Unveiling The Past

1.2K 141 47
                                    

Continued....

"Yeh kaanch kaise tuta?" HM asked

"Kaise bataye Haseenaji..yaha kisi bhi prashn ka uttar thik se mil raha hain kya.Andar Aiyye aapko kuch dikhate hain."

He took her near a big painting in the other room.
"Yeh toh shayad do logo ki painting hain."

"Inke chahere par torch maariye"

HM turned the flashlight on and aimed it on the faces of the painting and her eyes almost bulged out of its sockets.
It was a huge oil painting of her and Anubhav's,only they were dressed in royal attire.In the picture Anubhav had taken her in his embrace with her head resting on his chest.Both of them had a little smile on their faces.

HM touched her own face seeing the picture then looked at Anubhav.

"Anubhav yeh,kaise?"

"Abb iska jawab sirf Woh Veer Kumar hi de sakte hain."With this he held her hand and they went straight to meet Veer.
———————
Anuseena along with other MPT members were in Veer's room.Anubhav had already showed them the photo of the painting that he had clicked..

"Veer chachaji humlogo ko sach sach bataiye ki yaha kya ho raha hain..Iss painting mein yeh dono kon hain..aur hum dono se inki shakal kaise milti hain"Anubhav asked sternly passing the phone to Veer.
Looking at the picture Veer's face turned pale..his breathing became erratic.Cold sweat covered his face.
"Isiliye tum dono mujhe itne jaane pahechane se lag rahe the.50 saal pahele maine uss kamre mein yeh tasveer dekhi thi.Tum dono uss kamre mein kyun gaye the...mana kiya tha nahi jana hain chouthi manzil par."he shouted angrily followed by heavy coughing.

"Dekhiye Chachaji aap shaant ho jaiye."HM said handing him a glass of water He gulped it down in a go...and after he calmed down a bit HM again spoke...

"Jabse humlog yaha aye hain kuch na kuch ajeeb hota jaa raha hain..pahele uss manil par hum pe hamla..Santu ka Hafsa ko dekhna aur phir yeh painting hum dono ki shakal k do log...aap please bataiyye." Veer remained silent.

"Dekhiye Chachaji hum itna toh jante hain jo kuch bhi ho raha hain woh sirf ek mahez ittefak nahi hain...humein pichhle ek mahine se kuch sapne aarahe hain kuch ghatnaye jo hume tukdo mein dikh rahe the..aur apne sapne mein humne iss mahel ko kahi baar dekha hain."

"Aur yaha aane k baad woh sapne aur bhi zyada sach lagne lage hain aur uss mein mojud uss purush aur stree ka chahera bhi ab saaf dikhne laga hain..aisa hi hua hain na Haseenaji?(HM nodded, surprised at how he knew?!)kyunki humare saath bhi yahi hua hain...humne Humdono ko humare sapne mein dekha hain..hum jante hain aap sab kuch jante hain..abb yeh chuppi todiye aur kripa karke hume sach bataiyye."AS said sternly putting extra effort on the last few words.

"Yeh sab kya ho raha hain KM" Santu whispered in her ears..

"Samajh mein nahi aaraha Santu par jo bhi hain bohot pechida hain aur khatarnak bhi..aur uska sidha sidha sambandh humare Bhaiyya aur Madam sir se hain."

"Thik hain main sab sach bataunga..baitho sab log."

