H.M. – aur phir jab hum yahaan aaye to Anubhav sir ko Head Quarter mein goli lagi ......

A.S. – aur jab aapne hume date par bheja tha ... tab Haseena ji ko goli lagte – lagte bachi...

H.M. – aur aaj aapke upar achanak se...

Karishma was looking at them silently but she moved to them angrily

K.S. – itna sab ho gaya aur aap log hume ab bata rahe hain... (looking directly into their eyes)

Anuseena – hum...(nervously )

K.S. – ek shabd aur nahi bolenge aap dono...

They looked at each other helplessly

K.S. – iska matlab aap dono ek dusre se pyaar nahi karte ....

They nodded in no

K.S. – ama chote bacche nahi hain aap dono jo is tarah se dar ke maare mundi hila rahe hain maar nahi daalenge kisi ko .... Dhang se boliye ... (angrily)

Anuseena – n..na..nahi....

K.S. – Madam sir... (she looked in her eyes)

H.M. – nahi karte hain inse pyaar...

K.S. – Anu bhaiya ... (She looked in his eyes)

A.S. – n..nahi karte hain hum bhi inse pyaar...

K.S. – hume jo jawab chahiye tha wo mil gaya ... ap aap dono ko jo karna hai wo kariye ... aur hum sab dhyaan rakhenge ki Genda ab jail se bhaag chuki hai ... haina Pushpa ji ... Cheeta aur Santu ...

P.S. – Ji...

Cheetosh – yes Madam ...

K.S. – chaliye ... sab apne kaam par lagiye ... Jai Hind Madam sir... Jai Hind sir...

Anuseena entered in Haseena's Cabin , she closed the door and window and curtains too lekin unhe thodi na pata hai ki darwaze ke pass waala curtain acche se band nahi hua hai aur wahaan se sab clear dikh raha hai ... ab you know ki kon dekh raha hai ...

H.M. – kya tha ye sab .... (confusingly)

A.S. – hume nahi pata ... ye sab achanak se aise ... (confusingly)

H.M. – kya ho gaya Karishma Singh ko .... (confusingly)

A.S. – kaisa sach... aur wo humari aankhon mein kyun dekh rahi thi ... (confusingly)

H.M. – (chuckled) uhne laga ki hum bhale hi jhooth bol rahe ho lekin humari aankhein kabhi jhooth nahi bolengi ...

A.S. – kya lagta hai... kya jawab mila hoga unhe ... (teasingly)

H.M. – hume kya pata ... hume aankhein padhni thodi na aata hai ... (innocently)

A.S. – (smiled) ye baat humse accha kon jaan sakta hai ki aapko aankhein padhna aata hai ya nahi ...

H.M. – agar hum bhi aapke liye yahi baat bolein to.

A.S. – to bol dijiye ... kisne roka hai ...

H.M. – wahi to baat hai na ... kisi ne roka nahi ... rok lete to accha hota... (flirtatiously)

A.S. – agar hum bhi yahi bolein to ... (raised his eyebrows)

H.M. – (irritated) to boliye , kisi ne roka thodi na hai ... waise bhi hum nahi ladna chahte aapse aur ... humara sar dard ho raha hai ....

She sat on her chair turned it and closed her eyes

A.S. – hum daba dein aapka sir... (polietly)

H.M. – nahi...

He came to her and started massaging her scalp

H.M. – rehne dijiye ... hum on-duty hain ...

A.S. – lekin hum to off-duty hain na ...

H.M. – itni khatirdaari kyun ki jaa rahi hai humari

A.S. – bas aise hi ...

H.M. – bataiye to .. itna pyaar kaise aa gaya hum par ...

A.S. – kyunki ... humne pyaar kiya tha na ..... isliye pyaar to aana hi tha... nahi kiya hota to alag baat thi ...

H.M. – hmm..

A.S. – ab aap theek hain ...

H.M. – hmm...

A.S. – (smiled) hum chalte hain ...

He turned to leave but she held his hand ...

H.M. – itna hi pyaar karte hain to kyun jaa rahe hain ...

A.S. – kyunki jaana padega ...

H.M. – aapka ek mission khatam nahi hota ki ek aur mission start ...

A.S. – yahi to zindagi hai na humari ...

H.M. – to phir hum kon hain ...

A.S. – aap humari jaan hain ...

H.M. – jhooth ... jhoothe kahin ke ... (cutely)

He chuckled at her cuteness

A.S. – ab hum chalte hain .... Jaayein ...

She cutely nodded in no ...

A.S. – sach mein .. (flirtatiously )

H.M. – (blushing) aa... aap jaaiye na Anu...

A.S. – (chuckled) chalte hain ...

He left the cabin

Haseena got up and took a file from the cupboard when she noticed ...

H.M. – ye hum kaise bhul gaye... pata nahi ye kaise khula reh gaya ... (yes , curtains ki baat chal rahi hai ) agar kisine ...kisi ne kya Pushpa ji... kahin .... Kya ho gaya humse...

.

.

.

.

sorry... phirse chote se break par chali gayi thi.... 

Reunion (Continuation)Onde histórias criam vida. Descubra agora