Ek naya din

1K 3 2
                                    

Ek or wo din bani subah,suraj ki rosni si tani subah,

tinko- tinko ko uthakar,fir se udhi ye nayi subah.

 apne daman me samete phir naya josh,palko ke sapno ko sach karne.

fir se chali ye nayi subah,suraj ki agni se dahakte hue,

sawalo ka jawab dhundti,apne hone ka astitv talasti,

kuch kar gujarne ka hosla liye,fir se ummido ki nayi kiran liye,ye nayi  subah.

chawal ke dane se kankad nikalti,apne jivan ke sawalo ko suljhati nayi subah,

mitree si midi or karele si kadwi,chatni cakhati, ye nayi subah.

 kitna kuch sikha gaye ye nayi subah,apne hone ka ahsas dila gaye ye nayi subah,

apni kuch yado ke sath fir se rula gaye ye nayi subah,jivan ke tane bane se kuch to bana gaye ye nayi subah.

sham ke ankur ki ye pahli thandee hawa,kano ke pas sor karti ja rahi h,

kahi  payare se risto ki yade dila rahi h,gar par har rang se kheli ye nayi subah,

mane khub jili ye naye subah.subah se sham tak ,apne har rang se sikh dati ,ye nayi subah,

ummido par viswas ki udan barti,ye nayi subah,

 apne har pal me pura jahan samete ,ye nayi subah.

kuch to sikha gaye ,aaj ka mukam ,dila gaye ye nayi subah,

emtihan, entjar or kusheeyo se bari ,ye nayi subah,

gam ki barfiyo ko dabbo me band karke,khusiyo ki malai churati,ye nayi subah.

aanko ke jharoko se entjar ki,ye nayi subah,

apne danan me aneko taro si ummid deti,ye nayi subah,

tumhare kadmo me nadi ki god me khaelti,ye nayi subah,

fir se muskurakar ,aane ka wada karti ye nayi subah.

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- i think i am not a good poet but try to be that one,i am still trying so pleas pleas tell me i have that perfaction or not, i wait for your comment and suggetion  on this .Happy reading..............:)

Shubh Aarambh-Ek Sangrah kavitao kaजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें