Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Book 2 , Chapter 6

1.4K 110 169
By frozenRose3112

aziat, musibat, malamat, balayen..!
tere ishq mein hum ne kya kya na dekha!!
kiya mujh ko dagon sarv-e-chiragan..!
kabhi tu ne aakar tamasha na dekha!!

Khuaja meer dard

**************************

" itni bari sachaayi aap ne hum se chuupaaui.,,.. mujhay yaqeen nahien hota....."

Zameen pe bethi wo abhi tak saktay ki si kefiyat main thi. Haadi ke Alfaaz uskay kaano'n main ab tak goonj rahay thay. Uska dil kharaaash lehja Aayat ke zameer ko challi kar gaya tha.

" Maine kuchh nahien chhupaaya..." Uskay mazeed kuchh bhi kehnay se pehlay doosri taraf se call kaat di gayi thi.

" maine kuchh nahien chhupaya... maine kuchh nahien .." Ghutnon ko apnay seenay se lagaaye wo baar baar ye dohra rahi thi.

Ye sub kya horaha hai , usnay to socha tha sub kuchh theek ho jaaye ga, usay phir Zindagi jeenay ka moqa mil raha tha, phir ye sub kya ho gaya....? Uski ummeed kyun rait ke ghar ki tarhaan bikhar gayi..!?

Kal uski dholki aur mehndi thi, itnay dinon main pehli baar wo pooray dil se muskuraayi thi. Aahista aahista wo apnay naseeb ko qabool kar rahi thi. Phir kyun khushion ki ek jhalak dikha kar usay phir se in gehray andheron main phaink diya gaya....?

Qudrat itni zaalim nahien ho sakti...?

" Aapi ammi ne to aapkay liye bohat achhay suits pasand kiye hain..aap ko..Aapi..!? Kya huwa..!?.." Zarish kamray main dakhil hotay hi apni dhun main bol rahi thi. Par jesay hi uski nazar saamnay Zameen par ghutnon main sar diye , khud main simti bethi Aayat par pari wo taiz qadmon se uski taraf barhtay fikar mandi se boli.

"Aapi kuchh kahain to , aap is tarhan...."

Zarish ki awaaz pe Aayat ne apni gardan utha kar , qarb Zadaa chehray se uski taraf dekha. Usay is tarhan dekh Zarish ka dil khuaf se jakar gaya.

" sub kuchh khatam hogaya Zarish... Mujhay pata tha mujhay khush honay ka koy haq nahien hai... koyi haq nahien hai.." Kamray main Aayat ki dar main doobi siskiyon ki awaaz goonj rahi thi. Aur Zarish ko kuchh samajh nahien aa raha tha ke aakhir huwa kya hai.

Zarish ne Aayat ke shaanon ko pakarte huway usay apni taraf dekhnay ke kiye mutawajja kiya.

" aap aisa kyun keh rahi hain..?aakhir huwa kya hai..?!" Zarish ko Aayat ki achanak aisi haalat khauf main mubtlaa kar rahi thi.

" Haadi.. Haadi ko meray baaray main kuchh pata nahien tha.... bhaai ne usay kuchh nahien bataya... par ab wo sub kuchh jaanta hai Zarish... wo samajhta hai maine jaan boojh kar us se sub kuchh chhupaya..." Aayat ka siskiyon se bura haal tha. Us ne ba mushkil poori baat bataayi thi.

Shock ki wajah se Zarish ko pairon talay se zameen nikalti mehsoos huwi. Uska chehra safaid par gaya tha.

" aisa kesay ho sakta hai..nmujhay yaqeen hai bhaai aisa nahien kar saktay... aap paraishan na hon , Zaroor koyi ghalat fehmi huwi hogi. Main abhi bhaai se poochhti hoon..." Zarish ne Aayat ko tasalli denay ki koshish ki par Aayat koyi bachi nahien thi jo behal jaati, wo achhi tarhaan se jaanti thi ke ye koyi aisi baat nahien thi jis main kisi ghalat fehmi ki gunjaaish ho.

Zarish wahan se uthti taqreeban bhaagti huwi kamray se bahar nikal gayi thi.

Aayat wahien Zameen par bethi ab khaamosh aansoo bahati rahi. Uski nazar apnay haath main rachi mehandi par pari.

" Aapki mehandi ne bohat gehra rung kiya hai... lagta hai aapkay honay waalay husband aap se bohat pyar kartay hain..." Mehandi lagaanay waali larki ki kahi gayi baat usay sunaayi di.

" meri mehandi ki tarhaan mera naseeb bhi bohat siyaah hai... ye sach main kesay bhool gayi..? kesay bhool gayi...?." Boltay huway usnay apna chehra apnay mehandi rachay haathon main chhupa liya aur phoot phoot kar ronay lagi.

**********

Pichhlay ek mahinay se wo na jaanay kitnay dinon se us se contact karnay ki koshish kar raha tha. Par har baar usay naakaami ka saamna karna parta.

Ab india ki itni bari aabaadi main Aditya naam ke kitnay Bunday hongay.. ? is tarhaan to usay poori zindagi dhoondnay par bhi kaamyaabi nahi milni thi.

Phir ek din bethay bethay usnay Mateen se Aditya ki cast ka poochha. Jis par pehlay to Mateen ne uskay sawaal ki wajah poochhi jis par Zoyan ne kuchh yun jawaab diya.

" umm... wo darasal.... main soch raha tha ke kahien tumhara dost Ambaani , birla family main se to nahien.." Zoyan ke  apnay kaanon ko hi Apni wajah ahmaqaana lagi thi.

Uskay jawaab par Mateen ne usay bagor dekha.

" achha theek hai... bus aisay hi poochh raha hoon.." Zoyan ne baat ko saada karnay ki koshish ki.

" Raathor.. Aditya Raathor." Batatay huway Mateen ke honto par fakhriya muskurahat thi. Jesay kabhi Aditya ke honto pe hoti thi.

Mateen se baat karnay ke baad ab masla tha ke "Aditya Raathor" ko kesay dhoond nikaalay,

aur phir ek din uskay dimaag main ek idea aaya , usnay aaj kal to Mateen ko social media use kartay nahien dekha, par har no jawaan ki tarhaan usnay bhi kabhi na kabhi to facebook zaroor use kiya hoga.

Is baar Mateen ne kuchh bhi poochhnay ke bajaaye usnay Facebook par Mateen ki id talaash ki. Aur khush qismati se usay Mateen ka Account, jo shukar khuda ka usnay delete nahien kiya tha , mil gaya.

Display pic main jo Mateen wo dekh raha tha , wo aaj ke Mateen se bohat mukhtalif tha. Jahaan aaj ke Mateen ka chehra sanjeedgi aur khaamosh tabiyat ki akaasi karta hai. Wahien Maazi ke Mateen ka chehra ek khush mizaaj insaan ka tha , har nojawaan ki tarhaan kisi bhi pareshani se aari , ek beparwaah shakhs , jis ke honton pe phaili itni bari muskurahat uski khushion ki gawaahi de rahi thi.

" ye kya ho gaya hai tumhain Mateen... mohabbat to maine bhi ki hai.., par jis shiddat se tum Aayat ke liye mehsoos kartay ho.. ye sirf mohabbat nahien hai.. ye deewaangi hai.., pagalpan hai ye... " usnay mayoosi se dil main socha.

Zoyan ne ek gehri saans li aur Zyada waqt zaaya na kartay huway Mateen ki friend list ko khangaalna shuroo kiya. Aur khilaaf e tawaqqa wahan larkion ki taadaat zyada thi. Jis par usksy chehray par udaas muskaan phail gayi thi. Usay club waali raat yaad aa gayi jahan Anita naami larki ki khuli flirting ke ba-wajood Mateen ne ek baar bhi usay barhaawa na diya. Balkay us se door jaanay ke bahaanay talaash kar raha tha.

" itni changing to mausam main bhi nahien aati , jitni main tum main dekh raha hoon..."

