PART 12

1.3K 109 7
                                    

In a restaurant

All were having lunch together having fun.

Abhimanyu- mere paas aap sab ke liye ek good news hai

All are confused while akshara looks at abhimanyu.

Kairav- kaisi good news abhimanyu

Abhimanyu smiles- sabse zyada aap hi khush honge is news se...i bet on that

Kairav confused- main...aisi kya baat hai

Abhimanyu proudly- ye trip khatam hone ke baad akshu birla hospital me music therapist ke liye apply karne wali hai

All are surprised except akshara who gets nervous fearing their reaction especially of kairav.

Kairav shocked- what (looks at akshara) akshu...abhimanyu sach keh raha hai

Akshara scared- sorry bhaiya...maine aapse bina puche hi....

Kairav interrupts- tu pagal hai kya (smiles) ye sochti hai apne bhaiya ke baare me...are bevkoof ladki tere is decision se main kitna khush hu ye main tujhe shabdo me bata hi nahi sakta

Akshara smiles emotionally getting relief. Others too smile except arohi. Abhimanyu admires their bond.

Kairav continues- tu finally apne sapno ki taraf kadam bada rahi hai...main bohot khush hu...kadam bhale hi chota ho par kam se kam tune liya toh sahi...ab dekhna aise chote chote kadam hi tujhe badi badi success denge

Akshara smiles in gratitude.

Kairav- main bas shocked hu ki tune achanak ye faisla le liya...maine tujhse kitni baar pucha tere career ke baare me...tu kabhi kuch batati hi nahi thi mujhe...naa kabhi mere sawal ke jawab diye...fir ye achanak kaise

Akshara smiles- ye sab abhi ki vajah se hua hai bhaiya

It surprises all including abhimanyu as he didn't thought that akshara would tell everyone the truth.

Kairav confused- abhimanyu

Akshara nods- ji bhaiya...kal abhi ne mujhe stage par gaana gaane ke liye motivate kiya tha aur aaj mujhe ye ehsaas karwaya ki jab tak main khud apne kaam ki value nahi karungi...koi aur uski value nahi karega...mujhe apne sapno ki taraf mehnat karni hogi tabhi vo sapne pure honge...abhi ne mujhe ye sikhaya ki apne kaam ki hamesha kadra karni chahiye...fir chahe kaam koi bhi ho (looks at abhimanyu) thankyou abhi...mujhe ehsaas dilane ke liye ki main bhi kuch kar sakti hu...mujhe confidence dene ke liye thankyou

Abhimanyu smiles and nods. He blinks his eyes to assure her that he is always with her. Others smile except arohi.

Kairav smiles- aaj mera vishwas aur pakka ho gaya hai ki abhimanyu akshu ke liye bilkul correct choice hai (looks at abhimanyu) thankyou Abhimanyu...jo baat main akshu ko pichle chaar saal se samjhana chah raha tha vo tumne use chaar din me samjha diya

Abhimanyu- akshu ka har sapna ab mera hai...aap chinta mat kijiye...akshu zaroor success achieve karegi

Neil- i agree...bhabhi vaise hi best hai...i am sure she will rock it

Kairav smiles- i am sure of it too (hesitantly) lekin abhimanyu...tumhe nahi lagta ki akshu ko birla hospital chod kar dusre hospitals me try karna chahiye...i mean sabko aisa na lage ki....

Abhimanyu smiles- main samajh raha hu aap kya keh rahe hai...par trust me birla hospital naukri kaam ke liye deta hai naam ke liye nahi (points to himself) are birla khandaan ke bete tak ko apna talent prove karna pada tha...akshu bhi karegi...don't worry...ham log professionalism jante hai

Kairav- i know...mera bura mat maan na lekin mujhe nahi lagta ki akshu ko birla hospital join karna chahiye...log toh yahi kahenge ki use uske surname ki vajah se job mili hai

Abhimanyu chuckles- log toh tab bhi kahenge jab akshu kisi aur hospital me kaam karegi ki family hospital hote huye bhi ghar ki bahu kahi aur kaam kar rahi hai...aap kaha in logo ke chakkar me pad rahe hai...kuch din bolenge fir apne aap chup ho jayenge...main ye bilkul nahi keh raha ki akshu ki job permanent hai...use apply karna padega...interview dena hoga...agar vo select hoti hai tab use job milegi...ye baat akshu ko clear honi chahiye logo ko nahi...akshu ko pata hai use mehnat karni padegi...vo kaafi hai

Kairav nods- shayad tum sahi keh rahe ho (smiles) anyways main bohot khush hu ki akshu ne finally apne career ki taraf kadam badaya

Vansh smile- aur hame pata hai tu zaroor successful hogi...all the best

Neil- i know bhabhi interview zaroor pass kar legi...bhai kitna maza aayega na...aap main aur bhabhi sath kaam karenge...it will be so much fun

Abhimanyu and akshara smile at neil. Arohi gets angry seeing akshara getting so much attention and support from abhimanyu and now news of akshara joining birla hospital is getting on her nerves.

Vansh- aru bhi toh vahi hogi...tum log toh roz maze karoge

Neil- yes...especially main aur bhabhi...kyoki bhai patients ke sath hi busy honge...main aur bhabhi free time me atleast bore toh nahi honge...arohi tum bhi hame join kar lena

Arohi- no thanks...main bhi patients ke sath hi khush hu

Neil frowns- great chipkali...main aur bhabhi maze karenge

Akshara hi-fi with him. They all have lunch and then were ready to leave to resort.

Abhimanyu- aap sab resort jaiye...mujhe kuch kaam se jana padega

Neil- bhai yaha kya kaam

Abhimanyu- tauji ka call aaya tha...yaha paas me ek hospital hai...vaha ek patient ko check karna hai

Neil whines- kya bhai...aapne yaha bhi patient dhund liya...ham trip par hai...ye kya baat hui

Abhimanyu guilty- i am so sorry...main bhi ye nahi chahta tha par samajh mere bhai...patient ko check karna zaroori hai varna main nahi jata na...is patient ko travel karna allowed nahi hai varna kab ka birla hospital aa jate

Kairav- its ok Abhimanyu...ham samajhte hai lekin tum toh akshu ko bahar le jana chah rahe the na

Abhimanyu looks at akshara- i am really very sorry akshu par tumhe samajhna hoga...mera kaam aisa hai ki mujhe kabhi bhi jana pad sakta hai...even baad me bhi...shayad jab ham akele ho...sath ho...agar meri zaroorat hogi toh mujhe jana padega...mere profession me kisi ki jaan apno ke armaano se kaafi badi hoti hai akshu...i hope u understand

Akshara nods.

Abhimanyu- main aata hu

All nods. Abhimanyu leaves. Kairav side hugs an upset akshara as she really wanted to spend time with abhimanyu. They all leave for resort.

In resort

Akshara was walking in garden when kairav comes there. He joins her. Akshara smiles seeing him.

Kairav smiles- bura laga jab abhimanyu ne tujhse zyada apne kaam ko importance di

Akshara smiles sadly- nahi bhaiya...main samajhti hu abhi ki baat ko...uske kaam ko...vo logo ki jaan bachane gaya hai...aur kisi apne ko khone ka dard hamse zyada kaun samjhega

Kairav nods- toh fir upset kyo hai tu

Akshara looks in front- upset nahi hu bhaiya bas shayad umeed toot gayi isliye bura lag raha hai

Kairav- ye umeed dobara bhi tootegi akshu

Akshara nods- janti hu bhaiya

Kairav- abhimanyu bohot accha insaan hai...apne kaam ki bohot respect karta hai...dusro ke kaam ki respect karna janta hai...akshu vo kabhi tujhe hurt nahi karega aur naa hi kisi aur ko karne dega...mujhe yakeen hai iska

Akshara smiles- mujhe bhi...abhi sach me bohot accha hai...jis tarah se usne mujhe samjhaya ki main apne kaam ko sideline kar rahi hu aaj tak kabhi kisi ne nahi samjhaya...uski baato se mujhe confidence milta hai bhaiya...aisa lagta hai jaise main bhi apni life me kuch kar sakti hu

Kairav smiles- abhimanyu ke support se tu zaroor success haasil karegi...dekh lena

Akshara smiles.

Kairav- chal ab so ja...hame kal subah jaldi nikalna hai ghar ke liye...chal

Kairav and akshara go to their rooms and sleep.

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEWhere stories live. Discover now