azmaish

12 3 1
                                    


'koun thi wo shareefa jisne meri date kharab thi' zahid ne gusse se pucha
'ham the wo kya masla hain?' maryam ne aage barh kar jawab diya, uski himmat par zoya bhi dang reh gayi

'tumhe pta bhi hain kitni mehnat lagti hain ek larki ko date par lekar aane?' zahid ne uspar ungli utha kar kaha

'agar itni mehnat sharif banne mei ki hoti toh aaj hazaro zindagi badal di hoti' maryam ne ek hi awaz mei aesa keh diya ke zahid samjh nahi paaya kya jawab dein

'acha tum badi sharif ho?'
'nahi ham ache nahi hain par hamse jitna ho sake Alhamdulillah ham koshish karte hain ache banne ki' maryam ne dheemi si awaaz mei kaha

'aare sharif ban kar kya karna hai? Ek hi zindagi hai enjoy krte hai na' zahid ne socha shayad maryam maan jaye

Par wo ishq hi kya jo larkhara jaye?

'exactly, ek hi zindagi milti hain amal karne agar isme bhi na kar paye, toh hame dar lgta hain bht'

'kis cheez ka dar?' zahid ne confuse hokar pucha

'Allaah ki narazgi ka, wo Rab jo hamse sattar maa se bhi zyda pyaar karta hain, aur hame dekhta hai sunta hain, ham usi ki duniya mei uske khilaaf kaise ja skhte hain? , wo rassi dheeli chor de aur ham aapni manmaniya karte rahe ye achi sign nahi hain, Uski pakad sabse zyada sakht hain qabr mei andhera hi andhera hain, ab roshni ke liye mehnat nahi ki toh wo ghar ki ghotan ham bardasht nhi karsakege'maryam ki baaton mei bht sacchai thi aur sincerity bhi, zahid panch waqt ka namazi toh nahi tha par jumua parha karta tha,zahid ne jab khud par gaur kiya toh, kab last time tha jab wo Apne gunah ki taubah karke roya tha? Uska dil toh maano sakht ho gaya tha.

Aur maryam ki baatein zahid ne dil mei ehsaas ka noor paida karne ka zariya ban gayi,par dekhna ye tha ki zahid amal kitna karta.

Us raat ham jab hostel aaye wapas, zahid khamosh tha bht hi khamosh,jaise use kisi ne current dediya ho, hamne pucha bhi par usne bataya hi nahi kuch

Room mei aane ke baad zahid ne fauran wudhu ki aur namaz padhne laga, aur pata nahi kya chal raha tha uske dimagh mei, ki uske aankho se ashq bhi tapakne lage aur wo bht hi aajzi se dua kar raha tha, mai aur bazil toh bas ek dusre ko hairat se dekh rahe the ki ye larke ko hua kya hain?

Jab ek neik namaz parhe toh insan hairan nahi hota, par jab ek gunahgaar namaz padhne lage toh zaroor uske dil mei ehsaas aur nadamat ka chirag jala hua hota hain aur Rab Ko bhi gunahgaar ki taubah bht pasand hain.

.................

' Maryam kya soch rahi ho? 'zoya ne apni study table se maryam ko itna soch mei paaya toh khudko rok nahi payi puchne se

' mai us larke ke bare mei soch rahi hu'maryam ne sochte huve kaha

'Allaah Taubah, maryam aur larke ke baare mei astaghfirullah Astaghfirullah' habiba ne jawab diya aur maryam ne uske taraf pillow feka jo usko laga nahi par usne catch kar liya aur hasne lagi

'tumhe toh dil ki baat batana bhi aesa hai ki sher ke paas khana dena, sher khana bhi kha jayega aur tumhe bhi' zoya maryam ke jawab pe bht hasni lagi

'acha acha dil ka maumla lgta hai ehm?'zoya ne chidate huve kaha

'haram baatein na karo zoya aur maryam hosh me toh ho!?' habiba ko sachme laga aesa hain par baat kuch aur thi.

'aesa nhi hain yaar bas Allaah usko hidayat farmaye, pta nahi kyu aesa lgta hai ki hamne unhe kahi dekha hain?'maryam ne bht sochne ki koshish ki par kaha kaha? Smjh nhi aa raha tha.

' kahan dekha? Aare us din hi toh dekha tha 'habiba aapne hi joke pe hasne lagi

' nahi baba usse phele'
'uske baare mei sochna band karo wo bht smart larka hain, dimagh aur dil dono mei jagah bana leta hain' zoya ne warn kiya

case no 39Where stories live. Discover now