7. DHAMM KA SAR

136 0 0
                                    

Manv me manavta nahi to ,

Manav jivan hai bekar,

Buddh dhamm ka hai ye sar.

Pasu ,pakchi bhi jivan jite,unki bhi hoti santan,

Lakin itna gyan nahi ,jo Kar sake sab ki pahchan ,

Bina dhamm ke ,vayartha hai bande ,Tan tera dharti pe bhar,

Buddh dhamm ka hai ye sar.

Ek hi rang hai khun ka sab me,ek hi sab jio me pran,

Buddh dhamm bin tera bande,kahi nahi hoga kalyan,

Panchshil ko tu apna le,karle apne pe upkar,

Buddh dhamm ka hai ye sar.

Kitne hi muskil se mila hai,tujhako ye manav ka tan,

Daya dan bin vayarth hai bande ye tera manav jivan,

Buddh ki shikchcha, samajh ke karna,Dharti pe jio se pyar,

Buddh dhamm ka hai ye sar.

                                                                                        By- Surendra Kolhekar

Das Kavitayeजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें