8.BHIM RAJA

120 0 0
                                    

Tu hi mera mandir ,tu hi meri pooja,

Mera vandan tujhe bhim raja,

Dalito ki tune bigdi banayee,

Manu smriti ki holi jalayee,

Aake jara kuch aur kar dikhaja,

Mera vandan tujhe bhim raja,

Bina tere lagta hai bharat adhura,

Bouddhmay bharat ka sapna karne pura,

Es dhara pe aur tu ek bar aaja ,

Mera vandan tujhe bhim raja.

Vahi buri bate fir hone lagi hai,

Sanvidha par sabki nigahe lagi hai,

Kaise badle es desh ki fija,

Mera vandan tujhe bhim raja.

Tere divane ye soch rahe hai,

Ek sangh banane ki tamanna  liye hai,

Bhed sanghatno ke tu mita ja,

Mera vandan tujhe bhim raja.

                                                                                                  By-Surendra Kolhekar

Das Kavitayeजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें