𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏

Por moonxpastelstar

7.5K 308 2K

شہریار سکندر ✦❃✦زرنیش عباس Story of Shehryaar Sikandar khan and Zarnish Abbas Do logo ka safar, safar bhi e... Más

Author's NOTE
کردار 🦋
باب١🖤
باب ٢
باب:٤
باب٥
باب٦
باب٧
باب٨
باب٩
باب١٠
باب: ١١
باب١٢
باب١٣
باب ١٤

باب٣

273 16 98
Por moonxpastelstar

سوزِ یقین
SOZ E YAQEEN
باب ِ٢

Chapter: Three

Naya din apne sath kuch naya laya tha... woh mukamal tayar huwe nashte ke meez pe bethi hoi thi....

"Bibi jaan mujhe lagta Hai ab mujhe chalna chahiye werna dair safveri ki wajha se mera Image kharab hojaye ga"
Woh har barai mai uthi boli
Aur bibi jaan uski ada par halka sa has di

"ap has kyu rahi hain"
Woh unko dekhe sawaliye nazro se puchne lagi

"kuch nahi bas tere baap ki yaad agayi woh bhi apni job ke phele din aese hi tha phr ek din mohabbat Ke wasty barbad hogaya... "
Woh phele tou muskurai thi lekin phir maazi ke talkh yaado ko zehn khashi kr ke udasi mai bahel gyi...

"Bibi jaan mai abhi inki love story pe nhi puchi, abhi tou mama ka bachpan chal raha hai"
Usne muskura kar baat ko badalna chaha

"Mama ka bachpan...
Uff ho larki tum bhi na"
Bibi jaan phele tou uski baat samjh sa saki par phr yaad aane pe usko sar pe halka sa mare uske sath has pari

"Acha Acha ab ja larki werna tera image khrb hojaye ga wese bhi tera boss tou kharoos type haina"

"kharoos ko hum pigla dein ge fikar not bibi jaan"
Woh ankh mare kehne lagi

"besharam larki Sharam Kar le tori si"
Woh usko ghoore boli

"Ye besharam larki Sharam kese Kar sakti hai"

"Zarnish baaz Ajao"

"insaan nhi achi mai... jo baaz ban jaon"

"uff ho khudaya sabar dena us larke ko jis Ke naseeb mai ye hai"
Woh afsos karne lagi

"Ye humare beech is baat ka zikr lana zaroori tha kya"
Woh apni Kamar pe hath rakhe unse eyebrow upar kiye boli

"jese tu lati hai mehmood ko"
Woh sharati muskurahat diye boli

"ap mane na mane lekin woh apki jaan hai"
Is baar woh gehri muskurahat liye boli aur agle hi lamhe uska sar takiya se nawaza gaya

"Ye kya harkat hai bibi jaan"

"Zarnish mere bache abhi ap jao shahbash raat ko hum continue kare ge na"
Woh uske Chehre pe shafqat se hath phire boli

"okiee bibi jaan Allah hafiz"
Woh un se zor se gale lagte kehne lagi

......

"mai is bare Mai koi baat nahi karna chahta Sikandar"
Unki awaz mai ghussa mujood tha

"ap samjh kyu nahi rahe"
Woh ab uthe unke peeche chalta bolne laga

"mai Kya samjhun Haan batao mujhe kya chahte ho tum"
Woh Murray usko ghusse ki shiddat se dekhne lage

"woh mera beta hai mai chahta hun woh bhi humare sath is si ghar mai rahe"
Us shaks ki ankh nam ho chuki thi woh ye judai ye doori bardash nahi Kar sakta tha ab

"Aaida ye wahiyat baat apne muh se na nikalna sikandar samjhe tum"
Woh usko akhiri baar keh Kar aage bhare hi thy ke woh bol para

"thak gaya hun mai"
Bebaasi zahir thi unke chehre aur awaz mai

"kyu mujh se jure har kisi ko dur Kar rahe hain"
Woh ab ba-mushkil apne anso ruk paya, dil mai ek gehra zakham jaag utha tha..

"agar tum us aurat ki baat kar rahe ho tou meri baat kaan khol Kar sun lo sikandar, woh kabhi is qabil nhi thi woh is ghar ke qabil nahi thi sirf tumhare khatir us ko is ghar Mai jaga di thi"
Unho ne foran gusse se mur kar jawab diya

"Ye kisi jaga di thi apne jaha usko zillat ke siwa kuch naseeb nahi huwa"

"itne bare ho gye ho tum ke apne baap se us wahiyat ke khatir sawal karo ge"
Herat zahir thi Arzang khan ke Chehre par

"bas... bas Kar de na kahe us pakeezgi ko wahiyat ap kya Jane woh kya thi"
Is baar ghusse Mai woh bol para nhi Kar sakta tha ab Sikandar apni Nisa ke khilaf ek lafz bhi bardash woh lafz jo uske kirdarr ke haqdar na thy...

"wahh dekho isko mari huwi biwi ka wakeel banna phr raha hai"

"meri baat ko apne zehn o nashi kar lo sikandar aaida agar tumne uska zikr chirra tou mai zara waqt nhi lagaon ga tumhe is ghar se rafa dafa karne mai"

"KARDE MAI KEHTA HUN ABHI KARDE"
Ab ki baar mai Sikandar ki awaz ghoj uthi thi

"chahe woh kese bhi hai hain tou humare bara na, un ho ne apko pala posa hai itna bara kiya sab cheez ke qabil banaya... Kya Sahi rahe ga unke samne apni awaz uchi karna... nahi sikandar ye galat hai ye sahi nahi hai" nisa

Woh iski baat ko nazar andaz kiye ab tashreef apne kamre ki taraf Le gye thy

Bacha woh apne ansooho ke sath
"kyuu nisa kyu har baar mujhe rok leti ho, Mai nahi maaf kar paon ga khud ko mai.... Mai tumharey wade pe pora nahi utar paya"

......

"Excuse me Kya Ap Mujhe guide Kar sakti hain Mai yaha new hun"
Usne building ke andar aate samne khari receptionist se pucha tha... Oliver Green rang ke shalwar kameez aur sar pe dupatta liye woh ajj ayi thi...

"Ap waha ja Kar bethe"
Ek nazar us pe dale usne hishara karte jawab diya

Tabhi piche se mabloss neele rang ke three piece suit Mai aate huwe shaks ne kaha
"EXCUSE ME ye sir Ki personal assistant hain"

"Ohhh iam sorry sir"
Receptionist Ne Kuch sharminda hote huwe kaha aur apne kaam mai masroof hogyi

"no problem, aur Ap Chale mere sath"
Usne ek halki muskurahat liye kaha aur us larki ko apne sth chalne ki thymeed kiye aage bharne laga...
Woh bhi chup chap uske piche chale lagi
Lekin man hi Maan Mai ye soch rahi thi ke ye shaks kon hai? Lagta tou mujhe meri hi ham Umar ka Hai? Aese mai hi
Akhir khar woh dono Shehryaar ke office Mai aa puch chuke thy...

Office ke andar tashreef bandte huwe hi Husam ne usse mukatib kiya
"Sain... i mean sir aate hi honge ap tab tak wait kare mai bas aya" kehte sath hi woh us kamre se bahir ki taraf ja chuka tha...

Sar ko deema hilaye woh ab kamre ka jaiza lene mai magan ho gyi tab hi uski nazar ek tasveer pe ja pari thi jo Kay ek family photo lag rahi thi, usne us tasveer ko hath Mai thamaye ek nazar ghoor Kar durai thi..., tasveer Mai mujood log bhot khush sabit ho rhe thy balke haqeeqat mai zindagi ke imtihaano mai masroof thy apni khushiya dhudne ke liye...
Usko heraaani is baat ki hoi thi ke ye tou bachpan ki tasveer hai tou ye ek yaha ke boss ke kamre Mai kya kr rhi hai kya ye Waqai uski family thi agar thi tou ab ki tasveer rakhni chahiye thi yun bachpan ki rakhne ka faida... Ajeeb baat
Uske soocho mai achanak hi darwaza khula tha aur jab uski nazar samne khare shaks pe pari tou na anjane mai uske hath se woh tasveer gir Kar toot chuki thi ghabrat aur dar ki wajha se, dobara us se nazre milane ke qabil ab woh na rahi thi is liye apna Sar niche zameen ke janib kiye usne deemi awaz mai kaha..

"iam... sorry iam really really sorry.... Galti se hogaya"

"koi baat nahi"
Usne sada sa jawab diye balke nazre uski un toote huwe kanch ke tokro pe thi

"ap.. Ap gussa nahi kare ge"
Usne hichakataty huwe pucha tha

"tootne wali cheez toot jati hai"
Ab bhi uski nazre un kanch ke tokro pe hi thi

"lekin phr bhi... ye shyd apke dil ke k
Qareeb thi.."

"Thi nahi hai aur humesha rahe gi"
Uski tou nazre jese un kanch ke tokro pe atak hi chuki thi....

Ye dekhte Zarnish ne un kanch ko uthane ke liye apne ghootne zameen pe rakhe bethi hi thi aur baari baari kanch ko uthane lagi tabhi ek kanch na janey uske hath mai ja laga dard ke mare uski siski nikli ye sun Kar foran Shehryaar apni ajeeb uljano se nikle usse dekhne laga aur phir usne jaldi se first aid box cupboard se nikale uske pas aa chuka tha...
AbShehryaar bhi zameen pe bethe uske hath ko apne hath mai liye dekhne laga.. Hath bari narmi se pakra gaya tha...

"dard ho rha hai"
Shehryaar ne us se kisi bache ki tarah pucha tha
Ye dekhe Zarnish bas us se dekhti reh gyi

"Zahir si baat hai chot lagne se dard tou hota hai

, ye dekhne Mai chote se kanch zakam bhot gehre chor jate hain"

"har dard ka Marham hota hai"
Usne tasali ki niyat se kaha.. Aur woh uski taraf dekhe jhat se boli

"nahi hota dil pe lage zakamo ka Marham nahi hota "
Shehryaar uske hath ki malam patii karte sath uski baato ke lehje par ghoor farma raha tha...

"janta hun dil Wahid cheez hai Jo apne andar nafrat dard pyar aur kahi sare jazbaat daba bethta hai dimag se zyada dil ka hafiza teez hota Hai"
Is lamhe kehte Shehryaar ne apni nazaroon ka ruk uski nazro ki taraf mura tha...
Dono ki ankhe is chand ghuftogo mai mili thi
Mazeed aur aesa chalta tou ek raaz khud khul Kar samne Ajana tha... lekin shyd us raaz ka zahir hone mai abhi waqt tha...

"Hmm Sain Kya huwa yaha"
Andar aate huwe Husam ne jazbati aur preshani se pucha jab uski nazar toote huwe kanch aur zameen pe pari us tasveer pe ja pari...

"chota sa hadsa tha tum kisi ko keh Kar ye saaf karwa do aur inhe kaam bhi samjh dena"
Jaldi se uth khare hote Shehryaar ne phele tasveer ko uthaya aur phir Husam se kehte darwaza se bahir ki taraf chal para...

Aur woh bas usko jate dekhti reh gayi...ajeeb si uljano ke sath...

"mere sain ko agar apki kisi baat ya kisi harkat se bhi takleef punchi tou mujh se bura koi nahi hoga"
Shehryaar ke bahir jate hi Husam us se narmi se mukatib huwa tha Zahir thi tou ye ek damki hi aur ye baat Zarnish ho bo ho samjh chuki thi...

"abhi ap Ghar jaye Kal se proper kaam kare gi ap aur yaad rahe aaida ap sir se juri kisi bhi cheez ko hath tak nahi lagaye gi"
Husam ki baat pe usne sar asbaat mai hilaye ab khud bahir ki taraf rawangi le li...

Waha se nikle kuch fasle pe us se ek khoobsoorat tareeen bhag nazar Aya woh waha aaye ek bench pe beth gyi... Waqt subha ke das baje ka tha.. Woh ghar nahi janna chahti thi filhal tou hargiz nahi...

"tootne wali cheez toot jati hai"
"Thi nahi hai aur humesha rahe gi"
"har dard ka Marham hota hai"
"janta hun dil Wahid cheez hai Jo apne andar nafrat dard pyar aur kahi sare jazbaat daba bethta hai dimag se zyada dil ka hafiza teez hota Hai"

Chand minto ki ghuftogo ne uske haws pe kabo Kar liya tha woh nhi janti thi par uski baatein kahi na kahi usko le jana chahti thi woh darti thi woh nhi tootna chahti thi woh mazeed apni zindagi mai kuch kona nahi chahti thi.... Aur mazeed kuch bigarta nahi dekh sakti thi.. Amoman woh kuchh aur bardash nahi karna chahti thi uski taraf se zindagi ke imtihaano ke liye bass ho chuki thi...

Waha bethe kab das se ek baj gaya usse pata hi nah chala.... Par woh wapis ghar sham se phele nahi janna chahti thi... Isliye kuch iradey kiye woh ab nazdeek ke coffee cafe pe ja beth chuki....
Kirki wali table Pe woh bethi hi thi ke jhat se waiter ne usse mukatif kiya "anything ma'am" woh usse ankh uthaye dekhe boli "a cup of coffee"

"sure ma'am anything else?"

"no just it would be better"
Woh filhal kuchh khaney ke mood mai nahi thi isliye bs coffee mangwaye relax hona chahti thi, waiter bhi order liye ja chuka tha aur kuch hi dair mai garm ma garam coffee uske samne mujood thi...

