Maa: uff tu bhi na Anu ja haseena wardi pehan k aa.

HM: ji maa..

Maa: or tu yahan kharay kharay humara mun kyun deekh rha hai ja k tum bhi wardi pehan.

AS: maa humara aaj off hai.

Maa: teri chutti or humari bechari bahu din raat Kam karay nahi ja tu bhi pehan k aa.

AS: maa buhat side layti hain ap uski.

She comes down wearing police uniform.

HM: jai hind sir.

AS amazed: I am not on duty.

HM: ap nahi toh hum toh wardi mei hain na.

Maa: bahu aarzi...

HM: sir humain aaj k din ki leave chaheay hum kuch samay apni maa k Sath guzarna Chahtay hain, agar ap permission dyn toh.

AS: maa yeh sab kiyà hai?

Maa: bol ab toh yeh wardi mei hai or chutti mang rhi hai day day na.

AS: Jan jao uniform change kar k aao tumhari leave application tumharay DSP sir nay approve kar di hai.

HM: thank you sir par ap on duty Police officer ko Jan keh k nahi bula saktay.

AS: acha shaid ap bhool rhi hain Jan (holding her by her waist and placed his chin on her shoulder) k hum nay abhi abhi apki leave approve ki hai.

HM (whispers): Anubhav chorain humain maa deekh rahi hain.

AS: jantay hain hum. Hum sirf maa ki Khushi k liey tumharay sath ja rhy hain, kisi khush fehmi mei mat rehna.

HM: jantay hain hum.

Maa: yeh tum dono bhi chupkay chupkay kiyà batein Kar rhy ho, or Anu tujhe zara bhi sharam nahi aati maa Kay samnay hi biwi ko aaisay kas k pakar rakha hai.

AS: maa patni hai humari humara poora adikar hai, kyun Jan?

HM: ji.

Maa: acha bad mei yeh romance kar layna ab chal bhi dyar ho rhi hai.

AS: maa is samay ? Itni subha subha Kaun sa mall khula ho ga.

Maa: chal theek hai, tu apna romance ja k kamray mei kar hum bhi thori dyar aaram kar laytay hain.

AS: ji maa.

***************

In shopping mall:

Maa: haseena yeh deekh yeh saree samdhan ji par kaisi lagay gi.

HM: maa buhat pyari hai yeh saree. Maa hum toh kehtay hain k aaisay hi same saree ap bhi lay lyn, kyun Anubhav.

AS: ha maa sach mei ap par buhat achi lagay gi yeh.

Maa: theek hai tum dono kehtay ho toh hum bhi aaisay hi lay laytay hain.

AS: maa hum soch rhy hain kyun na Kashi k liay koi acha sa gold ki bracelet lay lyn.

HM: hum nay bhi yahi socha tha.

AS: toh chalen hum nay wahan ek jewellery shop dekhi thi.

Maa: tum dono jao hum yahen theek hai jantay ho na hum say zayda chala nahi Jata.

AS: koi baat nahi hum apko goud mei utha k lay jatay hain. Par Sath Jana paray ga apko.

Maa: chup kar, theek hai hum thori dyar yahan baith jaen phir chaltay hain.

Hate Or LoveDonde viven las historias. Descúbrelo ahora