Do teen hazaar friends ki fehrsat ki inteha tak pohanchtay pohanchtay Zoyan ki  umeed bhi khatam ho rahi thi. Jis naam ki usay talaash thi , uskay ilawa naa jaanay kesay kesay naam mojood thay. par jesay hi uski nazar list ke aakhri naam par pari , uski mayoos aankhain khushi se chamak uthien.

Aaditya Raathor!!! Finally uski talaash to khatam huwi.

Achhay bhaai ka farz nibhana kitna mushkil hai..
Thandi aah bhartay huway usnay socha.

Zoyan ne bismillah karkay Aaditya ki Id se uska number haasil kiya aur dua ki ke ye number sahi ho, wesay uskay Account main share ki gayien posts se to lag raha tha ke wo ab bhi yehi account use karta hai.

Usnay zyada na sochtay huway Aaditya ka number dial kiya. Kitni hi bells ke baad bhi call attend nahi huwi. Aur call cut gayi. Par usnay haar na maantay huway ek baar phir redial kiya. Aur is baar doosri hi bell par call Attend kar li gayi thi.

" Hello.. Aditya speaking.."

" Hello.. main Zoyan baat kar raha hoon.. aapkay "best friend" , Mateen ka cousin.." Zoyan ne jaan-boojh kar best friend par zor de kar kaha tha. Uskay honton par tanziya muskaan thi.

.

********

" kya matlab tum inkaar nahien karna chaahtay.. main phone karkay unhain abhi bata deti hoon ke ab ye shadi nahien hogi...!main har giz aisi larki ko apnay betay ke sar par marhna nahien doongi...!!" Aaliya beghum gussay se taqreeban cheekhtay huway apnay bhaai se bolien thien. Aur apnay Bed par betha Haadi bilkul khaamosh tha.

" Aaliya ye izzat daar gharaanon ke tor tareeqay nahien hain.. kal shadi hai, aur in dono gharon ki izzat isi main hai ke jo kuchh huwa usay bhool jao.." Aaliya beghum ke baray bhaai Mueen sahab ne unhain narm lehjay main samjhaanay ki koshish ki.

" izzat daar gharaanay..? kis izzat daar gharaanay ki baat kar rahay hain aap bhaai..? izzat daar log itni bari baatain nahi chhupaatay.,! Aaj unka ye jhoot khula hai , kal shadi ke baad koyi doosra jhoot khul jaaye ga to!!..? !! Nahien ! Main ye shadi har giz nahien honay doongi... kisi aur ki utran main apnay ek lotay betay ke pallay nahien parnay doongi..! " Aaliya beghum ka har lafz tanaffur ( hate/disgust)se bharaa tha.

"Kisi ne sach kaha hai ke Aurat hi doosri Aurat ki dushman hoti hai." Aaj Aaliya beghum ke har lafz se ye baat sach saabit ho rahi thi. Mueen sahab ne apni behen ki taraf heraani se dekhtay huway socha tha.

" ammi Please.." Itni dair main Haadi pehli baar bola tha. Wo khud abtak shock se bahar nahi nikla tha. Ye soch ke Aayat pehlay kisi aur ki ho chuki hai, uskay dil main Aayat ki jagah ko kamzor kar rahi thi. Par iska matlab ye nahien ke wo Aayat ke khilaaf aisay alfaaz sun sakta hai.

" nahien Haadi! agar tum soch rahay ho kay tum itni bari sachaayi jaannay ke baad bhi us larki se shaadi karo ge, to ye sun lo , main aisa hargiz nahien honay doongi...!!"

" Aaliya!... Bus bohat huwa!! kuchh dair ke liye khaamosh ho jaao.." Mueen sahab karakht ( harsh) lehjay main bolay. Jis par Aaliya beghum daant peestay huway khaamosh ho gayien. Aur Mueen sahab ab Haadi ke saamnay kharay hogaye.

" Haadi.. kya tum ab bhi Us larki se shadi karna chaahtay ho..?"

Kya wo Aayat se shadi karna chahta hai..? Haan... nahien...
is sawaal ka jawaab wo khud talaash nahien kar paa raha tha. .

" mujhay kuchh samajh nahien aa raha Maamu ..."

" hmm.." Mueen sahab uski kashmakash se waaqif thay.

" bhaai sahab wo.."

" Aaliya..!!" Mueen sahab ne Aaliya beghum ki baat poori honay se qabal hi unhain sakht lehjay main tok diya tha. Aur phir dobara Haadi se mukhatib huway.

" phir ye batao... agar kal ko tumhaari shadi is larki se ho jaati hai.. To kya tumhain lagta hai ke tum usay wo izzat aur maan de saktay ho, jiski har larki haqdaar hoti hai..? apnay dil main is sawaal ka jawaab talaash karo"

Mueen sahab ke sawaal ne usay sochnay par majboor kar diya tha, kya wo Aayat ko phir us nazar se dekh paaye ga, jesay wo uski sachaayi jaannay se qabal dekhta tha.. ? Kya wo Aayat ki itni bari sachaayi ko bhool kar uskay saath ek khushaal zindagi basar kar sakta hai..? Aur uskay in sawaalaat ka jawaab tha....

" Nahien..." Haadi ne halki sharminda awaaz main jawaab diya tha.

Mueen sahab udaas muskurahat liye Haadi ki sharam se jhuki gardan ko dekh rahay thay. Un dono ko apna jawaab mil gaya tha.

" Aaliya kal phone karkay unahain apnay faislay ka bata dena.." Mueen sahab ne Aaliya beghum se kaha.

Haadi ko apni aankhon ke por bheegtay mehsoos huway. chaahtay huway bhi wo Aayat se shadi karkay un dono ki zindagi kharaab nahien kar sakta tha.

Usay apna sub kuchh lut'ta mehsoos ho raha tha. Wo khud ko us pyasay insaan ki maanind mehsoos kar raha tha, jo shadeed pyasa hai, par peenay ke liye sirf zehar ka pyala hai..

agar piye to mar jaaye , aur na piye to pyasa mar jaaye.

************
************

Mateen Fehmida beghum ke kehnay par bahar living room main sub ke saath aa kar betha tha.

Murad Sahab aaj bhi office gaye huway thay. Zoyan ko fehmida beghum ne kahien bahar jaanay se ye keh kar mana kar diya tha ke wo aaj ka din bahar guzaar kar apna gora rung kaala na karay , jis par sab ki hansi ke bawajood Fehmida beghum ne apna hukum waapis lenay se inkaar kar diya. Aur ab wo apnay kamray main na jaanay kya kar raha tha.

Idrees aur Hydrabad se aaye baaqi cousins apni shopping ke liye gaye huway thay. Aur choonkay Mateen ko kisi cheez ki zaroorat nahien thi. To usnay jaanay se maazrat karli thi.

Fehmida beghum aur wahan mojood sub larkian mehandi lagaanay main masroof nazar aa rahien thien. Siwaaye ek larki ke, jiska naam to usay pata nahien tha , par wo bhi Zoyan ke nanheyaal ki taraf se cousin thi. Wo mehandi ke bajaaye gaahay ba gaahay Mateen ki taraf dekhnay main masroof thi.

Mateen ne kayi baar usay apni taraf dekhtay paaya tha. Aur jesay hi Mateen ki gair iraadi nazar us se takraati wo sharmaati hont kaat'ti apni nazar jhuka leti. Aur Ye sub Mateen ko apnay Idrees ke saath naa jaanay ke faisly par afsoa karnay par majboor kar deta.

Wo Larki Mateen ki taraf garvidaah thi. Aur ye baat Mateen ko pareshan kar rahi thi. Wo phir kisi ki dil azaari ka sabab nahien banna chaahta tha.

Aisa nahien tha ke wo larki khoobsurat nahien thi. Dark brown hair, safaid rungat aur naazuk naqoosh liye wo larki , bila shuba wahan aaye doosray larkon ki tawajja ka markaz thi. Par Mateen ko us main koyi dilchaspi nahien thi, kyunkay wo larki wo nahien thi jiska garvidaah wo tha, jiski ek jhalak pe uska dil apni lai se hat kar dharak uthta tha... kyunkay ye larki uski Aayat nahien thi. Is liye uski khoobsurti Mateen ko apni taraf kheenchnay ke liye na kaafi thi.

