Aab-e-Hayat

Door your_randomreader

75.9K 3.8K 641

Aab e hayat in roman Urdu. All rights are reserved to the authors. I am just trying to make the novels reach... Meer

Pir-e-kamil se Aab-e-Hayat tak
(Part-1) [Adam or Hawwa] Chapter-1
Chapter 2
Chapter-3
Chapter-4
Chapter-5
Chapter--6
Chapter-7
Chapter-8
Chapter-9
Chapter-10
Chapter-11
(Part 2) [Bait al Ankabut] Chapter-12
Chapter-13
Chapter-14
Chapter-15
Chapter-16
Chapter-17
Chapter-18
Chapter - 19
Chapter-20
Chapter-21
Chapter-22
Chapter-23
Chapter-24
Chapter-25
Chapter-26
Chapter-27
Chapter-28
(Part-3) [Haasil va Mahsool] Chapter-29
Chapter-30
Chapter-31
Chapter-32
Chapter-33
Chapter-34
Chapter-35
Chapter-36
Chapter-37
Chapter-38
Chapter-39
Chapter-40
Chapter-41
Chapter-42
(Part-4) [Ya Mujib Ul Saeelin] Chapter-43
Chapter-44
Chapter-45
Chapter-46
Chapter-47
Chapter-48
Chapter-49
Chapter-50
Chapter-51
Chapter-52
Chapter-53
Chapter-54
(Part-5) [Abadan Abada] Chapter-55
Chapter-56
Chapter-57
Chapter-58
Chapter-59
Chapter-60
Chapter-61
Chapter-62
(Part-6) [Tabarak Allazi] Chapter-64
Chapter-65
Chapter-66
Chapter-67
Chapter-68
Chapter-69
Chapter-70
Chapter-71
Chapter-72
Alternate ending

Chapter-63

696 51 4
Door your_randomreader

Aur Imama ka andaza bilkul theek tha. woh khat Eric ne likha tha aur Hameen ne usay edit kiya tha. is ne is khat ke draft mein kuch jazbati jumlo ka izafah kiya tha aur kuch had se zyada jazbati jumlo ko hazf kiya tha. Eric is ke paas ek khat ka draft laya tha. yeh bataye baghair ke woh khat woh Salaar Sikandar ke naam likhna chahta tha, is ne Hameen se madad ki darkhwast ki thi ke woh ek muslim girlfriend ko propose karna chahta tha aur is ke baap ko khat likhna chahta tha. Hameen ne jawaban usay mubarak baad di thi. Eric ne is se kaha tha ke kyuke woh muslim culture ke baare mein zyada nahi jaanta, is liye usay is ki madad darkaar thi, aur Hameen ne woh madad faraham ki thi.

Mohammad Hameen Sikandar ne musalmano ki nazakat ko mad nazar rakhte hue is ke khat ko dobara likha tha aur Eric ne nah sirf is ka shukriya ada kiya tha balke jab Salaar Sikandar ne usay mulaqaat ki dawat di to is ne Hameen ko is baare mein bhi mutala kiya tha. Hameen ki excitement ki koi had nahi thi. is ka dil to yeh chaah raha tha ke Eric ka yeh raaz sab se keh de lekin is ne Eric se wada kiya tha ke woh is raaz ko kisi se nahi kahega. Anaya ne ek aadh din isse khat ke baare mein usse kurednay ki koshish ki to bhi is ne sirf yeh kaha tha ke woh ek zaroori khat likhne mein Eric ki madad kar raha tha, lekin khat kis ke naam tha aur uss mein kya likha ja raha tha, Anaya ke kuredne par bhi Hameen ne yeh raaz nahi ugla tha.

"mujhe pata hai Eric ne woh khat kis ke liye likhwaya tha." Anaya, Imama ke paas se ho kar seedha Hameen ke paas pohchi thi.

woh is waqt apne kamre mein computer par koi game khelne mein masroof tha aur Anaya ke is tabsare par is ne be ikhtiyar daat peeste hue kaha.

"mujhe pehle hi pata tha woh koi raaz nahi rakh sakta. mujh se keh raha tha ke kisi ko nah batau khaas tor par tumhe aur ab tumhe bta diya is ne." Hameen khafa tha, is ka andaza yahi tha ke yeh raaz Eric ne khud hi faash kiya hoga.

"Eric ne mujhe nahi btaya...mujhe to mummy ne batta hai." is baar Hameen game khelna bhool gaya tha. is ke hero ne is ke saamne uchi chattaan se chhalang lagayi aur woh usay samandar mein girne se nahi bacha paaya. kuch waisa hi haal is ne apna bhi is waqt mehsoos kiya tha. ek din pehle hi is ke aur mummy ke taluqaat mein Pakistan jane ke faislay ne phir se garam joshi paida ki thi aur ab yeh inkishaaf.

"Mummy ne kya bataya hai?" Hameen ke munh se aise aawaz niklee jaise is ne koi bhoot dekha ho.

