वफादारी वो कुत्ता लेके आया था: Wafadari Wo Kutta Leke Aaya Tha
Copyright@2012 Raja Sharma
Ek tukda muhn mein
Baki haath mein dabaya tha
Wo roti jo jaan thi uski
Gali ka kutta leke aaya tha
Li thi jab uske muhn se
Na bhonka na guraya tha
Awargi ka sathi tha bejuban
Dosti ka farz nibhaya tha
Kal raat us masuum bacche ko
Amiri ki dawat ne lubhaya tha
Hath failaya mangne ko jab
Ik insan ne dhaka lagaya tha
Bejubaan ne dekha ye sab
Tab wo jor se guraya tha
Apne yaar ko hasane ko wo
Ik roti chura ke laya tha
Main to bus ik darshak hun
Sirf ankhon mein pani laya tha
Kya gujri hogi uspar jisne
In dono ko banaya tha.
Kya insan ke bante samaye
Koi jaljala sa aaya tha
Ya jo insan ke hisse na aayi
Wafadari wo kutta leke aaya tha?