His pain

2.3K 178 42
                                    

Few days later
HM: Kya!Kal Anubhavji Ka janamdin Hain?phir toh Hume unke liye kuch Karna chahiyen(she said excitedly)
Ks: Nahi Bilkul Nahi Bhabhi,Bhaiyya ko Bilkul Pasand Nahi apna janamdin manana..
HM: Arey par aisa kyun?
Ks: Darasal kal sirf unka janamdin hi Nahi chachaji Ka mrityudin bhi Hain..isiliye..
HM: ohh!Hume pata Nahi tha..Anubhavji bohot close the na Apne Abbu se?
Ks: bohot...Accha Bhabhi hum nikalte hein haan..warna late ho jayenge..
----------------------------
HM: kya karrahi Hain Aap Maa(she asked entering Maa's room.)
Maa: Kuch Nahi bas Anu ki bachpan ki tasveere dekhrahi thi..aaja Tu bhi Dekh.(HM went and sat beside her.)
HM: yeh Anubhavji k abbu Hain na?(she asked Ponting to a picture where a middle-aged man in police uniform was standing with a 10year old boy who was holding a trophy in his hand.)
Maa: haa..SP Vikram Singh.
HM: ek Baat puchu Maa..Baba ki death kaise hui?
Maa: (sighed heavily)accident hua tha unka..yeh tasveer Unki accident se thik ek din pahele ligayi thi..Tab Mera Anu 10 Saal Ka tha...
Janamdin tha Anu Ka..Kitna Khush tha Mera baccha intezaar Kar Raha tha Apne Baba Ka..Woh toh Nahi aaye bas ek phone Aaya phir sab khatam(she said shedding tears.Hm side hugged to console her.)
As: bas bhi kijiye aur Kitna natak karengi Aap?(both of them looked at the door to find Anubhav who has just returned from work.)..aur tum(to Haseena)..kya karrahi ho inke kamre mein?Bola tha Inse Humara koi rishta Nahi!(he shouted)
HM: Anubhavji yeh Kaisi baatein karrahe Aap!Maa Hain yeh aapki
As: Maa!(he chuckled mockingly)..Maa aisi Kabhi Nahi Hoti Hain..Maa!Chalo Yaha se Haseena.
HM: Anubhavji Aap battameezi Kar rahe Hain!Yeh koi tareeka Nahi Hain Apne Maa se baat Karne Ka(she protested)
As: (looked at her with bloodshot eyes).Koi Maa Nahi Hain humari..sirf humare Baba the humare liye aur koi Kabhi apna Nahi tha Humara!Tum chalogi ya Nahi humare Saath Haseena?(Haseena looked at Maa who looked devastated due to his outburst.She lowered her head indicating no)Thik Hain phir raho yahi..(he stormed off after punching hard on the door.)
Maa: Tu Uske Saath jaa beta..main thik Hu..
HM: koi Baat Nahi Maa..unka toh gussa humesha naak par hi hota Hain..Aap Pani piyo(giving her a glass of water.)
Pata Nahi kyun aise Hain yeh..
Maa: meri hi sab Galti Hain beta..Nahi chhodna Chahiye tha mujhe Apne bacche ko akele..(Haseena was only looking at her).toh sun aaj Tujhe sab batati Hun..

Maa: mere gharwalone meri marzi k khilaf Anu k Baba se meri Shaadi karwadi..main 18saal ki thi jab meri shaadi hui aur Anu k Baba 29saal k.
Anu k Baba Bohut acche insaan the..main Unki bohot izzat Karti thi par chahkar bhi main unse Pyar Nahi Kar payi..phir 2saal bad Mere Anu Ka janam hua..main aur Uske Baba Dono bohot Khush the..Anu k Baba toh humesha hi kaam mein lage rahete the mere akelepan Ka saathi Mera Anu hi tha..main uski taraf dekhke apna har gam bhul jaati thi..(she said caressing a picture of baby Anubhav)Sab thik hi tha...Main Apne bacche aur gaane k Saath bohot Khush thi..
HM: Aap gana gaati thi?
Maa: Haan,bohot shok tha mujhe gaane Ka..badi gaayika banne Ka..(she smiled sadly)..
Anu k Baba k maut k baad main Bohut tutgayi thi..akeli pad Gayi thi..itne Saal Ka Saath tha humdonoka..Anu chhota tha humesha uski fiqr lagi raheti thi..
Apne akelepan ko dur Karne k liye Apne gaane ko hi Sahara Bana Liya..sangit Kala Mandir ki sadassya ban Gayi..(paused for a while)aur waha main Navinji se Mili..hum Dono ek dusre ko Pasand Karne lage..aur Kuch hi mahino mein Woh Pasand Pyar mein badal Gaya..mere gaane ka aajeevika bhi kaafi Accha chal Raha tha..bohot Khush thi main..par innsab mein maine Apne Anu kO hi upeksha Kar Diya..(she said sobbing)..main Jo bhi karrahi thi Uske bhavisshya k bare mein Soch Kar rahi thi par usmein Apne bacche ko hi Akela chhod Diya Maine..Apne bacche k nazro mein itna gir Gayi ki Woh mujhse nafrat Karne laga..
Jab use pata Chala ki main Navinji se Shaadi Karna chahti hu tab usne saaf inkaar Kar diya mere Saath aane se..tab se Woh akele raheta Hain..
Yeh sab meri hi Galti Hain Haseena..meri wajah se hi Anu mujhse nafrat Karta Hain..
HM: nahi Maa aisa Nahi hain..Aap toh unka hi bhala chahti thi na..unhe phir se pita Ka chatrachaya dena chahti thi...hum samjhane ki koushis karenge unhe..ap chinta mat Karo(she assured her)
Maa: Nahi beta iski koi zaroorat Nahi Hain..meri wajah se tu usse jhagda mat Karna..humesha Saath rahena Uske..jatata Nahi par Mera baccha bohot Pyar Karta Hain Tujhse..jaa ab Apne kamre mein jaa.
-------------------------------
(It was already half past 12 Anubhav was still not home.Haseena was pacing to and fro in their room,worried for him.)
HM: yeh Anubhavji abhi tak Aaye kyun Nahi?Phone bhi Nahi utha rahe..kya kare hum..(she glanced at the clock again.)Karishma ko batate Hain(she was about to go to KS when Anubhav entered the room.)Kaha the Aap?pata Hain Hume kitni fiqr horahi thi!(she went near him.)
As: jhoot kisiko chinta Nahi Hain humari..humare Saath Nahi aayi tum tumhe uss aurat ki zyada fiqr Hain humari Nahi...(he was a little intoxicated )
HM: Anubhavji Aapne pi rakkhi Hain?!
As: Haan toh!
HM: kya toh?Aaj janamdin Hain Aapka aur apni halat dekhiye....
As: janamdin!(he chuckled)..humari Zindagi Ka sabse kharab din Hain yeh janamdin..(he went and sat on the bed..Haseena sat beside him)pata Hain hum Apne Baba se bohot pyar karte the..par Woh Hume chhodkar chale Gaye aaj hi k din(he said sadly)..
HM: hum Jante Hain Anubhav..par Jo aaj Apne Kiya woh Sahi Nahi tha na!Maa kitni ro rahi thi..
As: Aur Jo hum rote the uska kya Haseena!(his tone a bit raised)...Woh Apne aashiq aur Apne career ko lekar itna vyast ho Gayi ki Apne bete ko hi bhool Gayi..har Roz chachiji k taane..school mein dosto Ka chidhana sab Kuch Humne akele bardaasht Kiya..Parents teacher meeting mein Sabke parents jaate the siwaay humare..pata Hain Hume Kitna Bura Lagta tha(his eyes teared up.Her heart pained to see her strong man crying)
Sab Humse kahete the ki humari Maa Ka Kisi aur k Saath rishta Hain..pata Hain uswaqt humpar kya bitti thi jab chachiji kaheti thi ki humari Maa ko Humse Pyar Nahi Hain..
HM: shhh...shaant hojaiye Anubhav please..(she said caressing his back.)
As: Hume ghinn aati Hain aisi aurat ko apna Maa kahete hue..jiska aisa Charitra..(she didn't let him finish.)
HM: Anubhav!(she shouted)aisa Kuch mat boliye jiska aapko baad mein pachtawa ho..
As: koi pachtawa Nahi Hoga Humein..(he said angrily)
HM: phir toh hum bhi aapke liye characterless hue na.(he looked at her confused.)
As: kya baqwaas Kar rahi ho?tum Kaha se aayi bich mein?
HM: Aap khud hi sochiye na..ek ladki jiska Pati Shaadi k Mandap mein maara Gaya ho Woh agle hi din ek dusre aadmi saath chali jaati Hain aur toh aur usse Shaadi Karke usse Pyar bhi Karne Lagti Hain..toh humare liye bhi koi naam Hoga na Aapke paas Anubhavji?
As: chup ekdum chup (he held her by her upper arm)khabardar Jo Khudko itna niche giraya toh!Humse Bura koi Nahi Hoga(he roared.)
HM: kyun hum bhi toh ek vidhwa hi the jisne Kisi aur ladke se Pyar Kiya!
As: Tumhari Shaadi Puri Nahi hui thi..saathwa phera hone se pahele hi hum waha pounch Gaye the..tum sirf aur sirf humari patni ho Samjhi!
HM: phir agar hum galat Nahi Hain toh Maa kaise Galat hui...Woh bhi Pyar hi Karti thi na..unhone kisiko dhoka Nahi Diya..kisika bura Nahi chaha..bas apni Zindagi ki nayi shurwat Karna chahti thi..aapko ek pita Ka saya dilwana chahti thi..ismein kya galat Hain(she said softly)..Haan galati agar Unki Hain toh bas yeh ki unhe aapko nazarandaaz Nahi Karna Chahiye tha..Aapke Saath Hona Chahiye tha.apko waqt dena Chahiye tha...par Woh Itni badi Galti bhi Nahi Hain Anubhav jiske liye unhe Itni badi saza mile..Aap khud sochiye agar Woh aapse Pyar Nahi Karti toh unhone Navinji se Shaadi kyun Nahi ki..Woh sirf 30saal ki thi jab Aapke Baba Guzar Gaye..par Aapke liye unhone Apne sapne ko Apne Pyar ko tyag Diya..aur Aap unhe itna galat samajh rahe Hain?(she said very softly trying to make him understand her every word.Anubhav looked at her.)
As: hum kya Karein Haseena..sabne Milkar humare andar itna karwahat Bhar Diya Hain ki hum chahkar bhi thik Nahi ho sakte..(his tears which he was trying to hold back now started flowing.)
HM: sab thik hojayega Anubhavji..(she pulled him her embrace.He hugged her tightly resting his head on her chest.He was silently shedding tears while she was caressing his back and hairs the whole time.Her heartbeats were calming him.He fell asleep in that position only.)Anubhavji!(she looked at his asleep figure.She carefully lied him down and covered him with the quilt and herself lied down beside him.)
As: Haseena!(He mumbled her name in sleep and snuggled into her hugging her tight she too hugged him back and fell asleep.)
-------------------------------
Precap: jealous Anubhav.
-------------------------------
Haseena has got to know about Anubhav's past that has made him so bitter.She tried her best to make Anubhav understand.Will things now get better between him and his mother?
---------------------------------
Do vote and comment if you like the chapter.
Thank You.

ANUSEENA-The One Who Colours Me In Love✓Where stories live. Discover now