is the end of the story?

Magsimula sa umpisa
                                    

Av: thik hai main abhi aata hu.

And he disconnected the call.
And says to hs.

Av: hume jaldi se xyz hospital pahuchna hoga HASEENA ji krish ki halt bohot hi critical hai.

And then Amarina reaches xyz Hospital with the children.

At hospital

In ICU

Hasina is sitting on the bed with Krish's head in her lap and says to kk.

Hs: krish I'm Sorry, I'm sorry, I'm sorry krish....krish. (while crying)

Kk looks at hs and says to her.

Kk: mat roiye aapne kuchh galt nhi Kiya aur sorry toh mujhe bolna chahiye.

Hs: krish...krish hum abhi bohot acchhe Dr ko bulate hai don't give up.... don't give up hum abhi bulate hain.
(With TEARY eyes)

Then Krish wipes Haseena's tears and says.

Kk: bohot....bohot late ho gayi.
Aapke saath bitaye lamhon ko saath lekar meri jindagi ke sabse khubsurat pal....(tears come in his eyes)

Hs: nhi aapko kuchh nhi hoga krish...PLZ aapko kuchh nhi hoga krish.

Then Krish takes Hasina's hand and says.

Kk: jane se pahle main aapko sach batana chahta hu.
Maine dusari shaadi nhi ki aur na hi aapke alawa kisi aur ke baare mein apne man mein khayal tak aane Diya.
Sirf shaadi ke baad hi nhi shaadi ke pahle bhi aisa kuchh nhi tha.
Meri life ki pahli aur aakhiri mohabbat sirf aap hi thi meri HASEENA ji.
I know bohot se ladke har ladki se yahi kahte hain you are my first and last love.
But maine iss baat ko sach mein apni life mein apply Kiya hai aur Puri jindagi mein mujhe isi baat ki khushi hai ki maine aapse pyaar Kiya.
Aur mujhe batate huye ye bohot khushi ho rahi hai ki meri life mein meri maa behan aur aapko chhodkar sirf ek hi ladki hai aur wo hai shivani jo ki meri bestfriend hai aur agar iske baad koi aur ladki hoti toh wo humari beti hoti mere life mein hasee...na ji.(With smile)

Hearing this, Hasina starts crying and tells Krish.

Hs: krish pls aapko kuchh nhi hoga krish.

Kk to hs: main Shayar toh nhi hu lekin aapko do line sunna chahta hu. Sunau.

And hs nods her head in yes and kk says.

Kk: jin aakhon ke Noor se.....
Roshan hai ye Safar.....
Wo gahri si aakhe aaj....
Nam to nahi.....
Umar bhar tarsa Tera ye hamdam.
Sahme rahte hai hum....
Kahi ye aakhri toh nhi dam.....

Hs (shockingly): krish ye lines humne kbhi nhi suna.

Kk: kyonki ye maine apne Dil se likha hai haseena ji.
Maine apni Puri jindagi mein aapke alawa kisi se pyaar nhi Kiya.
Aur meri khushkismati toh dekhiye aapke bahon mein dam tod raha hu.

And he kissed hs' hand.
And then he places Haseena's hand on his heart and says.

Kk: maine aapke saath bohot galt kiya haseena ji please mujhe maaf kar dijiye please kah dijiye aap mujhse nafrat toh nhi karti.

Destiny Love Tahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon