❣ It was Only You [7] ❣

805 72 10
                                    


"Kyun ki Waseem ko shaq hua tha ki Aditya aap se bepannaah pyaar karthe hai aur jaldi aapko bhi unse mohobbat hojayegi Zoya"


Zoya was shocked with her ammi's confession and she immediately stood up staring at Roshnaq in surprise.

"Aa.. aap yeh kya keherahi hai ammi? Abbu ne so.. socha ki Aditya humse pya.. pyaar kathe hai? Aise kaise ammi? Aditya hum.. humse pyaar nahi karthe hai..."

There was a slight tremble in Zoya's words and walking towards the window, she looked outside at the rain that had been pouring since early morning and sobbed silently unable to understand how her abbu thought that Aditya has feelings for her and how did her younger sister assume that she's also in love with Aditya.

"Zoya, yeh aapki aabu ko hi nahi balki hume bhi lagraha tha. Bohot dino se. Aap jab bhi kaam se ghar aati thi, ya tho aap Aditya se milne jathithi ya phir Noor aur humare saath baitkar Aditya ke baareme hi batha rahi thi. Aditya aapse bepannaah mohobbat karthe hai meri bachchi, unki aankhein jhoot nahi bol rahe hai. Aapko ehsaas nahi hogaya hoga kyun ki aap Aditya ke itne kareeb hogaye hai ki aapko pyaar aur dosti mein farak nazar hi nahi aarahi.. "

Roshnaq's words made Zoya dumbfounded. Why was her family presuming that Aditya and she both has developed feelings towards each other? Roshnaq strolled towards her daughter and holding her shoulders she made her daughter face her.

"Beta, shaayad is dosti ke alava aapko abhi kuch aur maine nahi rakh rahi hogi apni zindagi mein. Aditya jis tarah se aapke liye humesha kadhe rahe hai, aapka saath diya hai, achche se khayal rakhthe hai shaayad shouhar hokar Yash ne bhi itna dhyaan nahi rakha hoga aapka. Hum jaanthe hai ki Aditya ko aapne apni azeez dost ka darja diya hai aur aapko is rishtey se bohot lagav bhi hai par beta, ye baat bhi sach hai ki dosti aur pyaar me zameen aasmaan ka farak hai. Hume Noor se patha chala aapki planning ke baareme, kaise aapne cyber crime ke through Aditya ko Paris se laane ki khoshish ki. Hume yakeen hogaya ki aap jo bhi kar rahi hai, Aditya ke saath se bhadkar aapko kuch nahi hai aur jiske kaaran aap bimar padh gayi thi, apni Event Management company ke baareme soch kar nahi balki Aditya keliye chintit hokar aap bimar hogayi thi. Aap unse baat ki Mumbai chodhne ke baareme? Kya kaha Aditya ne?"

Zoya was listening to her ammi and tried to process her thoughts about how she has been treating Aditya all along. Was it more than friendship between them? With the mention of contacting Aditya, Zoya couldn't hold her tears anymore.

She hugged Roshnaq and started crying while her ammi caressed her head. She knew that her daughter was tensed regarding Aditya.

"Am.. ammi, woh humse baat nahi kar rahe hai. Humne kitni baar us din se lekar unko phone kiya hai, message ki hai par ek hi message ya call nahi kiya unhone. Hum us din office se seedha Hooda house gaye the aur Anjana aunty hume ghar se nikhal ne keliye kaha. Unhone kaha hume Aditya ko contact karna chahiye, phir humne bola woh humari calls ko answer nahi kar rahe hai toh Anjana aunty hume daata ye kehekar ki shaayad Aditya ko humse chutkara chahiye hoga! Kya humari dosti Aditya keliye ma..mazaak hai? Humari dosti itni naazuk hai ki koyi bhi aake tod sakthe hai? Kya hum paagal hai jo Aditya se itni ummeede rakthe hai? Hum.. hume kuch achcha nahi lagraha hai ammi, hum Aditya ko bohot mis.. miss kar rahe hai. Unke bina ek adhoorapan mehsoos horaha hai, humare dil mein dard horaha hai! Hume ho kya gaya hai ammi? Unke baareme soch kar hum ek taraf pareshan hai ki use hua kya hai aur woh hume avoid kyun kar rahe hai jab hume unki zaroorat hai aur doosri taraf hume gussa aaraha hai, kitna ye hum bayaan nahi karsakthe hai. Aisa humare saath kyun horaha hai ammi? Hum unko lekar itna pareshan kyun hai?"

Roshnaq realized that Zoya indeed has feelings for Aditya which weren't under her control and which her daughter hasn't faced the reality of accepting either. She made Zoya sit and walked towards the kitchen while Zoya kept crying. Roshnaq brought a glass of water for Zoya which she drank quickly.

It Was Only YouWhere stories live. Discover now