Woh coffee ka ghout liye kuchh soch rahi thi
Jese apni purani yaadon mai ja chuki thi...

📍Flashback:. America

Ajj itwaar tha yani chutti ka din woh aur Bibi jaan har itwaar ko humesha sath waqt guzar thy lekin ajj uske plans kuch aur hi thy... Woh sofe pe bethi musalsal kuch sochh hi rahi thi ke usse sochhey dekhe bibi jaan tajasus se puchne lagi "kya soch rahi ho Zarii"

"bibi jaan ajj Carl ki taraf se party hai tou mai soch rahi thi ke mai jaon ya nah"

"Marzi hai tumhari mai kya keh sakti"

"acha bibi jaan aap naraz tou nah hona"
Woh uske gird bahey philaye boli

"mai bhala kyu hony lagi naraz"

"woh actually hum har Sunday sath spend karte haina isliye"

"beta g mere liye apki khushi se bhar Kar kuchh nahi agar apka maan hai tou bila jijag jaye"

"aww i lovee youu merii phuphoooo, best phuphoo"
Woh usse zor se galey lagi thi

"mera baacha"
Woh uske maathy pe pyar karey apney kitchen mai chali gayi thi aur woh raat ke event ke liye tayari karne apne kamre ki taraf bhag chali...

"uff kya pehnuu"
Woh takreeban almari se sareyyy kaprey bistar par lad chuki thi... Samne se bibi jaan aye heraan par gyi thi

"hayee Allah larkii yeh kya Kiya"

"bibi jaan Shukar ap agyi yeh dekhe mere pas kuch pehne ko nahi hai ap bataye mai kya krun"
Woh roney wali shakal banaye shikayat kar rahi thi...

"acha g tou yeh Sab kabar khana hai kya"
Woh usse bistar par parey dhair kapro ka dekhaye boli...

"lekin in mai se koi dhang ka nahi ke mai pehn kar ja sakon"

"mai nikal kar deti hun ruko"
Bibi jaan kehti sath ab ek ek Kapre ko usko dekhaney lagi - keh shyd koi isse ras ajaye...

"yeh dekho"

"hmm nahi bara dal color hai"

"yeh!"

"bhut bright colour Hai"

"yeh dekho"

"bhut zyada simple hai"

"yeh wala dekho"

"bhut shinny hai"

"acha yeh wala dekho"

"aunty lagun gi mai iss mai"

"chup bs chup, yeh woh hai yeh woh hai kya tamasha laga rkha hai, ab maine jo final karna hai bs wahi tumne pehna hai that's it! No any words Zarii"
Bibi jaan ab uski harkat pe tang aachuki thi majal hai ke isse kuch pasand ajaye...

"lekin-"

"maine kaha chup"

"yeh lo"
Bibi jaan ke hath dhud kar ek blueish maxi hath lagi jiske sleeves par halka pulka kaam huwa hua tha baki woh plan ghairi hui thi... Zarnish bhi us dress ko dekhe Ek lamhe dekhti reh gyi aur jhat se bol pari...
"yeh mujhe kyu nahi dekhi"

"ankhein khol kar dekho gi tab nazar aye gi nah"
Bibi jaan ki baat pe Zarnish halka ka muskura di

"chalo jldi tayar hojao"
Kehti sath bibi jaan uske kamre se ja chuki thi...

Kuch dair tak Zarnish bhi woh maxi pehne ready thi high heels baalo ko khula chorey halka pulka makeup yani maskara eye liner aur light si lip gloss lagaye woh neeche siriyaan utari thi ke samne bibi jaan usse dekhe "MashaAllah" keh rahi thi

"khuda Hafiz bibi jaan, Mai chali ab"

"Allah hafiz"
...

Event hall Mai puchy woh Carl ki talash Kar rahi thi andar kafi muktalif log ghoomty phirty nazar arahy thy... Kuchh qadam aage chalne par usse Carl nazar aya woh usse dekhe hath uski taraf hila bethi Carl Ne bhi return usse dekhe hath hila diya... Aur uski taraf qadam bharaye...
"Hey Zarnish you here good to have you here tonight" woh uske aane pe khushi mehsos kar raha tha jawaban Zarnish muskurayi "hi Carl, Thank you for inviting"

"ahh so how's the party"

"it's good!"