Uski Aayat... kesay be iraadi Aayat ke naam ke saath wo "uski" soch leta hai...

Uski Aayat jo aaj raat kisi aur ki honay jaa rahi hai.

Mateen ko apna dil muthi main qaid hota mehsoos huwa. Ba wajood laakh koshish ke wo ye sachaayi qabool nahien kar paa raha tha. Paanchh saal wo pachhtaaway main , us se door reh ke saansain le sakta hai.

Par apni aankhon ke saamnay Aayat ko kisi aur ka hotay dekhna...

nahien.... itni bardaasht nahien hai usmain.

Shadeed dard uski rago pe main gardiah karta uskay dil ko tarpa raha tha. Aur wo be bus khara sirf khaamosh dekh sakta tha.

Na wo Allah se Aayat ko maang sakta tha.. Aur na hi usay kisi aur ka hotay dekh sakta tha. Itna dard kyun hai uskay ishq main... kyun...! Kaashh uska wajood is dard se mit jaaye...

Apnay aas paas ke maahol se gaafil ho kar usnay Kuchh pal ke liye apni aankhain moond ke gehri saans li taakay apnay machaltay dil pe qaabu paa sakay , par kuchh lumhon baad bhi seenay main wahi dard uski rago pai main gardish karta raha.

" Mateen..?.." Fehmida beghum ki fikarmund awaaz par Mateen ne aankhain kholi aur apnay saamnay pareshan khari Fehmida beghum ki taraf dekha. Aur tab usay ahsaas huwa ke wo is waqt kitnay logon se ghira hai. Aur sub ki heran aur fikar mund nigaahain usi ki taraf thien.

" beta tum theek to ho.. tabiat theek hai..!? " fehmida beghum ko dekh kar aisa lag raha tha jesay wo abhi usay apnay seenay se laga lain gi.

"Main theek hoon chachi.. bus sar main thora dard ho raha hai, aur kuchh nahien. " Mateen ne halki muskurahat ke saath keh kar unhain mutmaeen karnay ki koshish ki. Par Fehmida ke taasuraat se zaahir tha ke wo uskay jawaab se mutmaeen nahien huwien.

" main abhi idrees ko phone karti hoon..."

" Chachi aap pareshan mat hon , main theek hoon.., thora aaraam karoon ga to sham tak fresh ho jaaoon ga.." Mateen ne wahan se uthtay  kaha.

" theek hai.. tum jao Aaraam karo.. main tumharay liye tablet le aati hoon.." Fehmida beghum ko na chaahtay huway bhi uski baat maanni pari.

" nahien chaachi tablet ki zaroorat nahien hai..naap apni ye.. uh.." Mateen ne unkay haath pe lagi mehandi ki taraf ishara kiya.

" Mehandi! " Fehmida beghum ne muskuratay huway bataya. Jis par wahan mojood larkion ki khee khee ki awaazin aayien.

" jee .., Mehandi continue rakhiye.." Mateen ne muskuratay huway kaha. Aur wahan se apnay Room ki taraf jaanay laga. Par jesay hi fehmida beghum ki taraf uski pusht huwi, do pal pehlay aayi uski muskaan uskay honto'n se istarhaan gaayab ho gayi , jesay wahan kabhi thi hi nahien. Bilkul Aayat ki tarhaan jesay wo uski zindagi main ek khuaab ki tarhaan aayi ..,phir subha ki kiran ke saath hi usay tanha, tarapta is tarhaan chhor gayi, jesay wo kabhi aayi hi nahien thi.

************

Continue Reading

You'll Also Like

77.1K 3.9K 74
Aab e hayat in roman Urdu. All rights are reserved to the authors. I am just trying to make the novels reach the audience who'll love to read this no...
169K 9.8K 9
Hamdaani Heirs #3 The story of Furqaan and Aamaal. How fate brings them together in bleak circumstances. The storms they brave. How a lover's wait i...