Aao Hum Pyar Karte hain: आओ हम प्यार करते हैं

241 2 0
                                    

Published on Sep 9, 2012 by Raja Sharma

Aao Hum Pyar Karte hain: आओ हम प्यार करते हैं

Wo tijarat karte hain
Yeh hajoori karte hain
Hume kuch kaam nahin
Aao hum pyar karte hain

Wo paise kamate hain
Yeh paise lutate hain
Hume roti ka dhyan nahin
Aao hum pyar karte hain

Wo aakash mein udte hain
Yeh samandar mein jate hain
Hume najaron mein hai yakeen
Aao hum pyar karte hain


Wo kitabon mein dube hain
Ye likhte hi jaate hain
Hume lamhon ko jeena hai
Aao hum pyar karte hain

Wo taamil karte jate hain
Yeh saaman jutate hain
Hume fakiri mein hai masti
Aao hum pyar karte hain

Wo shahron ko jaate hain
Yeh pardesi ho jaate hain
Hume to gaon bulate hain
Aao pyar karte hain

Wo maye mein mast hain
Yeh roj ladkhadate hain
Hume to janaat ka nasha hai
Aao hum pyar karte hain

Wo apne khate badhate hain
Yeh auron ke khate ghatate hain
Hume rab ke khate pe yakeen
Aao hum pyar karte hain

Wo paise ko ijat kehte hain
Ye ijat ko paisa kehte hain
Hume log insaan kehte hain
Aao hum pyar karte hain


Wo dikhane ko milte hain
Ye pyar ke hisab ginte hain
Hume hisab aata hi nahin
Aao hum pyar karte hain.

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Sep 10, 2012 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Aao Hum Pyar Karte hain: आओ हम प्यार करते हैंजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें