PART#13 LAST PART

Start from the beginning
                                    

Roshini: mei nahi janti thi Anubhav Singh bhi kisi say kabhi itni shiddat say pyar karay ga. Mujhe toh lagta tha k yeh lafz pyar tumharay liay bana hi nahi hai Anubhav.

AS: yeh hum doston ka secret hum dono tak hi rehna chaheay promise.

Roshini: promise.

***************

Ammi: haseena tu yahan kiyà kar rhi hai.

HM: Ammi hum Mr silent 🔕 ka suitcase pack kar rhy hain, aaj woh apnay ghar janay wala hai na, ab toh mission bhi complete ho gaya hai toh us kay yahan ruknay ki wajah bhi nahi banti koi.

Ammi: haseena isay chor yahan deekh humari taraf or bata baat kiyà hai?

HM: Ammi kuch bhi toh nahi hai ap ko aaisa kyun lag rha hai.

Ammi: tu Anubhav ko chahnay lagi hai na sach bata , deekh tu hum say jhoot nahi bol sakti maa hain hum tumhari hum sab jantay hain.

HM: ha Ammi par is say kiyà farq parta hai Ammi, usay toh kuch yad bhi nahi hai.

Ammi: tu nay usay bataya ?

HM: ha Ammi ek bar jab woh hosh mei nahi tha...

Ammi: haseena jeeti raho beta hamesha khush raho, Allah tumhain sari Khushiyan day

HM: aameen.

Ammi: ek baat batao kiya tum us kay bina reh Pao gi...

HM: pata nahi Ammi humain uski aadat ho gae hai or thora waqt toh lagay ga na sab kuch dobara routine mei aanay mei.

Ammi: tu janti hai iska anjam kiyà hoga phir tu us say pyar karti hai.

HM: Ammi hum nay us say pyar karnay say pehlay uski ijazat thori na li thi, or Kahan Ammi dil par kab kisi ka zor chala hai, woh toh pata nahi kab kis kay liey dharaknay lagay aaj tak Kaun jan paya hai. Hum nay baygharz mohabat ki hai us say. Humain badlay mei kuch nahi chaheay Anubhav Say.

Ammi: shabbash beta acha hai teri mohabat bay gharz hai kyun k jis mohabat mei gharz aa jaey woh mohabat mohabat kehlanay k qabil nahi hoti.
Tu janti hai uska or tera milna mumkin nahi hai phir tu.

HM: ha phir bhi hum us say buhat pyar kartay hain or aakhiri sans tak Karen gay, Ammi ko Chahtay rehna gunnah toh nahi hai na?

Ammi: nahi meri bachi mohabat gunah nahi hai, ha woh mohabat gunah zaroor hai Jo tumhain Allah say dour kar day.

HM: Ammi hum kisi say shadi nahi Karna chahtay please ap humain kisi say shadi karnay par force nahi kijeay ga, kyun k ab yeh mohabat hum say dobara nahi hogi kisi ki khushiyan chenay ka haq humain nahi hai.

Ammi: theek hai beta jaisi teri marzi.

HM: Ammi apko pata hai hum nay apni shadi k bad Kay kitnay khawab dekhay thy par shaid koi pora nahi ho paey ga.

Ammi: bata teri sapnay kiyà thy.

HM: Ammi humain sachay desh ki Seva karnay walay log buhat pasand hain isliay hum nay socha tha k hum usi say shadi karen gay Jisay hum say zayda desh say prem ho, jis mei humain humaray Abu ki parchai dikhay, or humain us say kuch nahi chaheay hum itnay mazboot hain k kisi mard Kay saharay k bina zamanay ka dar Kay muqabala karen, Ammi hum nay socha tha Kay humara ek ya us say zayda betay ya betiyan hun toh hum sab ko apnay desh par qurban karnay say pechay nahi hatain gay. Par shaid yeh sapna sapna hi reh jaey ga.

Ammi: kab Kaun sa haqeeqat ka roop dhar lay yeh koi nahi keh sakta, chal hum neechay ja rhy hain Anubhav Kay liey us Kay maan pasand khana bananay.

HM: Ammi bus hum bhi yeh pack kar Kay aatay hain apki help karnay.

Ammi: theek hai jaldi aana par.

Silent Love 💕💕 (Anuseena):Where stories live. Discover now