"tumhari favorite dishes bhi majood hain"

"ahh like..."
Woh khushi se puchne lagi

"like gulab jamun, biryani, creamy pasta and chocolate ice-cream"

"chalo chalo phr jaldi se khane chalte hain"
Woh betabi se uske bazu ko khechne lagi aur woh uski betabi pe has para

"okay okay relax! Chalte hain"

Khane ke samne woh dono majood thy.. Zarnish ke dil mai khaney ki betabi mujood thi lekin kisey pata tha ke jese khaney pe nazar parey uski sari ki sari betabi yun ghayab si hojaye gi...

"what's this Carl?"
Woh foran gusse se uski taraf palti thi jokay apni hasi kabu karne ki lakh khoshishein kar raha tha lekin uska phula huwa muh dekhe zor se has para...

"What's so funny Carl answer me"

"Yarrr Zarnish"
Woh phir se has raha tha

"STOPPPPP LAUGHINGGGGG"
Woh dono lafz pe zor deti boli

"OK-okay"
Woh bamushkil apni hasi ko kabu karne laga ke agle hi lamhe Phir se uski gusse se laal naak dekhe has para

" Again!"
Woh usko ghoorney lagi

"your red nose it looks dam funny yarr"

"Carl please stop laughing and tell me why you lied"

"when did i lied?"
Woh anjaan banny bola

"don't act naive please"

"iam naive you know"
Usne ankhe marey kaha

"stop!! Bs bhut huwa"
Woh gehra sans hawa mai chorey aage Janey ko palti thi ke usne usko bazu se pakre ruka

"acha ruko kaha chali"

"Ghar"

"why?"

"because you lied"

"acha yeh you batao maine Kya jhoot bola"
Woh apne hath seeney pe bandhe bola

"tumne kaha meri favorite dishes hain lekin yeh Sab Chinese dishes hain"
Woh uske bataney ke andaz pe muskura betha

"you know you are so cute"

"shut up!"
Woh uska phula muh dekhe ek baar Phir se has utha...

"kyaaaaa hai Carl"

"sorry... Bs hasi jhut jati hai"

"ahh ughhh"
Woh usse uske bazu pe apne handbag se marne lagi aur woh hasta chala gaya...

Flashback ends

Ek muskurahat uske chehre pe ubri thi... Kesy khoobsoorat lamhe yaadein ban kar reh jati hain.... Apni coffee mukamal kiye woh ab Cafe se bahir aa chuki thi... Dhuphair dhalne ko thi sooraj asmaan ko alvida keh raha tha... Aur woh apne raaste pe mukamal khomoshi ke sath chal pari... Ajj ke din ke waqiya ki dhair sochein liye woh ghar wapis ko thi...
.....

Us kamre mai dhakil huwe uski nazar us rooti hui larki par pari jo zameen pe bethe khoob roo rahi uski ankhe masalsal rone ki wajha se soj chuki thi, ye dekhe us shaks ko mazeed gussa aya, apne dant chabbata huwe usne us se kaha

"tumhe kitni baar kaha hai Maine ye tumhari rooti hui surat mujhe zara pasand nahi hai"

"Ap... ap Kab tak aese rahe ge"
Us larki Ne tori bhot Himmat Kar ke us se pucha hi liya tha. ''

"tumhare aese rahe ge se kya Murad Hai SAAF SAAF LAFZO MAI BATAO MUJHE"
Woh uske Qareeb jata puchne laga

"NAHI HOTA MUJH SE APKA YE RAWAIYA BARDASH MOHHABAT KARTI HUN MAI APSE"
uske kehne ki dair thi ke ek Zor dar tapphar uske gaal pe lag chuka tha

"AAIDA APNI AWAZ MERE SAMNE UCHI NA KARNA WERNA IS SE BHI BADTAR HAAL KRUN GA TUMHARA"

"aur ye kya tum mohhabat ki baatein Kar rhi ho haaan tum logo ke khoon Mai mohabbat kabhi ho hi nhi sakti"
Ab ki baar usne us bichari ka chehra zor se pakkre apni khofnak awaz mai kaha tha
Narmi tou uske lehje mai dur dur tak nahi maloom hoti thi... Ajeeb hi hiwan tha woh...

"jiska gunah hai us se Mar Dale lekin mere sath aesa na kare"
Ab ki baar nafrat ki aag us larki ke ankho Mai shumar thi...

"Usko tou mere hatho hi marna Hai bas jeeno do usko uski bachi kuchi zindagi"
Hasi hasii ghonji thi is baar iski haasi ghonji thi
Woh khud ke banaye huwe irade pe bhot khush huwa tha.... Lekin kya woh irada apne iktitam ko puch bhi pana tha.....

