Chapter 1.11 //:// Anubhav's Apology

1.3K 104 7
                                    

Kindly read previous chapter before reading this one.
____

Hassena was busy in file when her door bell rang. It was nearly 11 so her mother was sleeping.

Hassena ( in mind ): ye itni raat ko kon ho sakta hai? Pata nahi saab itni raat ko hi kyu ate hai, hamari link tut gayi. Chaliye dekhte hai kon hai?

Hassena opened the door and found Aarti on doorstep.

Hassena: are Aarti, itni raat ko?

Aarti: kyu nahi aa sakti kya?

Hassena: aaisi baat nahi hai, aau na, andar.

Aarti came inside and Hassena told her to sat on couch until she came back. Hassena came back with two cups of coffee.

Aarti: madam, coffee ki kya jarurat thi!

Hassena: jarurat kya thi matlab. Hamare yaha mehman ko chai coffee dene ka rivaj hai, tumhare yaha nahi hai kya?

Aarti: mera ye matlab nahi tha, mera matlab tha ki itni raat ko aap coffee kaise pete hai, neend aane mein problem nahi hoti kya?

Hassena: actually hume ek file complete karni hai isiliye. Par tum itni raat ko yaha, saab thik toh hai na?

Aarti ( while sipping coffee ): ha saab thik hai, par aap itni raat ko file complete karne kyu baith gayi? Itni physical aur mental training ke baad neend nahi aa rahi? ( Doubtful ) Sach bataeye kitni cup coffee pi chuki hai aap?

Hassena ( smiling ): aap sach mein hame bohot acche se samaj sakti hai Aarti. Aaj hum toh aapse bohot impress ho gaye. Kitne confidence ke saath aap hame aur hamari team ko train kar rahi thi? Achanak se itna confidence kaha se aa gaya. Jab pehli baar Mili thi academy mein tab aap aaisi bilkul nahi thi. Uske baad jab hum mission ke liye mile tab humne aapme ek positive change mehsoos kiya tha, lekin tab bolne ka mauka hi nahi mila.

Aarti: ye confidence mujhe Anubhav sir se hi mila hai, madam! Voh hamare Guru hai, unhone hame jis tarah se training di hai humare andar yeh confidence aa gaya

Listening to Anubhav's name Hassena's smile vanished and Aarti noticed it. Aarti put down coffee mug and held Hassena's hand.

Aarti: mujhe maaf kar dijiye madam. Voh flow flow mein hamare muh se Sir ka naam nikal gaya.

Hassena: koi baat nahi, Aarti. Tumhe maafi mangne ki jarurat nahi hai. Vaise tum yaha itni raat ko aayi ho kuch kaam tha kya?

Aarti ( while passing the envelope ): ha voh ye dene aaye the.

Hassena: kya hai ye?

Aarti: aap khud hi dekh lijiye. Accha aab hum chalte hai. ( Laughing ) already humne aapko itni training karvahi hai aab aapne senior ka aur time waste nahi kar sakte. Aab hum chalte hai.

Hassena ( chuckled ): tum jara Akash ke saath kam raha karo. Uski bimari tumhe lag gayi hai. Majak karne ki!

Aarti left and Hassena closed the door and studied the envelope.

She opened the envelope and found a letter for herself. She started reading the letter.

Hassena ji, hum jaante hai ki aap humse behad naraaj hai. Humne kiya hi aaisa hai. Aapne bohot Saha hai Hassena ji, pehle hamra dokha, fir hame bhool jane ka dard aur fir aapne hi chachaji ke khilaf....

Hum jaante hai hum apradhi hai aapke aur hum nahi chahte ki aap iss dukh ko fir se jhele. Aap bhale hi hamare pyaar ko accept na kare lekin kaam se kaam hame maaf karke hamre upar meherbani kar dijiye.

Hum jaante hai parso jo humne aapke saath kiya hum uske baad Maafi ke layak bhi nahi hai lekin hamari avastha ko najar mein rakhke aap hame maaf kar dejiye.

Aur yadi aapne hame maaf kar diya to aaj ke baad hum kabhi bhi aapko humari shakal nahi dekha enge, hamara vaada hai aapse.

Bhale hi mission ke liye humne aapka istemal kiya lekin kab aapse saccha pyaar kar baithe hume pata hi nahi chala. Aapne hume purn roop se badal diya hai Hassena ji.

Aapki vajah se aab hum logo ke bhavna ko adhik samman dene lage hai. Aap bhi desh ke liye kaam karte hai na, toh ek desh bhakt hone ke nate hi hame maaf kar dijiye.

Hum aab se kabhi bhi aapka bharosa nahi todenge.

Anubhav Singh.

Hassena completed reading the letter and had tears in her eyes. Suddenly her mother arrived in the drawing room.

Ammi: are Hassena beta, yaha kya kar rahi hai itni raat ko?

Hassena ( shocked  and fumbling ): voh hum Ammi, ha hum na file complete kar rahe the, isiliye aab tak soye nahi.

Ammi: har vakt bas kaam kaam kaam! Kabhi toh aram kar liya karo beta. Kabhi toh apni Ammi ki baat sun lo. Aaise toh tumhari tabiyat karab ho jayegi..

Hassena: ha Ammi! Abhi aap so jaye. Bohot late ho gaya hai.

Hassena made Her mother sleep and kept the letter safely in her private diary not before kissing it.

*****************************

Aarti was waiting in her car, when a lady entered the car.

Person X: kaam kaha tak hai?

Aarti: kaam abhi bhi chal raha hai, un logo train kar pana bohot mushkil hai. Mujhe ye samaj mein nahi aa raha ki aap ne Hassena Mallik ki team ko hi kyu chuna?

Person X: Hassena Mallik ki team kaisi hai yeh pata hai hame aur yeh bhi ki Hassena Mallik kitni hoshiyar police officer hai. Isiliye hamne unhe hi chuna.

Aarti: lekin Karishma Singh ka kya? Unke gusse se agar kuch gadbad ho gayi toh? Aur to aur unhe pura plan bhi nahi pata hai.

Person X: Karishma Singh ko kaise handle karna hai yeh Hassena Mallik ko bohot acche se pata hai Aarti. Isiliye tum chinta maat karo tum bass unhe acche se train karo.

Aarti: vaise action kab lena hai kuch andaja hai?

Person X: kal! Do teams mein ek Central City Club aur dusri team High Club.

Aarti: lekin aapne toh kaha ki do din aur wait karna hoga, aur aaj keh rahe hai ki kal hi attack karna hoga. Aur ye High Club mein kyu?

Person X: unhone pure sheher mein yeh khabar faila di ki jo kuch bhi hoga do din baad hoga jisse baki ke log bhatak jayenge aur rahi baat High club ki toh vaha bhi KDX ke ane ki shak hai mujhe, vaha bhi drug party hai. Dhyaan se suno, Commissioner sir ki bolo ki hame kal hi action lena hai. Voh sab handle kar lenge.

Aarti: thik hai, hum unse baat kar lenge. Aap safe rahe.

Person X: mujhe aab chalna chahiye varna koi dekh lega.

Aarti: Jai Hind!

Person X: Jai Hind!

****************************

Understanding and Trust ( Maddam Sir FF ) ✓Where stories live. Discover now