Kamini ©

61 1 0
                                    

~H.Nasir~

Meyn kamina tha to wo bhe koi kam nahin thi, hamesha kisi na kisi mauqey ki talash mey rehti. Maana piar karna uski nature mey tha, aise jaise janam ghutti mey usey kisi ne piar he karna sikhaya, magar sath he wo shararti bhe bohat thi. Ek dafa najanay kahan se parh ayi k human taste buds detect spices and salts a bit later than sweets, bus ji rasoi mey aa k experiment karne lag gayin or pehla specimen humeyn chakhaya, wo suji ka halwa dekhne mey laal laal khubsurat or khushbudaar itna k raha na gaya, dusrey he chamach pe hum apna gala pakar k beth gaye or wo kamini apni khankhanati awaaz mey hansne lagi or pani ka glass mere hath mey thamate huey boli,"Kiun Mister, tum to bara BE A MAN ka paat parhatey they, khud ki sari mardangi nikal gayi" ...uske baad zindagi bhar usne suji ka halwa na banaya, wo aisi he thi, jis chez se mujhe ek dafa taqleef hoti, wo cheez meri zindagi se nikaal phenkti !!!!

~H.Nasir~ ©

Hai finito le parti pubblicate.

⏰ Ultimo aggiornamento: Mar 11, 2012 ⏰

Aggiungi questa storia alla tua Biblioteca per ricevere una notifica quando verrà pubblicata la prossima parte!

Kamini ©Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora