishanat dekhay thy, jaisa k kisi nay tumharay Sath zabardasti ya tumhain torture Kiya ho. Waisay toh aaisay Jo bhi cases aatay hain mei sab say pehlay Police ko inform karti hun magar tum toh khud ek police officer ho phir yeh sab kyun bardasht kar rhi ho , kyun nahi karti ho complain us shaks k against.

HM: suhana dekho Anubhav aaisa nahi hai jaisa tum sooch rhi ho balkay woh ek Caring or loving husband hai.

Doc: yani k tum kehna chahti ho us nay tumharay Sath kuch nahi kiyà toh batao phir yeh nishan Kahan say aaey hain tumhari body par agar us nay kuch ghalat nahi kiyà hai toh?

HM: ghalat us nay nahi humari qismat nay humaray Sath kiyà hai
She tells her everything.

HM: ab batao is mei uski Kiya ghalti .

Doc: ghalti hai haseena sab usi ki ghalti hai agar us k dil mei tumharay liey respect nahi thi woh tumhain pasand nahi karta toh shadi kyun ki, or is rishtay ko nibha kyun rha hai ,
( Here he comes and stop on the door and listen what they talk) kyun tumhain azad nahi Kar dayta or mujhe tumhari baat samjh nahi aati kyun reh rhi ho aaisay shaks k Sath.

HM: is umeed par hum reh bandhay hain is rishtay say ek din unhain sach pata chalay ga or woh humain maaf kar dyn gay, ek din zaroor aaey ga aaisa Jab unhain is baat ka yaqeen hoga k kabhi kabhi ankhon dekha sach or kanon say suni baat bhi jhoot hoti hai, ek din zaroor unki ghalat fehmi dour hogi or humaray darmiyan k fasalay mit jaen gay.

AS ( pov): kiyà waqai haseena ki koi ghalti nahi thi, agar aaisa hai toh sach kiyà hai, humain ek bar usay sach kehnay ka mooqa dayna hoga, par pehlay ek bar woh poori tarha theek toh ho jaey.

Doc: umeed karti hun aaisa hi ho apna khayal rakhna.

Here he enters with some food

AS: thank you doctor haseena yeh lo hum tumharay liay buhat hi swadish khana laen hain, to doctor doctor kiyà haseena yeh sab kha sakti hai na.

Doc: humm sure.

AS: Chalo yeh lo chup chap kha lo phir maa say bhi baat karni hai tumhain.

****************
She is now discharged from hospital after three days he was with her in the hospital , he didn't left her there even a single second. Now they are at their home , she is on the bed and he fed her with his hand and after that gives her medicine and juices.

HM: Anubhav humain neend aa rhi hai.

AS: theek hai tum aram karo hum light off kar daytay hain.

HM: Anubhav ek baat kahen agar tum bura na mano toh.

AS: ha kaho.

HM: jab hum bemar hotay thy toh hum Ammi k galay lag k soya kartay thy kiyà hum aaj maa k Sath Soo saktay hain?

AS: haseena woh Soo chuki hai tum bhi Soo jao.

HM: ok she turns on other side and closed her eyes after few minutes she feels something on her shoulder yes it is his hand, she turns to see him, he spreads his arms and she happily hugs him and sleep in that position.

*************************
Upcoming:

Divorce...??

Thank you all for giving great response 😊☺️😊

I hope you like this part also tell me in comment box, I really like your suggestions who gave.

Thanks

Hate Or LoveWhere stories live. Discover now