"Iss ghatnakram ki shurwat hui 150 saal pahele..uss waqt yaha k raja the  Badsah Shahbaaz
(I know 150 years back British were ruling over India but for sake of the story donot take that into consideration.)
Bohot nekdil insaan the..unki do betiyaan thi Badi shahezaadi Hafsa aur chhoti shahezaadi Haseena.
Dono baheno ki soorat toh milti hain par seerat itna se bhi nahi..
Shahezaadi Haseena awaam mein sabki ki pyari thi apne swabhav aur nekdili k liye aur yeh baat Hafsa ko bilkul bhi manzoor nahi thi.
Jab shahezaadi Haseena 18 ki hui tab badshah ne faisla liya ki woh apna waris ghoshit karenge jiske liye unhone ek pratiyogita ka ayojan kiya usmein shahezaadi Haseena aur Hafsa k saath unke rishtedaaro k baccho ne bhi hissa liye..har padav ko par karke Haseena us pratiyogita mein uttirn hui.Jaisa ki badshah ki dili khwaish thi Unhone Shahezaadi Haseena ko takht ka asli haqdar ghosit kar diya.

"Hum Badshah Shahebaaz aaj bade hi faqr k saath ailan karte hain ki..iss muqable mein Jeet haasil kar Dhumgadh riyasat k takth par Shahezaadi Haseena ne  apna naam pukhtha kar liya hain.
Bade hi khusi k saath hum yeh ailan karte hain ki humare baad humare iss takth ki saari zimmedari humari bacchi Shahezaadi Haseena ki hogi"

The hall bursted in applauses welcoming their to be ruler.Everyone was happy except Hafsa she was fuming in jealousy..she left the Deewan-e-khaas in anger.NoorJahan begum noticed it and thought to pacify her angry daughter.
—————
Hafsa's room

"Haseena..Haseena..Haseena..jise dekho woh usike tareef mein mashroof hain...hum yaha ki badi Shahezaadi hain par humari koi qadar hi nahi kisiko."A girl shouted.

"Hafsa..shaant ho jaiye aap..apke abbu ne sunliya toh bohot naraz honge."an older lady said.

"Hone dijiye gussa ammijaan,abbu ko bas Haseena hi dikhti hain...jaise hum unki beti nahi"

"Dekhiye Hafsa..Haseena ne har ek imtehaan ko par karke yeh mukaam hasil kiya hain..apke abbu ka faisla sahi hain..aur meri bacchi woh chhoti bahen hain aapki unse jalna yeh sahi baat nahi."Ammi tried to make her elder daughter understand but she was too stubborn.She didn't reply anything just stormed out of the room.

"Ammijaan aapi maan jayengi na?"
NoorJahan begum turned to face her younger daughter Haseena.

"Haseena aap yaha kya kar rahi hain..aapko isswaqt Deewana-e-khaas mein hona chahiye tha."

"Humne aapi ko waha se jaate hue dekha hume laga  woh dukhi hain isiliye hum unse baat karne yaha aagaye."

"Humari bacchi isswaqt aapko insab cheezon k baare mein nahi sochna chahiye..takht haasil karna aasan hain par uski zimmedari nibhana bohot mushkil.Aap isswaqt sirf uspe dhyan dijiye"she said caressing Haseena's cheek.
"Jeet ki bohot bohot mubarakbad."She congratulated her kissing her forehead and taking her in her embrace.

"Din bit te gaye..shahezaadi Haseena ki taalim bhi acche se chal rahi thi..aur unke liye Hafsa ki nafrat bhi din ba din badhti hi jaa rahi thi..
Haseena k beeswein janamdin par Badshah ne ek bohot bade jashn ka ailan kiya jismein har Pradesh k raja badshah aamantrit the..Badshah ne apne sabse karibi dost Maharaj Adityadev aur unke parivaar ko bhi bulaya tha.
Deewane-e-khaas mein shahezaadi apne saheliyon k saang baatein kar rahi thi jab Badshah ne unhe Adityadev aur unke bete se milne k liye bulaya..wahi pe paheli baar mile Anubhav aur Haseena."
———————
Precap: continuation of flashback..
———————
The past has started to unfold.What exactly had happened that destroyed a whole lineage,separated two lovers and imposed  a curse that is still there even after 150 years?
———————
Do vote and comment if you liked the chapter.
Thank You.

ANUSEENA-A Story Of Love, Betrayal And Reincarnation✓Where stories live. Discover now