Jon Elia ki collection

Start from the beginning
                                    

"Achaaaawwwww" kaafi lamba "acha" nikla tha Azhan kaa.

Muzakrat kamiyaab theh're the aur dono parties mai bahami guftugu ke baad taalluqaat istawar hogaye the.
Agar galti maa'n li jaye aur us pr maafi maang li jaaye to bohot se taalluqaat Galat fehmi aur narazgi ki bheent charhne se Bach jate hain..

Azlan bed uthne Laga tha ke achanak Kuch yaad aane pr baith gaya aur kaha..

"Hazrat agar bura na lage to batana pasand krainge ke chehra Mubarak pichle aik hafte se latka hua kion hai..?" Azlan ne poocha.

"Yaar Azlan main Kiya bataun main bohot buri tarha phass gaya Hun"

"Kion bhaee Kiya hogaya zara pata to chale".

"Yaar vo Dua Fatimaa...."

"Kia hua usko?"

"Uska nikkah horaha hai Azlan Kuch karo naa"  usne Azlan ko is qadar umeed se dekha jese buss abhi Azlan jaaega aur uski Zindagi ka hath use thama dega..

"To uske rishta hone se aapko Kiya masla hai, acha hai na behen apne Ghar ki horahi hai" Azlan ne uski dukhti rug par pair rakha to vo bilbila utha..

"Azlan main Teri shakal bighar dunga.
Itna maasoom TU hai nahi jitna banta hai smjhaa"

"Hahhahahhahahaha doctor Sahab phanss gaye to Bhai ki yaad aagayi wahhhh"

"Tum agar mera masla solve nahi kar skte to Dil bhi na jalao, apni shakal gum karo"

"Beta main Dil nahi Jala Raha haqeeqat Bata Raha Hun, pehle to taar'te rehte the usko. Pehle karte na Kuch ab to Pani guzar gaya sar ke uper se. Apki Dua ko kisi aur ne duaon  main maang lia" Azlan ne haqeeqat btai.

"Vese agar aap waqt par Kuch krlete to aap Halal tareeqe se usko taar'h sakte the, ab Kiya pachtana jab Pani sar se guzar Kiya" Ye kehne ke forun Baad Azlan wahan se uth khara hua,

Pata tha bum fit krdiya hai ab ye lazmi blast hoga.
Azhan usko ghoor Raha tha aur vo room se Bahar jaa Raha tha ke murr kr kaha.

"Bhaijan...."

"Hmm..?"

"Mere pas Jon Elia ki behtareen collection mojood hai; Kaho to bhaij dun kaam aa sakti hai"..

"Azlan ke bachche" Azhan ka hath uske slipper pr gaya aur utha kr darwaze ki taraf phainka magar Azlan Sahab us se pehle hi gayab ho chuke the...


*******************

"Jee bhai taqreeban sari tayari hogai hai. Allah ka karam hai bachon ne kafi mehnat ki hai. Muhammad Azlan ne bhi apne bhai hone ka farz nibhaya hai. Mere kitne kaam to isi ne kiye hain" 

Wo sab log is waqt Kazmi house ke drawing room main bethe they. Aina sahiba Ibrahim sahab ke hamra Dua ke nikkah ki dawat dene apni behen Rozina sahiba ke ghar aye thi'n.

Aik sofe par Ibrahim sahab, unke dai'n janib Moosa sahab brajaman they. Jab ke chote sofe par Muhmmad Azhan aur Muhammad Azlan ke beech main Roha mojood thi'n. Unke samne Dono behene apni baaton main masroof thi'n jab Moosa sahab ne Aina beghum se Nikkah ki tayari ke mutaliq poocha to unhone tafseeli jawab dia. Akhir main pyar bhari nazron se Muhammad Azlan ko dekha jis par us ne ehtraman apna sar jhuka liya.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 06 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now