"mummy ne bataya ke Eric ne papa ko koi khat likha hai aur mujhe foran khayaal aaya ke jo khat tum padh rahe the, woh wohi ho sakta hai."

Anaya ravani mein bta rahi thi aur Hameen ke dimagh mein dhamake ho rahe the. kato to badan mein lahoo nah hona ki misaal is waqt is par sadiq aa rahi thi. aisi kon si muslim girlfriend ban gayi yak dam Eric ki, jiske baap ko khat likhwaane ke liye is ki zaroorat padti jabki chobees ghante woh agar kisi ke ghar bhi aata tha to woh khud inka ghar tha phir is ki aqal mein yeh baat kyu nahi aayi ya josh mein itna hi andha ho gaya tha ke is ne yeh soch liya ke Eric kabhi Anaya ke hawale se aisa kuch nahi soch sakta. Hameen apne aap ko malamat kar raha tha aur malamat bada chota lafz tha un alfaaz ke liye jo woh is waqt apne aur Eric ke liye istemaal kar raha tha.

"tum bol kyu nahi rahe?" Anaya ko is ki khamoshi khatki thi. "mein ne socha hai, mein ab kam bolunga aur zyada sochunga." Hameen ne apna gala saaf karte hue is tak woh khabar pohanchai jis par usay yaqeen nahi aaya.

"khawab dekhte raho." is ne apne chote bhai ko chiraane wale andaaz mein kaha.

"Mummy ne tumhe bataya is khat mein kya hai?" Hameen is waqt galay tak is daldal mein phansa hua tha.

"nahi lekin mein ne inhe bataya ke yeh khat Hameen ki madad se likha gaya hoga, mein is se puch lungi is khat mein kya likha tha Eric ne papa ko?" Anaya ab is se puch rahi thi. Hameen be ikhtiyar karaya tha....woh museebat ko dawat nahi deta tha....museebat khud aa kar is ke galay ka haar ban jati thi.

☘️

Eric ko Salaar ne khud darwaze par receive kiya tha woh weekend tha aur is waqt un ke bacche cycling ke liye nikle hue the. ghar par sirf Imama aur Salaar the.

"yeh aap ke liye!" Eric ne apne ek haath mein pakde chand phool jo guldaste ki shakal mein bandhe hue the iski taraf badha diye. Salaar ne ek nazar un phoolo par daali, usay yaqeen tha is mein se kuch phool is ke lawn se liye gaye the lekin is ne usay nazar andaaz kiya tha.

"is ki zaroorat nahi thi." is ne andar laate hue shukriya ke baad kaha. Eric formal meeting ke liye aaya tha aur aaj pehli baar Salaar ne usay formal andaaz mein dekha tha.

"baitho!" Salaar ne usay wahi lounge mein hi baithne ke liye kaha. Eric baith gaya.

Salaar is ke bil-muqabil baitha aur is ke baad is ne table par pada ek lifafa khola. Eric ne pehli baar ghhor kiya, woh isi ka khat tha aur Salaar ab is khat ko dobara khol ke dekh raha tha. Eric be ikhtiyar nervous hua tha. khat likh bhejna aur baat thi aur isi khat ko is bande ke haath mein dekhna jis ke naam woh likha gaya tha, dusri. Salaar ne ek daidh minute liya phir is khat ko khatam karte hue Eric ko dekha. Eric ne nazrain hata li.

"kya Anaya ko pata hai tumhari is khwahish ke baare mein?" Salaar ne be had badah e raast sawal kiya tha.

"mein ne Mrs Salaar se wada kiya tha ke mein Anaya se kabhi aisi koi baat nahi karunga, is liye mein ne aap ko khat likha." Eric ne jawaban kaha, Salaar ne sir hilaya aur phir kaha.

"aur yeh wahid wajah hai jis ki wajah se mein ne tumhe yaha bulaya hai. tumhara khat phaad kar nahi pheka. tum wada kar ke nibha sakte ho, yeh bohat achi quality hai." Salaar sanjeeda tha aur is ne be dharak andaaz mein Eric ki tareef ki thi, lekin is ke lehje aur chehre ki sanjeedgi ne Eric ko khaif kiya tha.

"to tum Anaya se shadi karna chahte ho?" Salaar ne is khat ko ab wapas maiz par rakh diya tha aur is ki nazrain Eric par jami hui thi. Eric ne sir hilaya.

"tum ne yeh bhi likha hai ke tum mazhab badalne par taiyyar ho, kyuke tum jante ho ke kisi ghair muslim ladke se kisi muslim ladki ki shadi nahi ho sakti." Salaar ne mazeed kaha. Eric ne phir sir hilaya.

"pehli baat yeh hai Eric ke sirf shadi ki niyat se mazhab badal lena bohat choti baat hai. hamara deen is ki ijazat deta hai, usay bohat pasand nahi karta." Salaar ne kaha. "tumhare paas musalman hone ke liye meri beti se shadi ke ilawa koi aur wajah hai?" Salaar ne isi andaaz mein is se agla sawal kiya tha. Eric khamosh baitha is ka chehra dekhta raha.

"Mazhab ki tabdeeli ek bohat bada faisla hai aur yeh nafs ki kisi khwahish ki wajah se nahi hona chahiye, aqal ka faisla hona chahiye. kya tumhari aqal tum se yeh kehti hai ke tumhe musalman ban kar apni zindagi Allah ke ehkamaat ke mutabiq guzaarni chahiye?" is ne Eric se pucha, woh gadbadaya.

"maine is par socha nahi."

"mera bhi yahi andaza hai ke tum ne is par socha nahi. is liye behtar hai, pehle tum is par achi terhan socho." Salaar ne jawaba is se kaha.

"mein kal phir aau?" Eric ne is se kaha.

"nahi, tum abhi kuch saal is par socho ke tumhe musalman kyu banna hai, aur is ki wajah Anaya nahi honi chahiye." Salaar ne is se kaha. "mein waise bhi Anaya ki shadi sirf musalman se nahi karunga. musalman hone ke saath usay ek acha insaan bhi hona chahiye." is ne kaha. Eric ke chehre par yak dam mayoosi ubhri.

"yani aap mera proposal qubool nahi kar rahe?" is ne Salaar se kaha.

"fori tor par nahi, lekin taqreeban das saal baad jab mujhe Anaya ki shadi ke hawale se koi faisla karna hoga to mein tumhe zaroor consider karunga. lekin is ke liye zaroori hai un das saalo mein tum ek acche musalman ke saath saath ek acche insaan ban kar bhi raho." Salaar ne dotok andaaz mein kaha.

"kya aap meri is silsilay mein rahnumai kar sakte hai?" Eric ne yak dam kaha. Salaar chand lamhe khamosh raha, woh isi ek cheez se bachna chahta tha, is ek cheez ko nazar andaaz karna chahta tha. lekin ab Eric ne is se bilkul safai se madad maang li thi.

"haa, hum sab tumhari madad kar sakte hai lekin is ke liye rishta jorna zaroori nahi hai Eric! hum insaaniyat ke rishte ki bunyaad par bhi tumhari madad kar sakte hai aur karte rahenge." Salaar ne bil akhir jawaba kaha.

"terah saal ki umar me school me padhte hue tum shadi karna chahte ho aur tumhe yeh andaza nahi hai ke zimmedario ka dusra naam hai. tum apni family ki zimmedario se bhagte hue ek aur family banane ki koshish kar rahe ho....tum is family ki zimmedaari kaise uthaoge? mazhab badal kar ek dusra mazhab mein daakhil hona is se bhi bada kaam hai. kya tumhare paas itna waqt aur tahammul hai ke tum apne is naye mazhab ko samjho, padho aur is par amal karo? kya tum un pabandio se waaqif ho jo yeh naya mazhab tum par lagaega?" Salaar ab is par jarah kar raha tha.

"mein Quran pak ko tarjume se padh chuka hu, mein pehle hi sab cheeze jaanta hu aur mein amal kar sakta hu." Eric bhi sanjeeda ho gaya tha.

"theek hai phir, aisa karte hai, das saal ka ek moahida karte hai. agar taees saal ki umar mein tumhe laga ke tumhe Anaya se hi shadi karni hai to phir mein Anaya se tumhari shadi kar dunga. shart yeh hai ke un das saalo mein tum ek acche musalman hone ke saath saath ek acche insaan ke tor par bhi nazar aao." Salaar ne ek aur bilkul saada kaghaz iske saamne rakhte hue kaha.

"yeh bohat lambi muddat hai." Eric ne sanjeedgi se kaha tha.

"haa lekin yeh woh muddat hai jis mein tumhare faisle tumhari sachai ko zahir karenge, tumhare bachkane pan ko nahi." Salaar ne jawaba is se kaha. woh Salaar ko dekhta raha. behad khamoshi se iski aankho mein ankhen daal kar phir is ne kaha.

"Mr. Salaar Sikandar! aap mujh par darasal aitbaar nahi kar rahe." is ne behad saaf goi se kaha. "agar kar rahe hote to mujhse das saal ke intezaar ka na kehte, lekin theek hai, aap apni jagah theek hai." Isne kaha aur maiz par pada ek qalam uthaya waha pade saada kaghaz ke bilkul neeche apna naam likha, apne dastakhat kiye aur tareekh daali, phir phir qalam band karke wapas maiz par is kaghaz ke upar rakh diya.

"mein Anaya se mutasir nahi hua, mein aap aur aap ke ghar se mutasir hua. aap ki biwi ki naram mizaji aur aap ki usool pasandi se....un values se jo aap ne apne baccho ko di hai...aur is mahol se jaha mein aa kar hamesha apna aap bhool jata tha. woh mazhab yaqeenan acha mazhab hai jiske peirokaar aap logo jaise ho. mein Anaya ke saath ek aisa hi ghar banana chahta tha, kyuke mein bhi apne aur apne baccho ke liye aisi zindagi chahta hu...mein jaanta hu aap logo ke khandan ka hissa banna itna aasaan nahi hoga. lekin mein koshish karta rahunga. kyuke koshish to aap ka mazhab hi karne ko kehta hai, jo ab mera mazhab bhi hoga."

woh kisi terah saal ke bacche ke alfaaz nahi the aur woh itni jazbatiat se bhar poor bhi nahi the jaisa is ka khat tha, lekin is ke bawajood is ke un jumlo ne sirf Salaar ko nahi Imama ko bhi buri terhan mutasir kiya tha. woh chand lamhe pehle lounge mein daakhil hui thi aur is ne sirf Eric ke jumle sune the.

Eric ab uth kar khada ho chuka tha. is ne Imama ko bhi dekha aur usay hamesha ki terhan salam koya phir Khuda Hafiz keh kar waha se nikal gaya. Lounge mein ek ajeeb si khamoshi chhai hui thi. bairooni darwaze ke band hone ki aawaz par Imama aage badh aayi, is ne lounge ki central table par pada woh kaghaz utha kar dekha, jis par Eric dastakhat kar ke gaya tha, is kaghaz par sirf ek naam tha Abdullah aur is ke neeche dastakhat aur tareekh...Imama ne Salaar ko dekha, is ne haath badha kar woh kaghaz Imama ke haath se liya, usay teh kar ke isi lifafe mein dala, jis mein Eric ka khat tha aur phir usay Imama ki taraf badhate hue kaha.

"yeh dobara aayega aur agar mein na bhi hua aur yeh apne wade par pura utra to tum bhi is wade par puri utarna jo maine isse kiya hai." Imama ne kapkapati unglio se kuch bhi kahe baghair woh lifaafa pakda tha.

☘️

Aisha Abideen ko zindagi mein pehli baar agar kisi ladke se milne ka ishtiaq paida hua tha, to woh Jibreel Sikandar tha. Pakistan mein rehte hue bhi isne apni badi behen Nesa Abideen se Jibreel ke baare mein itna kuch sun rakha tha ke woh ek fehrist bana noon bana sakti thi. nesa Jibreel ki class fellow thi aur isse mutasir aur maroob thi.

is ke bawajood ke woh khud ek shaan daar taleemi career rakhne wali taliba thi. Taliba
rail ki khaam qitaar ke beech mein Jibreel ko Aisha Facebook par apni behen ki wall par aksar Jibreel ke comments padti thi jo woh is ki behen ke status updates par deta rehta tha. Aisha bhi kayi baar un updates par tabsarah karne walo mein se hoti thi, lekin Jibreel Sikandar ki hiss mazah ka muqaabla waha koi bhi nahi kar paata tha, is ke comments Nesa Abideen ki wall par bilkul alag chamakate nazar aate the aur jab woh kisi wajah se waha tabsarah nahi kar paata to kayi baar is ke class fellows ke tabsaro ki lambi qitaar ke khamoshi aur ghair haazri ko buri terhan mehsoos kiya jata aur un mehsoos karne walo mein sare fehrist Aisha Abideen thi jisay khud bhi yeh andaza nahi tha ke woh Jibreel ke comments padhte padhte is ki aadi ho gayi thi. Nesa ke saath Jibreel ki mukhtalif functions aur sar garmio mein aksar bohat saari group photos nazar aati thi, lekin Aisha ko hamesha Jibreel ki family ke baare mein tajassus raha tha. woh Salaar Sikandar se waaqif thi. kyuke is ka taaruf Nesa ne hi karwaya tha, lekin is ki family ke baqi afraad ko dekhne ka usay behad ishtiaq tha aur yeh hi ishtiaq usay baar baar Jibreel ki friends list mein nah hone ke bawajood is ki tasweero ko khojne ke liye majboor karta tha, jaha usay rasai haasil thi. kuch tasweerai woh dekh sakti thi kuch woh nahi dekh sakti thi lekin un tasweero mein jin tak usay rasai haasil thi un mein Jibreel ki family ki tasveer nahi thi. Jibreel bhi ghayebana tor par Aisha se waaqif tha aur is taaruf ki wajah Facebook par Nesa ke status par hone wale tabsaro mein un ka hissa lena tha aur Nesa ne apni wall par Jibreel ko apni behen se muta-arif karwaya tha. woh ghayebana taaruf bas itna hi raha tha, kyuke Jibreel ne kabhi is ki ID khojne ki koshish nahi ki aur Aisha ki apni wall par tasweerai bohat kam thi, is se bhi zyada kam woh log the jinhe is ne apni contact list mein add kiya hua tha. Nesa ke bar aks is ka halqa ahbaab be had mehdood tha aur is ki koshish bhi yeh hi rehti thi ke woh usay itna hi mehdood rakhe.

Aisha ko Jibreel ke baare mein hamesha yeh ghalat fehmi rahi ke woh Nesa mein interested hai aur is ta-assur ki bunyadi wajah khud Nesa thi jo is baat ko tasleem karne mein kabhi tamil nahi karti thi ke woh umar mein is se chota hone ke bawajood dost ke tor par Jibreel ko pasand karti thi. Jibreel ek dost se be takalufi ko ghalat maeno mein nahi liya krta tha. kyuke Jibreel ladkiyo ke saath be had takalufi aur dosti mein bhi bohat saari hudood o quyood rakhta tha aur be had mohtaat tha. Nesa umar mein is se chaar saal badi thi. woh apne qad kaath aur pukhtagi dono se pandrah solah saal ka nahi lagta tha aur Nesa yeh bhi janti thi. university mein itna waqt guzaar lene ke bawajood Jibreel abhi tak girlfriend nami kisi bhi cheez ke baghair tha, to aise halaat mein Salaar Sikandar ki is laiq aulaad par qismat aazmai karne ke liye koi bhi taiyyar ho sakta tha sirf Nesa hi nahi.

Aisha Abideen un sab cheezo se waaqif thi...Nesa ki Jibreel mein dilchaspi un ke ghar mein ek khula raaz tha, lekin un dono ke mustaqbil ke hawale se nah to un ko koi mughalta tha nah hi kisi aur ko. Nesa zahanat aur qabliyat se mutasir hone walo mein se thi aur Jibreel Sikandar woh pehla shakhs nahi tha jis ne usay mutasir kiya tha, magar fil haal yeh Jibreel hi tha jis ka zikar woh karti rehti thi. Aisha Abideen ek ghair janib daar mubassir ki terhan yeh sab kuch dekhti aa rahi thi aur jab woh Jibreel se mili, woh is se pehle hi bohat mutasir thi.

university ke ek function mein woh pehli baar Jibreel se bil akhir milne mein kamyaab hogayi thi. Nesa ko andaza nahi tha ke Aisha sirf Jibreel se milne ke liye is ke saath university aane par taiyyar hui hai warna woh jab bhi America aati un sab ki koshisho ke bawajood apni marzi ki jagaho ke ilawa kahi nahi jati thi. university mein hone wali koi taqreeb to woh shayad woh aakhri cheez thi jis ke liye Aisha university aati aur Nesa ne yeh baat Jibreel se usay muta-arif karate hue keh bhi di thi.

Jibreel Sikandar woh pehla ladka tha jisay dekhne ka Aisha Abideen ko ishtiaq hua tha aur Jibreel Sikandar hi woh pehla ladka tha jisay Aisha Abideen apne zehen se nikaalne mein agle kayi saal tak kamyaab nahi ho saki thi. tasweer mein kabhi kabhar kisi shakhs ki shakhsiyat aur wajahat ko kimo badal kar deti hai. aur bohat acha karti hai. Mohammad Jibreel Sikandar, sehar angaiz karishmati shakhsiyat ka maalik tha. khatarnaak had tak mutasir aur maroob kar dene wali shakhsiyat, solah saal ki umar mein bhi woh taqreeban chay foot qad ke saath Salaar Sikandar ki gehri siyah ankhen aur apni maa ke tehki nain nuqosh aur be had bhaari aawaz ke saath ek ajeeb thehrao ka manba rakhta tha. ek be had mamooli dark blue jeans aur dahari daar black and white T shirt mein malbos Jibreel Sikandar muskurata hua pehli baar Aisha Abideen se mukhatib hua tha. woh buri terhan nervous hui thi. woh nervous hona nahi chahti thi, lekin Jibreel se waha khade sirf mukhatib hote hue bhi usay is ke qadmon par khade rehna dushwaar kar raha tha. woh sirf Nesa hi nahi kisi bhi umar ki kisi bhi ladki ko pagal karne ki salahiyat rakhta tha. Aisha Abideen ne dil hi dil mein aitraaf kiya tha. "kyu? aap ko acha nahi lagta America aakar ghumna phirna?" is ne Nesa ke kisi tabsaray par Aisha se pucha tha.

"nahi, mujhe acha lagta hai, lekin bohat zyada nahi." woh gadbadayi. is ne khud ko sanbhala, phir Jibreel ke sawal ka jawab diya, jis ki ankhen isi par tiki hui thi.

woh ab seenay par baazu lapete hue tha. woh is ke jawab par muskuraya tha, phir is ne Nesa ko function ke baad Aisha ke saath kisi restaurants mein coffee ki dawat di thi jo Nesa ne qubool kar li thi, woh dono apne kuch dosto ka intezaar karte hue gupshup mein masroof ho gaye the. Aisha ek baar phir ghair janib daar mubassir ban gayi thi. Nesa haakim mizaaj ladki thi aur ghar mein woh har kaam apni marzi aur apne tareeqay se karne ki aadi thi, lekin Aisha ne mehsoos kiya tha, Nesa Jibreel ke saath is terhan nahi kar rahi thi. woh is ki puri baat sun kar kuch kehti aur is ki bohat si baato se ittafaq kar rahi thi. ek dusra ke saath khade Aisha Abideen ko woh be had acche lag rahe the. ek perfect couple jis par usay rashk aa raha tha aur Jibreel se is terhan mutasir hone ke bawajood woh usay Nesa ki zindagi ke saathi ke tor par hi dekh rahi thi...Nesa ka zouq aur intikhab har cheez mein acha aur manfar daal tha aur Jibreel is ka ek aur saboot tha. function ke baad woh Nesa aur Jibreel ke kuch dosto ke saath ek cafe mein coffee peene gayi thi. yeh ek ittafaq tha ya khush qismati ke chay afraad ke is group mein Jibreel aur Aisha ki nashistain ek dusra ke saath thi. Nesa Jibreel ke bil-muqabil maiz ke dusri janib thi aur Aisha ke dusri taraf Nesa ki ek aur dost. Suzan. Aisha Abideen ki ghabrahat ab apni intahaa par thi. woh is ke itne qareeb thi ke is ke perfume ki khushbu mehsoos kar rahi thi. table par dhare is ke haath ki kalayi mein bandhi ghadi se dial par tik tik karti sui dekh sakti thi, lekin agar woh kuch nahi kar sakti thi to woh gardan upar karke usay itne qareeb se dekhna tha. woh ghalat jagah baith gayi thi, Aisha Abideen ko menu dekhte hue ehsas hua tha. Jibreel maizban tha aur woh sab hi se puch raha tha, is ne Aisha se bhi pucha tha. Aisha ko menu card par is waqt kuch bhi likha hua nazar nahi aa raha tha. jo dikh raha tha woh is ehsas se gayab ho gaya tha ke woh gardan mourr kar usay dekh raha tha.

"jo sab lenge, mein bhi le lungi." Aisha ne jaise sab se mehfooz hal talaash kiya tha, Jibreel muskuraya aur is ne apna aur is ka order ek hi jaisa note karwaya. woh ek vegetable pizza tha jisay is ne drinks ke saath order kiya tha aur baad mein coffee ke saath chocolate moose...Nesa apna order pehle de chuki thi aur baqi sab log bhi apne order note karwa rahe the. Nesa ne ek salmon sandwich mangaya tha.

"mein is saal medical mein chali jaungi. mera admission ho gaya hai." douran guftugu Jibreel ke sawal par yak dam is ne bataya.

"fantastic." is ne jawaba muskuraate hue kaha. lekin yeh nahi bataya ke woh khud bhi medicine mein hi ja raha tha. woh sab log guftugu mein masroof the aur is guftugu mein is ki khamoshi ko Jibreel hi waqtan foqtan ek sawal se torta...woh jaise usay boriyat se bachaane ki koshish kar raha tha ya phir shaamil karne ki aur Aisha ne yeh cheez mehsoos ki thi. woh jin teenagers ko janti thi woh aur terhan ke the....yeh aur terhan ka tha...

khana aane par woh isi terhan guftugu mein masroof, khud khaane ke saath saath Aisha ko bhi serve karta raha. yun jaise woh routine mein yeh sab karne ka aadi raha ho. Mohammad Jibreel Sikandar se hone wali woh pehli mulaqaat aur is mein hone wali ek ek cheez Aisha Abideen ke zehen aur dil dono par naqsh ho gayi thi. jis bhi ladki ka yeh naseeb hoga, woh be had khush qismat hogi. is ne be had dil se khwahish aur dua ki thi.

is umar mein bhi is ne apni zindagi ke hawale se kuch bhi sochna shuru nahi kiya tha. agar karti to Jibreel woh pehla ladka hota ke usay jaise shakhs ki khwahish woh apne liye karti. Jibreel ne is ke lashavr ko is pehli mulaqaat mein is terhan mutasir kiya tha.

"mein tumhare liye bohat hu Nesa...ke tumhari shadi Jibreel se ho jaye...jab bhi ho...woh bohat acha hai." is cafe se is shaam ghar wapas aane ke baad Aisha ne Nesa se kaha tha.

woh jawaba hasi.

"kher abhi shadi waghera ka to koi scene nahi ho sakta hum dono ke liye....woh bohat young hai aur mujhe apne career banana hai, lekin mujhe woh bohat pasand hai. aur agar kabhi bhi is ne mujh se kuch kaha to mein inkaar nahi karungi. kon inkaar kar sakta hai Jibreel ko?" apne bed room mein, kapray tabdeel karne ke liye nikaalte hue, Nesa ne is se kaha.

"is ke maa, baap ne bohat achi tarbiyat ki hai is ki tum ne dekha, woh kis terhan tumhe tawajah de raha tha. mujhe yaad nahi mein kabhi apne saath koi guest le kar gayi hu aur Jibreel ne usay is terhan tawajje nah di ho." Aisha ka dil ajeeb andaaz mein bujha tha....to woh tawajah sab hi ke liye hoti thi aur aadat thi meharbani nahi. is ne kuch mayoosi se socha.

"tumhe pata hai, mujhe kyu acha lagta hai woh?" Nesa is se keh rahi thi. "woh Hafiz e Quran hai. bohat ba amal hai. kabhi tum is ki tilawat suno lekin itna mazhabi hone ke bawajood woh bohat liberal hai. tang nazar nahi hai, jaise bohat saare muslim ho jaate hai. nah hi is ko mein ne kabhi dusro ke hawale se shiddat pasand paaya hai. mujhe nahi yaad kabhi is ne mere ya kisi aur female class fellow ke libaas ke hawale se kuch kaha ho ya waise kisi ke baare mein comment kiya ho. kabhi nahi."

Nesa kehti ja rahi thi. woh libaas ke muamle mein khasi modern thi aur usay yeh qabil qubool nahi tha ke koi is par is hawale se koi pabandi lagaye aur Jibreel mein usay yeh khoobi bhi nazar aa gayi thi. Aisha bilkul kisi sehar zada mamool ki terhan yeh sab sun rahi thi. Nesa ke inkishafaat ne jaise Aisha ke liye is ki zindagi ke ideal life partners ki check list mein mojood khubiyo ki tadaad badha di thi.

woh Fajr ke waqt namaz ke liye uthi thi aur is waqt namaz padhne ke baad is ne ek baar phir Facebook check kiya tha aur khushi ki ek ajeeb lehar is ke andar se guzri thi, woh add ho chuki thi aur jo pehla kaam Aisha ne kiya tha, woh is ki tasweero mein is ki family ki tasweero ki talaash thi aur usay nakami nahi hui thi. is ke account me is ki family ki bohat saari tasaveer thi. Salaar Sikandar ki...hijab mein malbos Imama ki...is ki no umar behen Anaya ki...Hameen ki aur Raeesa ki....Jibreel ke uncles aur cousins ki jo un ki family ke bar aks behad modern nazar aa rahe the, lekin un sab mein ajeeb hum ahangi nazar aa rahi thi.

woh Jibreel Sikandar se dosti karna chahti thi, lekin woh himmat nahi kar payi thi. lekin woh aur is ki family yak dam jaise is ke liye ek ideal family ki shakal ikhtiyar kar gaye the. aisi family jis ka woh hissa banna chahti thi. woh is family ka hissa nahi ban saki thi, lekin Aisha Abideen ko Ahsen Saad aur is ki family se pehli baar muta-arif ho kar bhi aisa hi laga tha ke woh Jibreel Sikandar jaisa khandan tha aur Ahsen Saad, Jibreel Sikandar jaisa mard...qabil, ba amal

musalman...Hafiz e Quran.

Aisha Abideen ne Jibreel Sikandar ke dhoke mein Ahsen Saad ko apnane ka faisla kiya tha.

☘️

is kitaab ka pehla baab agle no abwab se mukhtalif tha. usay padhne wala koi bhi shakhs yeh farq mehsoos kiye baghair nahi reh sakta tha ke pehla baab badal diya tha. num aankho ke saath is ne print key dabayi. printer barq-e raftari se woh pachaas safhay nikaalne laga jo is kitaab ka tarmeem shuda pehla baab the.

is ne table par padhi disk uthai aur behad thake hue andaaz mein is par ek nazar daali. phir is ne usay do tukro mein toar dala phir chand aur tukre. apni hatheli par pade un tukro ko ek nazar nazar dekhne ke baad is ne inhe dustbin mein pheink diya.

disk ka cover utha kar isne zair lab is par likhe chand lafzo ko padha, phir chand lamhe pehle laptop se nikaali hui, disk isne is cover mein daal di. printer tab tak apna kaam mukammal kar chuka tha. is ne tray mein se un safhaat ko nikaal diya. bade ahthyat ke saath is ne inhe ek file cover mein rakh kar inhe dusri file covers ke saath rakh diya jin mein is kitaab ke baqi no abwab the.

ek gehra saans lete hue woh uth khadi hui. khade ho kar is ne ek aakhri nazar is laptop ki madham padti screen par daali.

screen tareek hone se pehle is par ek tehreer ubhri thi. "Will be waiting."

is ki aankhon mein thehri nami yak dam chhalak padhi thi. woh muskura di, screen ab tareek hone lagi. is ne palat kar ek nazar kamre ko dekha, phir bed ki taraf chali aayi. ek ajeeb si thakan is ke wujood par chaane lagi thi. is ke wujood par ya har cheez par....bed par baith kar chand lamhe is ne bed side table par padhi cheezo par nazar dorhayi. woh pata nahi kab waha apni wrist watch chorh gaya tha. shayad raat ko jab woh waha tha, woh wudu karne gaya tha. phir shayad usay yaad hi nahi raha tha.

woh wrist watch utha kar usay dekhne lagi. seconds ki sui kabhi nahi rukti, sirf minute aur ghante hai jo rukte hue nazar aate hai. safar khatam hota hai...safar shuru ho jata hai....

bohat der tak is ghadi par unglia pherte hue woh jaise is ke lams ko khojti rahi. woh lams waha nahi tha. woh is ke ghar ki wahid ghadi thi jiska time bilkul theek hota tha. sirf minute nahi seconds tak kamliat is ghadi mein nahi thi, is shakhs ke wujood mein thi jis ke haath par woh hoti thi.

