Reet...

38 6 8
                                    

Is haath le, us haath de

Ek wakt tha jab ye shabd yuhi mazak me kaha karte the..

Chhoti chhoti chizo ke liye, jin chizo ka aaj koi mol nahi.

Usse judi yaadein chaahe bemol ho,

Kabhi chaaha na tha aisa mahol ho.

Aaj bhi ye shabd kehte he, lekin sanjida andaaz hota he.

Har muskaan ke pichhe chhupa koi raaz hota he.

Aaj bhi chize chhoti chhoti hi he, lekin unke daam rishto se chukaye jaate.

Pehle behisaab zindagi jeete the, andaaz humara bebaak tha.

Aaj har muskurahat ka hisaab dena zaruri he,

Shayad yahi zimmedaari ka ehsaas tha,

Har baar bawa samjhaate or hum unsuna jise kar dete.

Shayad ye wahi anjaam tha.

Is haath le, us haath de.

Ye koi mazak nahi ye to zindagi ka ikhtitam tha....

Ikhtitam - conclusion

AARZOO/DESIRESOpowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz