Part 25

46 2 0
                                    

Scene change

Udayveer brings Manyata's diary to her room

Manyata takes diary from Udayveer

Udayveer says chalein Manyata

Manyata says chalo

Udayveer and Manyata reached orphanage and did some charity.

Manyata played with the kids while Udayveer watched.

After sometime they came back to devgarh palace.

Manyata's mood was off.

Udayveer says gussa aa Raha hai. Humein bhi. Par tumhein pata hai kya Manyata tumhare aur humare gusse ke beech Jeet hamesha humare gusse ki hogi. Toh apna mood jitni jaldi ho sake theek kar lo.

Everyone welcomes Udayveer and Manyata.

Manyata excuses herself to go to her room.

Manyata's room

Manyata was pacing here and there in her room when Unnati came.

Manyata says Mera toh mann kar Raha tha ki Udayveer ka sar deewar pe de maaru. Usse dekh ke mujhe itna gussa aata hain na ki kya bataou mein.

Unnati says oh Manyata ab dada ne kya kiya.

Manyata says mujhe apne saath le Jane ka koi bhi mauka nahi chodta voh.

Unnati says Manyata shaant ho jao. Kahin gusse mein tum kuch Aisa vaisa mat kar dena. Tum kuch karogi phir uska jawab Dene ke liye dada kuch karenge. Aisa toh nahi chal sakta na saari zindagi.

Manyata says toh mein kya karoon Unnati. Uday se kaise peecha chudaoun?

Unnati says agar tum unhe ulte jawab na do, unhe tang na karo, unki izzat Karo toh shayad woh tumhara peecha karna chod dein.

Manyata says acha theek hai mein Aisa hii karti hoon.

Next day

Manyata is eating Udayveer's favourite breakfast and Udayveer enters the devgarh palace.

Udayveer says tumhein tumhari diary kya waapis mil gayi yahan ka toh Mausam hii badal gaya. Knife aur kaante se khana kha Rahi ho.

Manyata says ab tumhein toh cheed far ke nahi kha sakti toh isiliye socha ki tumhare favourite breakfast ko hii cheed far karke khaon.

Udayveer says princess kya baat hai aaj bada pyaar aa Raha hai hum par. Toh kyun na iss pyaar ka faida uthaya jaye. Kyun na hum aur tum kahin bahar chalein lunch PE.

Manyata says Haan chalte hain. Par hum na Unnati ko bhi saath leke jayenge woh kya hai na Aaj ka poora din meine uske saath bitane ka plan banaya tha.

Udayveer says kya baat hai princess humne tumhein lunch PE invite Kiya aur tumne be jhijak Haan bol diya. Kuch toh gadbad hai.

Udayveer starts checking Manyata's mobile phone

Udayveer says tumhein kisi ka message bhi nahi aya. Akhir tum ajeeb bartaav kyun kar Rahi ho princess.

Manyata says yeh saari baatein hum baad mein karenge. Ab mujhe Unnati ke paas jaana hai.

Manyata leaves

Jainandini comes and says yeh zaroor kuch bada plan kar Rahi hai. Something really big. Isn't it?

Scene change

Manyata comes to Rajmata's room and says good morning daadi Saab

Rajmata says good morning Manyata

Manyata says mein aapko kal ki patangbazi ke liye aur inaam ke taur pe Udayveer ko meri diary waapis Dene ko kaha iske liye thank you bolne ayi hoon.

Rajmata says iss mein thank you kaisa. Humein toh Khushi hai ki aap dheere dheere parivaar ka hissa banne ki koshish kar Rahi Hain. Sach kahein toh kal makar sankranti mein raunak aap hii ke vaje se thi.

Manyata says sach bataiye daadi Saab aapko bhi kal maza aya na?

Rajmata says beta devgarh mein har teej tyohaar itne hii Dhoom dhaam se manaya jata hai. I am sure jab aap devgarh jayengi toh aapka Mann hii nahi karega Laut ke aane ka.

Manyata says acha Aisa kya hota hai devgarh mein tyohaaron ke wakt  mujhe bhi bataiye na aur yeh bhi ki wahan ki makar sankranti ka sabse zyada kya yaad aata hai

Rajmata honestly kahen toh aapko dekh kar humein humara bachpan yaad aata hai and continues to tell the about makar sankranti in devgarh while Manyata listens.

Komal comes and gets shocked to see Manyata and says Manyata

Manyata says shhhh daadi Saab devgarh ki mast mast kahaniyan suna Rahi Hain. AAP bhi aiye na

Rajmata says yeh koi kahani nahi hai beta sach hai. Aapki aur hum sab ki zindagi ka sabse bada sach. Jis din humne aapko khoya tha USS din humein Aisa laga ki hum sabki zindagi se roshni hii chali gayi. Aapke jaane ke baad kisi tyohaar mein voh raunak hii nahi thi, kisi mithai mein mithas nahi Rahi, kisi Khushi mein rang nahi rahe. AAP humari pehli poti thi aapke Bina sab pheeka pheeka tha.

Manyata says but ab toh mein aa gayi hoon na dekhna saare tyonaaron mein phirse maza aiyega aap sabko. Hum chalte hain daadi Saab, mumma humein Unnati se milna hai.

Manyata leaves the room






Manveer FFKde žijí příběhy. Začni objevovat