RAAT🌃

5 3 2
                                    

Raat !
Kya hai ye raat,

* raat woh hai jiske andhere mein kai saare raaz dafan hote hai.

* raat woh hai jo kisi ki tanhai ki, kisi ke gham ki, aur kisi ke khushiyoun ki gawah banti hai

* raat woh hoti hai jisme har koi Samaa jata hai

* Kuch logon ko raat ki khamoshi mein sukoon milta hai , Toh kuch logon ko raat ki khamoshi se dear lagta hai  ,Toh kuch logon ko usse nafrat hoti hai.

* raat sab logon ke liye ek jaisi nahin hoti wo kuch logon ke liye khushiyan laati hai toh kuch ke liye dard.

* raat mein kuch log kabhi kabhar chand sitaroun ko dekh kar khush hojate hai shayad kyu ki woh unhe apne khaas logoun ki yaad dilati hoon jinke baare mein sochne se unke chehre par muskurahat aajati houn

* din mein kai baar insaan Apna dard jhoti muskurahat ke peeche chipa leta hai

* lekin raat ke andhere mein kahan na kahin woh apni saari bhadaas, saara gussa sub kuch nikal deta hai

* kyunki shayad usse lagta ho ki raat  kuch logoun ki tarah usse judge nahin karegi aur sirf uski Baatein sunnegi

* shayad isliye kuch log raat ko Apna dost maante hai

* lekin raat kabhi kabar sirf Aapke purane zakhm khuredne ke kaam aati hai kui ki din mein toh aap busy hojate hai lekin raat mein uski khamoshi mein zaroor apko wo yaadien yaad aati hungi jisse aap bhagna chahte hai jisse apne dil aur dimag se mita dena chahte hai lekin hota kuch aur hai wohi yaadein apko kahein na kahein  Umar bhar yaad  rehti hai.

—Chaliye aaj ye part ek shair ke saath khatm karte hain—       

Iss safar mein Neend aisi so gae,
Ham na soe lekin raat thak kar soe gaye

SHAYARI TALESWhere stories live. Discover now