🆘 3

115 12 1
                                    

Toh thik hai phir mujhe kuchh comments mile hai jinhone kaha ki mujhe apni story continue rakhni chahiye.

Maine bhi yahi socha ki chalo continue kar hi do Aaj nahi to kal achchha response milega hi,

Vaise bhi mai social media se jyada tar dur hi raheti hoon,
Aur kisi bhi social media platforms par apni story ka pramotion nahi Kiya.

Aur nahi apne kisi dost ya relative ko apni story ke baare mein bataya.

Shayad isiliye votes, comments, followers ki kami hai.

Par koi nahi mujhe Khushi hai ki mera Wattpad parivar jitna bhi hai.
Sachcha aur samajhdar hai.

Jo maddam sir the team ki aur writer ki mehnat ki kadr janta hai.

Aur mujhe ummid hai ki aage iss parivar mein sadasya badhte hi jayenge aur apne pyar aur support se Maddam sir the team ko ranking mein upar Tak le jayenge.

Aur aakhir main aap sabhi viewers ka shukriya,
jinhone apna kimti waqt iss story ko diya aur saath hi apne vote dekar writer ka hausla badhaya.

Toh jari hai aap sabhi ke liye story ka agla part

...........................................................

Let's start.....

Plan ke according MEERA-G apaharan kartaon se sach ugalwane ki koshish karti hai.

Mg: (masoom pidhita bankar)  kyon bandi banaya hai hum sabko kya bigada hai hum logo ne aapka.
Kya milega tumhe hum masoomon ko itna dard dekar itna sata kar..

(Yahan hum apaharan karta ke liye AK use karenge)

AK: sukoon......
(shaitaani hasi ke sath)
Hahahaha.........
Bahot maza aata hai Hume jab tum jaise kamzor log hamare samne ghutno ke bal baithe gidhgidhate ho..
Bahot sukoon milta hai hamare Dil ko jab tum log maut ko apne samne dekh zindagi ki bhik mangte ho......!
Tumhari do kaudi ki police jo garv se wardi pahanke seena tane chalti hai na use apne samne ghutno ke bal baithe dekhna chahte hai hum.
Un deshbhakton ko unki aukat dikhana chahte hai hum apne takat se unhe jhukana chahte hai hum.

(Ye sab sunkar sabhi ka khun khaul Gaya)

Ks: inki mayya ki sasu mayya ek baar humare samne aane do dikhate hai wardi ka takat inko...

(Tabhi unhe RT ki aawaz aayi)

RT: tum kya jano wardi ki takat ko
Tum kya jano ek sachche deshbhakt ka apne desh ke liye pyar aur samman ko.

Tum kya jano ek sipahi ke junoon ko uska apne kartavya ke prati apne samarpan ko.

Ek wardi wale ko uski aukat dikhane ke liye bhaisahab tumme utni aukat honi chahiye.

Jis waqt ek sipahi apne tan pe wardi pahanta hai na usi waqt wo apne aap ko apne desh ke liye samarpit kardeta hai.

aur apne deshvasiyo ke sewa aur unki raksha ke liye jee Jaan Laga deta hai.

Jab-jab tum jaise darinde desh ko nuksaan pahunchane aate ho tab-tab desh ke rakshak wardi pahan unka sarvanash karne samne aa jate hai.

Wo apne farz ke khatir apni Jaan  bhi de sakte hai.

Kya tum apne kartavya ke prati imandar ho
Kya tum bhi apne farz ke khatir Jaan de sakte ho?

(AK gussa ho gaya aur apni gun load kar RT ke peshani par rakhta hai)

AK: bass bahot ho gaya Tera bhashan.

Upar Wale ko yaad kar kyon ki ab tera time khatam ho gaya.

Hm: Mg rokiye use.....

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 19 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

MADDAM SIR  THE TEAMWhere stories live. Discover now