The truth

217 11 7
                                    

Hello! Here's the next part.

Ritik- I am sorry shivanya

Shivanya- kyu.

Ritik- tumhe meri vajah yaha aana pada na ... lekin I promise jaise hi mujhe mere papa ke khilaaf saboot mil jaayenge tab hum teeno apne ghar vapas chale jaayenge.

Shivanya- saboot ??? Kaise saboot.

Ritik- papa hamari chawl ko puri tarah se to ke vaha apna dream project banane vaale he... ushi ke khilaaf saboot chahiye the.

Shivanya was devastated.

Shivanya- ye sab tumhe kaise pata

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Shivanya- ye sab tumhe kaise pata.

Ritik- uss din haldi kumkum ke function vaale din jab mujhe phone aaya tha... vo call khatam karke me vapas hi aa raha tha ki.....

Flashback starts

Ritik-(on phone call) ji Sharma ji... agle mahine aapki aapki beti ki shaadi ke photoshoot ke liye me aur meri team aa jaayenge... aap fikar mat kijiye.

He cuts the call and heads towards their house.
Suddenly he heard his father's voice.

Ankush- dekho... agle teen mahine me ye chawl saaf ho jaanti chahiye... mere dream project ke liye jaisi jagah mujhe chahiye thi vo mil gai he.

Manager- ji sir ... jitna jaldi ho sakta ye jagah me khaali karva dunga.

Ritik came there.

Ritik- rukiye ... me aapko aisa kuch nahi karne dunga ...mere hote hue iss chawl ka aur yaha ke logo ka me ek baal bhi baaka nahi hone dunga.

Ankush was shocked to see him.

Manager- teri aukaat hi kya he humare sir ke saamne... chal nikal yaha se aur kisi ke aage apna mu khola na to jaan se jaayega ... samjha... chal nikal.

Ankush- chup ... ekdam chup... tameez se baat kar ... beta he vo mera ...

Ritik- dubara mujhe kabhi apna beta mat kehena... me apka beta nahi hu ... mera parivaar yaha he me in logo ka beta hu aapka nahi.

Ankush- thik he... mera beta nahi he ... lekin inn ka to he na ... aur agar inn logo ko in inke ghar ko safe dekhna chahta he to chal mere saath ghar...

Ritik- sochna bhi mat ... me kabhi uss narak me vapas nahi jaunga...

Ankush- thik he ... manager sahab... abh teen mahine baad nahi teen din baad hi yaha tractor aayega ...

Manager- sir lekin teen din me yaha ke logo ko kaise manayenge.

Ankush- agar maan gaye to acha he... nahi maane to ghar ke saath saath uss me rehene vaale logo ko bhi kuchal dena.

Ritik- nahi please aisa mat karna...

Ankush- to bol aayega naa mere saath ghar ... aur has sirf aana nahi he... humare family business ko join bhi karna hoga...

Ritik was confused...

Ankush- jyaada time nahi he tere paas

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ankush- jyaada time nahi he tere paas ... jaldi bol

Ritik- haa! Haa me aaunga

Flashback ends.

Ritik- uss ankush Raheja ko laga ki me itni jaldi usske aage ghutne tek dunga... kabhi nahi ... usse lagta he ki me bhi uske tarah business karunga... lekin business to sirf bahana he ... me to saboot ikhata karunga ... aur vo sab police me de dunga... fir hamari chawl bhi bach jaayegi aur issi hi bohot saari jagah jispe vo apne project bana chuka he ya banane vaala he vo bhi bach jaayenge.

Tears came from shivanya's eyes.

Shivanya- tumne mujhe kuch bataya kyu nahi...

Ritik- tumhe bata ke tumhe pareshaan nahi karna tha na ...

Shivanya- aur khud pareshan hote rahe... jao mujhe tumse baat nahi karni...

Ritik- arre tum to naraz ho gai... sorry.

Shivanya hugged ritik tightly.
Ritik fell asleep.
Shivanya carefully made him sleep on the bed.

Shivanya- abh tum akele nahi ho ritik ... me bhi tumhare saath hu... abh chaahe kuch bhi ho jaaye hum uss ankush Raheja ka asli chehera sabke saamne laayenge.

In the morning.

Ritik woke up.
Shivanya came with a glass of lemonade.

Ritik- mera sar.. aaaahh

Shivanya- aaraam se ... Yelo nimbu paani piyo... sar dard thik ho jaayega.

Ritik- me yaha kaise ... me to neeche tha... vo ... mujhe kuch yaad nahi aa raha.

Shivanya- tumhare bhai ki meherbani he sab... sharaab ke nashe me dhutt karke bheja tha tumhe...

Ritik- unhone to mujhe kaha tha ki vo soft drink he ...

Shivanya- aur tumne maan liya ... kher chodo... abh jaldi se ye nimbu paani piyo aur jaldi jaldi thik ho jao... tumhare papa ki sachai bhi to sabke samne laani he.

Ritik looked at her in shock.

Shivanya- aise aakhe faad faad ke mat dekho... tumne nashe me kal mujhe sab bata diya he... kamse kam ek to dhang ka kaam hua.

Ritik- shivanya... please tum iss sab me involve mat hona me nahi chahta ki tumpe ya ruhi pe koi bhi musibat aaye please ...

Shivanya- aur me sab kuch jaante bujte hue bhi tumhe musibat me padne du...

Ritik- shivanya meri baat samjho ... agar tumhe kuch ho gaya to me jii nahi paunga.

Shivanya- aur agar tumhe kuch ho gaya to me mar jaungi.... tum meri baat samjho abh tak mujhe kuch nahi pata tha ... lekin abh me tumhare har kadam me tumhare saath chalungi... hum ek dusre kaa sahara banenge...
Apni puri jaan laga denge lekin... humari chawl ko kuch nahi hone denge.

Ritik- thank you shivanya... iss vakt agar mujhe kisi ki sabse jyaada jarurat thi to vo tumhari... jab bhi umeed ki koi kiran nahi dikhti na ... to humesha tum mere liye umeedo bhara pitara le aati ho...

Shivanya smiled

Shivanya- abh hum saath he ... abh koi bhi ladai jeet sakte he.
Abh tum batao aage kya karna he.

Ritik Tells the plan to shivanya.

Ritik- samjhi??

Shivanya- yes sir!

They both smiled.

So that's it
Hope you like it
Please comment and vote
Next episode spoiler- THE DRAMA
Stay tuned
Thank you
❤️😄

Rivanya forever Where stories live. Discover now