"kya uske Marne tak Mai is azeeyat Mai guzaron"

"aur nahi tou kya akhir tum uski b...."
Uske baat mukamal hone se phele hi woh larki bol pari

"Mera us se koi rishta nahi hai"

Ye sunte hi usne gehri muskurahat bhar li akhir woh pori tarah apne kiye pe khamyab jo ho rha tha yehi tou woh chahta tha, woh uski zindagi barbad tou karna chahta tha usko uske apno se durr tou karna chahta tha uski zindagi nafrato se tou hi bharna chahta tha, ho rha tha ye apni chaal mai pori tarah khamyab..

Abhi tou bhot khel baki thy bhot baaziya jeetni baki thi.... Na janay aur kitna kuchh baki tha.....
....

Woh sham ke waqt thaki thaki ghar mai dhakil hoi thi, bahir lagatar bhut waqt guzarey ab woh wapis ghar ko aachuki thi ke samne bethi khawateen ki jese hi is par nazar pari woh uthe iski janib bharne lagi...

"kya huwa meri jaan itna thak gyi aj hi"

"thak tou mai apni zindagi se gyi hun"
Woh sofe se thik lagaye beth chuki thi ankhe band kiye...

"ye kya huwa Zarnish ye chot kese lagi kya huwa hai mujhe sach saach batao... "
Sawal ke Bahar tut pare woh janti thi uski bibi jaan lazmi puche gi, ye zakham woh chupa jo nhi sakti thi jismani zakham jo thehra...

"kuch nhi huwa bibi jaan bas halka sa kanch lag gaya... "

"aesa konsa office Hai yaha kanch lagna mamoli baat hai haan batao mujhe Zarnish, aur Kal se resign deke ajao"

"galti meri thi maine..."
Batate Batate woh subha ka manzar uski ankho ke samne achuka tha...

"kesi galti Zarnish pori baat batao"
Preshani unke chehre pe saaf zahir thi

"Maine unki qimti cheez tor di"

"kiski???"

"uski... woh ajeeb hai bhot ajeeb hai"
Zarnish halka sa muskurahte huwe kehne lagi Waqai doseri mulakat thi aur ye shaks iski samjh mai zara na aya tha aage kya kya hona tha us ke liye yeh zara si bhi tayar hi nhi thi...

"kon ajeeb hai???"
Bibi jaan Preshani ki kaifiyat mai puchne lagi

"woh... maine uski qimti cheez tor di lekin uske chehre pe zara sa bhi gussa na tha"
Heraani Heraani chahi hoi thi Zarnish ke chehre pe shyd khoshish thi usko samjhne ki

"ZARNISH saaf saaf batao kiski baat kar rahi ho"

"mere boss.....huwa kuch yun ke... "
Aese hi usne pora waqeeya Bayan farmaya

"naam kya Hai uska?"
Zarnish ki pori baat sun ne ke kuch dair baad bibi jaan Ne soch smajh Kar pucha ye sunte hi Zarnish heran hoi thi lekin phr jawab pesh kiya

"Shehryaar"

"pora naam?"

"mujhe nahi pata, wese ap kyu puch rahi hain?"
Sawaliya nazre uthaye Zarnish ne pucha

"kal puch ke aana"

"WHATT"
Zarnish Waqai nhi samjh pa rhi thi akhir kyu bibi jaan uska pora naam janna chahti Hai aesa kya jura huwa hai uska humse jo ye puchne pe bibi jaan aa punchi apni hazaar socho ko dabaye usne gehra sans bhara

"What nhi pora naam puch Kar aana aur abhi shahbash fresh ho Kar aao phr khana khate hain"

"mujhe bhook nahi hai bibi jaan"

"subha bhi tora kha Kar gyi thi abhi nhi khana khaya tou maine ulte hath ki lagani hai tumhe"

"Waqai bhok nhi Hai"
Dobara sofe pe bethe usne kaha

"kya huwa hai Zarnish sach kyu nhi batati mujhe"
Bibi jaan bhi uske sth bethte huwe preshani ki nighao se puchne lagi

"pata nhi bas akele rehna chahti hun thek hojaon gi kuch dair mai"
Bagair kisi tarsuhat ke woh itna kehti apne kamre ki janib chali gyi

.......

"iam... sorry iam really really sorry.... Galti se hogaya"
"ap.. Ap gussa nahi kare ge"
"lekin phr bhi... ye shyd apke dil ke kareeb thi.."
"Zahir si baat hai chot lagne se dard tou hota hai
, ye dekhne Mai chote se kanch zakam bhot gehre chor jate hain"
"nahi hota dil pe lage zakamo ka Marham nahi hota "

Woh hairan tha nahi preshan tha woh nahi janta tha lekin kuch yun tha jo usko kahi kahi le jana chahta tha ye larki apne andar kahi raaz chupaye bethi hai ya phr uske maazi ka raaz jo woh talash karna chaha raha tha
Apne jazbaato pe kabo paye usne gehra saans bhara tha
Tabhi samne se kisi ne uske kande pe shafqat se hath rakhte huwe kaha
"Sain.. Na de khud ko ek aur azeeyat"
Usne sirf usko afsos bhari nighao se dekha

"ap uski baato ko dil pe Le gaye"

"baatein hi aesi thi uski... na jane kis marhale se guzar chuki hai woh jo usko lagta Hai uske dard ka marham nahi hai"
Woh kehta kehta uski woh dard se bhari ankho ka manzar yaad karne laga...
Asmaan sitaro se bhara para tha... Woh us balcony pe khara socho mai ghum sa tha...

"ap uske baare mai itna kyu soch rahe hain"
Ye baat ka jawab tou woh khud nahi janta tha tou is se kya kehta bas ek sarsarai muskurahat dete huwe usko dekhta gaya

"tumhe pata jis tarah woh us tasveer ko dekh rahi thi na aesa lag raha tha jese kisi apne se woh alag hoi hai shyd humesha humesha ke liye"

"Sain na soche kisi ke baare mai agar ap unke liye kuch kare ge tou woh apko dhoka dein ge aur ye mai mazeed nahi Dekh sakta"
Usne saaf apni wajha wazeh ki, Shehryaar uski taraf dekhta hi chala gaya...

"Husam Har insaan ek jesa nahi hota"

"par yaha sab ek jese hain yaha koi apka saga nahi hai, koi apko nahi samjhta "
Is baar Husam ne uske chehre se ruk phair liya tha...

"mai chahta hi nahi hun Husam ke mujhe koi samjhe mujhe kisi ki sympathy nahi chahiye"
Halki muskurahat woh apne chehre pe la chuka tha...

"jo bhi ho lekin ap usko nikal de job se jisne aate hi apki ek louti tasveer tor di woh aage jakay Apki zindagi bhi tabah Kar sakti hai"
Woh kafi jazbaat ho chuka tha, Shehryaar usse herani se dekhta raha...

"claim down Husam aesa kuch nahi hoga"
Shehryaar ne usko gale lagate huwe kaha woh janta tha ye bhot sensitive Hai iske mamle Mai
Baat ko mazeed woh bharana nahi chahta tha werna dono ke gehre zakham taza hojane thy... Aur Shehryaar khud nahi chahta tha ke woh maazi ke safey ko is lamhe kholey...

.....

Doseri taraf Arzang Haveli Mai woh sab log raaat ke khane se farigh huwe ab dewan khane Mai bethe thy...

"khana khane bhi nahi aaya zara dekh Kar aao Dilawar kahi woh Mar tou nahi gaya"
Arzang khan Ne apne muh mai paan rakhte huwe samne bethe Dilawar se kaha tha, Dilawar samjh chuka tha uske aba kis ke bare Mai keh rahe hain isliye jawab diya...

"Aba aesa tou na kahe bhai udas hain"

"samjhao us se mare huwe ke liye kisi zinda shuda se nahi larte"

"Aba ab bhi tou Hadd karte haina bha-"

Is se phele ke Dilawar apni baat mukamal Kar pata Arzang khan uthe gusse ki kaifiyat mai bol pare thy...

"Khabardar Dilawar agar tumhare muh se maine uska zikr sunna kya tum bhool gye ho uski wajha se hum kahi muh dekhane laik nahi rahe thy"

"maafi chahti hun lekin apki galti bhi utni hai jitni is sab Mai zaeemah ki hai, fazool Mai ap bhabhi pe itna bara ilzam laga bethe hain"
Tabbasum ne kaha Ab tak jo khomosh bethi sab dekh rahi thi, mazeed iske liye bhi sunna qabile bardash nhi tha...

"wahh Dilawar de di tumne apni biwi ko ijazat zaban chalane ki mere samne woh bhi ek badtar aurat ke khatir jisne mera pora khandan tabah Kar diya "

"barbad apka khandan apki wajha se huwa hai apke galat faisalo ki wajha se nakay bhabhi ki wajha se"
Tabbasum sachh ke sth dhati rahi thi...

"mama bas karde dada abu se behs karna woh bhi unke liye jinka is ghr se koi taluk nahi hai"
Alisha ne aate hi cheek Kar Kaha woh nhi sunna chahti thi kissa e un logo ka jinki wajha se uski ehmiyat kam hoi thi...

