Zindagi ,Ahsasat Aur Main

5 2 0
                                    

Chapter 2 :Zindagi aur dost
Part 1
Written by :Irha Afi

Dost ,Dosti ki tareef zindagi main har kisi ka pass apni haii.
Maina jo dhonda dost ka matlab to Ahsaas paya ! 6 saal ki umair sa lakar zindagi na dost ka bohat sa rang dekhaiye . Jo rang maira dill ki zameen pa dafan hogayah wo ak Hi tha . jisne mujha nahiii chora magar maina usa choor diya .

Dosti mujha ak ahsaas lagta haii jo bohat kubsurat hota haii hamari zindagi main bohat sa dost hota hain, magar kuch ase dost hota hain jin ka liya app kuch bhiii karna ko tairr hojata ho. Dostii ak asa rishta haiii jo app ko kabhiii bhiii totna nahiii data agr app toot bhiii joa to wo app ko samatna ki pori koshis karta haiii .

Dost wo hota haii jo chahrey  pa aye hoye muskaraht aur ankhon main chupa hoa ansoian ki qimit janta hai.

Jo app ki wo baat bhiii samjh jata haii jo zuban pa aye na ho aur ankhon sa keh rhy ho .

Main apni Zindagi main 2 kism ka doston sa wabasta hoon . Ak wo jo 12 mahinay bahar ka mossam ki tarhn khila ,to ak wo jo sirf thandi hawa ka jhonka ban kar dill ko raiza raiza kar gayah .

Banjar dill ki zameen main hamesha sa ak Ahsas the ! Ka zindagi main koye ak aiasa zaror aye ga jo agar kuch samjh bhiii nah payah to mairi sunna walla zaror hoga . Magar wo ak Ahsas wo ak umeed bhiii mitt gaye jab kisi ne naraz hona ka haq bhiii waqte toor ka liya door kardiya .
Andhera kamra main jahan nah mout aur nah hiii koye zindagi the wahn mairii rooh na ak hii sawal kucd sa
hazaroon baar pocha. AK hiii sawal laboon sa mahino ka liya nahiii gayah . Galib dost kyun dost ki narazege kuch ghantain bhiii nah sah saka ?

Mairi Aziz ,Hamesha khete the jab dost ko iss chzez ka yaqeen ho ka dost mana laiga to uska yaqeen ko barkaraa rekhana kabhiii raiza maat hona daina .

Maina ,Zindagi jitni bhiii guzari haii har din kucd ko shesha ka tota hoa kanch ki tarhan payah haii .Beigair kisi sa jawab -e-Shikwa kya .

Jiss din rooh na shikwa kya to dost dosti ko thokra kar chala gaye .


Akhir main jo bacha unka motabaq wo maira garor,maira taqaboor,mairi munafqat,mari maffi ki qaboliat the.

Magar ,Asal main Akhir main maira pass har din ki tarahn ak sukha paitoon ki tarahn, rait ki manid bekhairi hoye rooh the .

Jo apna dukh ki tapish sa panah chate the ,haii,aur chate rahye ge .

Aisa ,nahii haii ka koyee kabhiii tha hi nahii .

Aisa,bhiii nahiii haii koye tha.

Jo tha ,Jahan tak tha kucd sa zayda qimiti tha.

Dukh tab hoa ,Rooh kucd sa juda tab hoye jab kisi ne suna bhiii chordiya .

Maira ,Ansuon ko sambhala unho na ,magar tab tak jab tak wo sah sakay .


Maira ,Andar ka taufan har rooz andar hii dafan hota raha jab unhon na kaha hum maffi mang ka thak gaye .

Kyun ,Akhir wo kabhiii samjh hi nah sakay .


Baat Maffi ki thee hiii nahii !!

Maira motabaq maafi doston ka darmayan mayeni nahiii rekhtii . Ak dost jiss ko app dill sa chata ho app usko maafi mang ka kahridna kyun chata ho ? Yeh kyun kheta ho ka humna maffi mang li ahga tumhari marzi ? Kyun ?

Paya jab maina iska jawab to ak hii payah .Maffi bhiii aj kal ka dost apna app ko doston sa jurna ka liya mangtain  haii . Yahn bhii wo mayeni nahiii rekhta bulka uska apna sakoon mayeni rekhta haii .

Maffi mangana ghalat nahiii haii . Maffi maira liya zindagi ka sub sa kubsurat ahsas haii magar uss mafii ko yun istamel karna kucd ka liya kyun !

Hamesha yaad rakhin Ak dost sa dosti tab tak qayem rehti haii jab app uski bhiii suna chahain jiss din app ka rishtoon main sirf app hoon gain uss din har rishta ragistan ka barabar reh jaya ga .

Rishtoon ko torna nahiii jorna chahiye magar sirf tab tak jab uss rishta main apnaiyet ho .

Jissdin apnaiyet khatam hojaye to uss pa Fatiha parh lain kyun ka wo zard khana ka barabr hojata haii .

Written by : Irha Afi

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Aug 10, 2021 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Zindagi ,Ahsasat Aur Mian.Where stories live. Discover now