Chapter 63

324 65 15
                                    

Bela ke Papa aur Taya ji ghar aa jate hain!!!
Unke chehre utare huye the!!!
Bela ki maa - kya kaha unhone??

Bela ke papa - talaak hoga, par tum Bela ko kuch mat batana!!

Bela ki maa ko dhakka sa lagta hai, par vo ab kya hi bole?? Yeh sab ussi ki wajah se toh huya..
Usne baat ko aage bataya... aur ek hi din mein qayamat ho gyi!!!

Bela bhi wahan aa jati hai "main wapis Mahir ke paas jaa rahi hoon, ab aap log aa gye hain... toh Maa ko bol do ke vo mujhe naa roke!!"

Bela ke taya g gusse mein "tu chup karke andar jaah kudiye, sab tera kiya karaya hai!!
Kaha tha na maine... mat bhejo ladki ko Dilli!!!
Ab dekh lo.. iske rang!!!
Ujaad ditta na sab kuch???
Bhugto!!!!!"
Aur vo uth kar apne ghar chale jate hain!!!

Bela hairaani se unko dekhti hai "kya huya??"

Papa - iska phone cheeno isse!!! Aur andar baitha do!!!

Bela ki maa theek vaisa hi karti hai.. aur Bela ko kuch samjh nahi aa raha tha ke yeh kya ho raha hai aur kyu???

Bela ke papa - tumse ek baat kahi thi, ke meri pagg ki laaj rakh li...
Aur tune wahi mitti mein rol di!!!

Bela ko yeh sun kar zor ka jhatka lagta hai.. ke usne kya kar diya.?? Apne baap ki izzat ki khatir toh shaadi ki thi... aur ab yeh aisa bol rahe hain??? Kyu??? Ho kya gya?? Vo ab Mahir se bhi kaise pooche???
Phone uski maa ke paas hai!!!
Aur ab nahi milega!!!

Bela ki maa phone ko almari mein rakhne hi lagti hai ke tabhi kisi ka call aa jata hai..
Bela ki maa bina dekhe, aur soche.. phone utha leti hai!!
• Hello....

• Bela???

• • Bela???

Rất tiếc! Hình ảnh này không tuân theo hướng dẫn nội dung. Để tiếp tục đăng tải, vui lòng xóa hoặc tải lên một hình ảnh khác.


• Hnji... tusi kaun???

• Main Raghu!!!

• Raghu kaun???

• Mujhe bhool gyi... itni jaldi?? Jisko tum college se pasand karti ho vo raghu!!! Jo tumahare liye kuch bhi kar sakta hai vo raghu!!!

• Oh.....oh.... main....ummmm

• Call disconnected

Bela ki Maa uske papa ke paas jakar yeh baat bta deti hai..
Bela ke preshaan hote huye "samjh nahi aa rahi ke yeh sab ho kya raha hai?? Bela se mujhe aisi umeed nahi thi.. ab kya karoon??"

Bela ki maa - vo toh abhi nahi pta, par kya talaak sahi faisla hai??
Log kya kahenge?? Ke ek hi saal mein ladki ka talaak ho gya??
Phir bell se kaun karega shadi?? Sab log issi mein kami nikaalenge??
Aap ne bhai saab ki baaton mein aakar zyada hi bda faisla nahi le liya?? Mtlb uski umar hi kya hai??

Bela ke papa - abhi kuch smjh nahi aa raha.. kuch sochne ka waqt do!!
Sir mein boht zor se dard ho raha hai!!!

Mahir ki family toh boht zyada preshaan thi..
Mahir ki Maa - woh log jo keh gye so keh gye.. aap toh kuch sochte!!

Mahir ke papa - kya sochta?? Unki tone dekhi thi tumne??

Maa - kya farak padta hai!!!

Mahir - maa, aap unse baat karo, ke mujhe talaak nahi chahiye

Rất tiếc! Hình ảnh này không tuân theo hướng dẫn nội dung. Để tiếp tục đăng tải, vui lòng xóa hoặc tải lên một hình ảnh khác.

Mahir - maa, aap unse baat karo, ke mujhe talaak nahi chahiye.. mere aur Bela mein sab theek hai...

Mahir ke papa - han tabhi toh woh log aaye??

Mahir - aap meri ek baar Bela se baat karwao.. main sab sort kar doonga!!!

Mahir ke papa - han... aur koi hukum???

Mahir ki Maa - tum chinta mat karo, shaadi mazzak nahi hai.. aise thodi toot jati hai?? Hadd karte hain yeh log toh!!!
Main baat karoongi...

Mahir - han.. Maa aap hi kuch kar sakti hain!!!

Mahir ke papa - kya baat karengi aap??

Mahir ki maa - kar loongi, jo ban pda!!!

Khair aaj ka din issi kashmokash mein nikal jata hai..
Bela ko boht afsos ho raha tha, usse toh exact baat abhi pta hi nahi thi!!!
Ab usse realize ho raha tha ke usne Vish ke sath bhi galat kar diya!!!
Vo aisa kaise kar sakti hai?? Vo itni buri kaise ban sakti hai??

Subah hote hi sab chup-chap apna-apna naashta karke idhar-udhar baithe the..
Bela apne papa ko dekh rahi thi, jo bas gehri chinta mein doobe huye the!!
Shyed ab vo pachtaa rahe the!!
Yahi parinaam hota hai, jab hum bina soche action le lete hain!!
Kabhi bhi gusse mein react nahi karna chahiye!!! Shaanti se baith kar sochna bhi zaroori hai...

Tabhi Mahir apni family ke sath wahan aa jata hai...
Bela ke chehre par badi si smile aa jati hai.. uska mann kar raha tha ke bhaag kar Mahir ko gale laga le... par kaise??
Sabke saamne toh bilkul nahi!!!

Tanhaiyan (Behir)Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