10.DHAMM KI RAH

64 1 0
                                    

Dhamm ki rah par chal pade ho agar,

To bouddh sachche hi banne ka vada karo,

Boudh bharat ka sapna jo bhim ji ka tha ,

Usko pura sajane ka wada karo,

Dhamm ki rah par chal pade ho agar.

Aake dekho jara ,esme domat nahi ,

Jindgi apki tab savar jayegi,

Jab karoge tum shilo ka palan sahi,

Mout khud rah ane se dar jayegi,

Baba ne jo pratigye di hai tumhe,

Unko pura nibhane ka vada karo,

Dhamm ki rah par chal pade ho agar

Aese daldal me abtak ham kyo hai fase,

Jisme apna bhala koi hoga nahi,

Khudko badlo jara chhod do gandagi,

Aapka kuch bhi kam esme hoga nahi,

Samjho baba ki mansha  aur tyag ko,

Ab samay na gavane ka vada karo,

Dhamm ki rah par chal pade ho agar.

                                                                         By- Surendra Kolhekar

🎉 आपने Das Kavitaye को पढ़ लिया है 🎉
Das Kavitayeजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें