Un Aankho Mei Aansu Jajte Nahi

8 3 2
                                    

Maryam washroom se bahar nikli aapne room ki taraf jane par usne ek saaya mehsoos kiya jo bahar ki taraf ja raha tha.

'koun ho sakhta hain is waqt?' maryam bhooto pe yakeen nhi krti thi par jinn hua toh? Maryambe chlo apne kamre mei jana hi behtar hai.

Tabhi piche se ek hath maryam ke kandhe ko chuha aur maryam fauran piche mur ke dekhi

'Allaah Paak! Tumne toh mujhe dara hi diya tha habiba!' maryam ne lambi saans bharte huve kaha..

'chalo mere sath jaldi!' habiba ke weird behavior pr maryam soch me parh gayi aur habiba ne idhar udhar dekha aur unke room mei fauran maryam ko lekar chali gayi aur room lock kar diya.

'ye kya kar rahi ho kya h-' maryam mid sentence ruk gayi aapne room mei kuch familiar logo ko dekh kar

'ye log idhar kya kr rahe hai habiba zoya ho raha hain?' maryam ne gusse se pucha

Basicly shahzaib bazil aur zahid aaye huve the misunderstanding clear krne ki ye kaam unhone nhi kiya, other day when one boy approached zahid ki usne ek sharif larki ko bhi apni skills se pata liya wah bhai zahid ne confused ho kar pucha kya matlab? kyuki zahid toh sudhar raha tha aur kabhi is tarah saare aam kisi larki ki izzat ke sath khelna uska kaam nahi tha phir us larke ne zahid ko video clip dikhai aur zahid bada pareshan hua aur phir kya hostel ke deewaro par chad ke aana uske liye koi badi baat nhi thi.

'wo videoclip hamne post nhi ki ham yahi batane aaye hain' zahid ne kaha jo chair par baitha tha jaise ki ye usi ka kamra hain

'acha aapko kyun laga ki ham aapki baat par yakeen kar lenge?' maryam ne hath bhaand kar pucha.

'jo bhi kaho par ham kabhi kisi ki izzat ke sath saare aam tamasha nahi bnate' zahid ne jawab diya

'aur aapke us din ke lafzo ke baad toh ham sudhar rahe the zahid toh namaz bhi padhne laga hain wo bhla aesa kyun karega?' shahzaib ne kaha

Par shak ka waqai koi ilaaj nahi maryam hasne lagi'acha waqai?. ما شا ء اللہ تعالیٰ '

' maryam ham sach keh rahe hain' bazil ne kaha

'ye aap logo ka plan bhi toh ho sakhta hain? phle clip post ki ab kamre mei ghus gaye? Aap log hostel aaye kaise haan?'

'deewar charh ke' zahid ne dheere se kaha

'aur aap ab bhi chahte hain ham aap par yakeen karein?'

'haan thk hain maante hain ki ham phle bure the par ab aur nahi hain, Allaah janta hain Hamare liye itna kaafi hain bas aap wo ilzaam hamare sar par na dejiye jo hamne nhi kiya' zahid ne irritated hokar kaha, kyun zahid ko itna guilty feel ho raha tha?

'ilzaam?' maryam ne aapni aankho ke aansu rokte huve pucha
'ilzaam toh ham pe laga hai na, pura hostel hame buri nazr se dekhne laga'

Zahid ko maryam ki aankho mei aansu bilkul ache nahi lage aesa lag raha tha maano muh tor de jisne bhi usey rulaya hain, par maryam ke liye toh zahid kasurwaar hai, khudka muh kaise torta bhala?

'acha yaar ab tum roou nhi, shakki logo ki ye baat hoti hain ki wo ache logo ko judge kr lete hain par hamare aapne toh jante hai na hame ki ham waqai mei ache hain' zahid ne kaha.

'aapne hi toh nahi jante..' maryam ne dheemi si awaaz mei kaha jiska matlab zahid samjh nahi paaya

'kiya matlab maryam?' zahid ne uski aankho mei dekhne ki koshish ki jo ki jhuki hui thi

'kuch nahi ab aap log please yaha se jaiye ham aur mushkil khari nhi krna chahte' maryam ne aapne aansu ko pochte huve darkhwast ki

'yaar ye larki ham yaha masla hal karne aaye hai aur ye-' zahid ne shahzaib ka hath pakad kar usko chup karne kaha

'ham ja rahe hain aap pareshan mat ho, bas itna yaad rakhiye, jisne bhi ye kiya hain ham use dhund kar layege phir aap dekhegi hamne ye harkat nahi ki' zahid jane nikla par maryam ke kareeb se guzarte Waqt ruk gya

'aur maryam jo aapne ham par aitbaar nahi karte wo aapne nahi hote, unki wjah se aapni pyari aankho mei aansu laana achi baat nhi hoti, Allaah kaafi Allaah Shaafi, Allaah hafiz ' zahid ne ahiste se smjhate huve maryam ko kaha.

Aur zahid baat puri raat maryam ke kaano mei kunjti rahi.
Kya zahid ne jo start mei words kaha wo yuhi kaha ya iske piche waqai koi saccha hai?

.......

' tu kya karne ki soch raha hain bhai? 'shahzaib ne zahid ko pucha jo gehri soch mei tha

' wahi soch raha hu, kya karu'zahid ne jawab diya

'tu kyu us larki ke liye itni mehnat kr rha hai bhai so ja, uski mam to janti hai na uski galti nahi, chill kar phir'
Bazil ne kaha jo doublebed upar laptop mei busy tha
'aur usko lgta hai ye kaam maine kiya hai' zahid ne irritatedly kaha
'aur tujhe fark parhta hai wo tere baare mei kya sochti hai?' bazil ne to yuhi pucha tha par zahid ka jawab sun kar dono dost ek dusre ko dekhne lag gaye the

'wo mere baare me jo bhi soche par uski aankho mei jisne bhi aansu laaye hai mai usko chorunga nahi'

'lekin tu use pakadega kaise?'

'pata nahi, Allaah madad farmaye, jisne bhi ye kiya hain uska target ya toh mai hu ya toh maryam' zahid ne sochte huve kaha

'par hamare larko mei zyada enemy list nahi hai' shahzaib ne jawab diya

'exactly, phir maryam ka koi kyu dushman ho skhta hai?' zahid ko samjh nahi aa raha tha

'maybe out of jealousy? Ache logo ko giraana bhi chahate hain kuch log' bazil ne upar se jawab diya

'ab wahi maafi mangega jisne giraya hain, wo bhi pure hostel ke samne maryam se maafi mangega, ab dekhta hu zahid ahmad se kaise bchta hai!' zahid ne gusse se blanket orhi khudpar aur so gaya.

'Allaah Amaan mei rakhe aapko' bazil ne dua ki aur shahzaib ne aameen mei jawab diya

'par bhai waqai agar wo koi larki hui toh?' shahzaib asked then they couldn't do much, larka hota to shayad pitai krte, or not?

'mana ki mai sudhar raha hu par ek aakhri...' zahid yawned and stopped talking because he was so sleepy

'Right' bazil agreed on shahzaib

'so it's means she is going to be' bazil paused and thought for a moment 'your case no. Thirty nine' and zahid smiled to himself  in the darkness on his bestfriend's comments
Common now he is not that play boy, or is he?

case no 39Where stories live. Discover now