Isne aankho ki nami saaf karte hue is ghadi ko dobara side table par rakh diya. kambal apne upar khenchte hue woh bistar par late gayi. is ne light band nahi ki thi. is ne darwaaza bhi band nahi kiya tha. woh is ka intezaar kar rahi thi. baaz dafaa intezaar bohat lamba hota hai. baaz dafaa intezaar bohat mukhtasir hota hai. is ki aankho mein neend utarne lagi. woh usay neend samajh rahi thi.

hamesha ki terhan ayat al kursi ka vird karte hue woh usay chaaro taraf phoonk rahi thi. jab usay woh yaad aaya. woh is waqt waha hota to is se ayat al kursi apne upar phukne ki farmaish karta.

bedside table par pade ek photo frame ko utha kar is ne bade narmi ke saath is par phunk maari. phir frame ke sheeshe par nazar nah aane wali gird ko apni unglio se saaf kya, chand lamhe tak woh frame mein is ek chehre ko dekhti rahi, phir is ne is ko dobara bedside table par rakh diya.

sab kuch jaise ek baar phir se yaad aane laga. is ka wujood ek baar phir se rait banne laga tha. aankhon mein ek baar phir se nami aane lagi thi.

is ne ankhen band kar li. Usse bohat der ho gayi thi."

Imama ne hadbada kar ankhen kholi thi. kamre mein neem tariqi thi. Salaar is ke barabar mein so raha tha. is ne wall clock par nazar daali, raat ka aakhri pehar tha. woh uth kar baith gayi. ajeeb khwab tha. woh kis ka intezaar kar rahi thi, usay khwab mein bhi samajh mein nahi aaya tha. kitaab ke woh das abwab Salaar ke the....woh kitaab Salaar hi likh raha tha aur abhi tak is ke no abwab likhe ja chuke the. daswa nahi.

woh ghadi bhi Salaar ki thi aur Salaar ne Hameen ki pichle birthday par is ki zid aur israar par usay di thi aur ab woh ghadi Hameen bandhta tha aur is ne khwab mein apne aap ko budha dekha tha. woh iska mustaqbil tha. woh kisi ko yaad kar rahi thi...kisi ke liye udaas thi. magar kiske liye? aur woh kiska intezaar kar rahi thi aur koi nahi aa raha tha magar kon...aur phir woh tehreer "will be waiting". Woh khwab ki ek ek tafseel ko dohra rahi thi. ek ek juzziyat ko dohra sakti thi.

woh bistar se uth gayi, behad becheni ke aalam mein un ki packing mukammal ho chuki thi. woh is ghar mein un ki aakhri raat thi, iske baad woh un sabke saath Pakistan jaane wali thi aur Salaar aur Jibreel ko wahi reh jata tha.

ek baar phir se iska ghar khatam ho jaana tha. yeh jaise is ki zindagi ka ek andaaz hi ban gaya tha. ghar bana ghar khatam hona phir bana phir khatam hona. ek ajeeb hijrat thi jo khatam hi nahi hoti thi aur is hijrat mein apne ghar ki woh khwahish aur khwab pata nahi kaha chala gaya tha.

woh is raat is terhan khwab se jaagne ke baad bhi bohat udaas thi. pehle woh Salaar ki beintehaa masrufiyat ki wajah se is ke baghair apne aap ko rehne ki aadi kar payi thi aur ab Pakistan chale jaane ke baad usay Jibreel ke baghair bhi rehna tha.

woh chalti hui kamre mein mojood sofe par ja kar baith gayi. usay lag raha tha jaise is ke sir mein dard hone laga tha aur sofe par baithte hue usay ek baar phir is khwab ka khayaal aane laga tha. is khwab ke baare mein sochte sochte woh buri terhan thitki.... kitaab ke das abwab...is ki udasi....is ka budhapa....kisi ko yaad karna...

usay yaad aaya tha is kitaab ka har baab Salaar ki zindagi ke paanch saalo par mushtamil tha. doctors ne Salaar ko saat se das saal ki zindagi ki mohlat di thi aur kitaab ka daswa baab pachaas saal ke baad khatam ho raha tha.

Ga verder met lezen

Dit interesseert je vast

21.1K 1.1K 67
(Completed)✔️ heart touching stories about companions of prophet muhammadh (sa).... Do vote 🌟 & comment 💭 and.. if there are any mistakes please le...
207K 8.1K 9
A simple short story filled with love 💕 #2 in lovestories 30/12/19
191M 4.5M 100
[COMPLETE][EDITING] Ace Hernandez, the Mafia King, known as the Devil. Sofia Diaz, known as an angel. The two are arranged to be married, forced by...