Tabbasum ne zor dar ek tapphar Alisha ki gaal pe de mara is se phele woh kuch mazeed unke bare Mai kehti...

"aaida aesi bakwas tumne ki tou apne hi hatho tumhe Mar dalun gi"
Tabbasum ki ankho mai gussa aur afsos mujood tha... Gussa apni beti ke liye aur afsos MUNISA BHABI ke liye

"le jao yaha se isko Dilawar is se phele ke mai koi aesa wesa faisala karun"
Apni poti ko apne gale lagate huwe Arzang khan ne gusse se dekhte huwe Dilawar se kaha tha
Ye dekhte Dilawar hishara se hi tabbasum ko apne sath le gaya...

"zyada tou nahi lagi na meri bachi ko"
Ab ke Arzang khan bhot narmi se Alisha se puchne lage

"Dada Abu, mama kyu har baar unki wajha se mujhe sunati rehti hain aur ajj tou Mar bhi diya"
Woh unke gaale lagte roote huwe kehne lagi

"fikar nahi karo meri jaan galeen logo ka naam o nishan mitne mai waqt tou lagta Hai"
Alisha apne Dada abu ki baat pe muskura di uske liye is pore Ghr Mai ek yahi tou thy jo isko samjh sakty iski har khuwaish o chahat dil o jaan se pori karte yun kahe tou ek louti ladli thi Alisha Arzang khan ki.....

"kya zaroorat thi yun thappar marne ki woh bhi Aba ke samne tum janti nahi woh unki ladli hai"
Dono ab apne kamre mai majood thy... Tabbasum samne bed pe bethi.. Khud ko thand karna chah rahi thi... Aur Dilawar usse pani ka class dete samjha raha tha...

"phir samjha dy apni beti ko ke mat bohy beech nafrat ka... Tabah o barbad ho jaye gi"

"aesa nahi kehte Tabbasum.. Aulad hai humari "

"Aesi aulad... Dilawar agar mujhe pata huta humari Alisha aesi hogi tou ussi lamhe iska gaal ghot deti"

"shhh- hosla rakho Tabbasum! Isse bhi khuda ki taraf se imtihaan samjho aur janti hona imtihaan mai sabr se kaam lena huta hai"

"nahi kar paon gi bardash Alisha ko aese raste pe jaty huwe"
Woh ab ba-mushkil apne aksh ruk payi thi

"bardash rakho humari beti aesi nahi banne gi"

"ban chuki hai Dilawar ap samjh kyu nahi rahe"
Woh bebas si boli...

"ap samjhein Tabbasum, nahi bani abhi woh aesi... Bhut jald in Sha Allah woh badal jaye gi... Bhut jld humari sari shikayatein woh dur kar degi"

"ap usse umeed lagaye bethy hain"
Woh heratzada thi...

"Nahi- mai tou Sirf Allah pak se umeed laga betha hun! Woh zaroor ek din humari beti ki ankho se nafrat ki patti utar dega... Ap hosla rakhe.... Sabar banaye rakhe"
Dilawar pur-umeed huwe muskuraya tha sath hi kuchh pur-umeedi Tabassum bhi jagaye muskurai thi...

21st-March-2023

●How was Chapter?
Hope so you guys enjoyed it!
Will meet soon In Sha Allah
Till than Take care of yourself ❣️

Seguir leyendo

También te gustarán

28K 1.9K 32
Bani doesn't spare a glance further and starts running away in another direction. She didn't even know where she was going but she just wanted to dis...
3.7M 153K 61
The story of Abeer Singh Rathore and Chandni Sharma continue.............. when Destiny bond two strangers in holy bond accidentally ❣️ Cover credit...
1.2M 15.7K 52
NOT EDITED YET Gracie Owen's a headstrong journalist major rooms with her childhood best friend JJ Anderson for junior year, little does she know she...
3.7K 311 43
**𝐓𝐡𝐞 𝐛𝐨𝐨𝐤 𝐨𝐟 𝐦𝐲𝐬𝐭𝐞𝐫𝐲* '𝕴 𝖜𝖎𝖑𝖑 𝖐𝖎𝖑𝖑 𝖆𝖑𝖑 𝖔𝖋 𝖙𝖍𝖊𝖒 𝖂𝖍𝖆𝖙 𝖉𝖔𝖊𝖘 𝖍𝖊 𝖜𝖆𝖓𝖙 𝕴 𝖉𝖔𝖓'𝖙 𝖈𝖆𝖗𝖊 𝖆𝖇𝖔𝖚𝖙 𝖒...