Yaadein

68 5 3
                                    

Yaadein

Ayi thi yahaan ek yaad ko bhulane,
Shayad isi liye dhoond rahi thi tumse bhaag jaane ke bahaane.
Woh yaad ban chuki thi ek aadat zindagi mein,
Aur us aadat ko naam ek dard si bhari mohabbat deh chuki thi mein.
Par yaadoon ki jaga mitadi thi meri dil ne,
Dil maujood tha bhi mere paas?
Bhool chuki thi mein.

Tumhare liye yaad kaanch se judi kamzoori thi,
Shayad isi liye humari zindagiyoon mein jazbaatoon ki kami thi.
Nahi bardash hui humse
Yeh kahaaniyaan kuch meethi si,
Jinme dikhayi di hume sirf humari purani yaadein, theekhi si.

Teh kar liya tha Maine,
Paas ane na donghi tumhe.
Ek yaad ko bhulana mushkil tha,
Tumse rishte ki kya saza degha yeh dil mujhe?

Par shayad tumhare dil ne samaj liya mere dar ko,
Aur bina ijazaad le liya apne khud ke sar
mera bhoj,
Apna liya tumne meri purani zid ko,
Chori chori ban gayi meri akeli kooshish ab saath hamari,
Aur ek yaad ko bhulane ke badle mein,
Dosti ke naam sau baatein ho gayi awaari.

Dil ek bar phir pukarne laga kisi ko,
Chup karne ki bohot kwahishein ki maine,
Par jitna mana mei karti,
Utni hi tez meri dhadkhan aur barti.

Woh tha kaun? maine pucha is dil ko,
Jis ke liye woh tha itna bechein,
Dil ne kuch nahi bola,
Par jab bhi tum samne aate,
Chupke se dil dola.

Demaag ne kahaan ke dil toh bhudhu tha,
Dard ke baad bhi,
Tumhe Dekhte hi bharose ki khali umeed le aya.
Ahista ahista,
Aadat ban gaye tum meri.
Aur is bar aadat ke naam par dard gayab tha,
Sirf dil zhoor se gungunayaan.

Tha kya yeh? Maine dheemag se pucha,
Pehle bahaane yadoon se dhoor jane ke liye theh.
Abhi bahaane tumhare paas ane ke liye theh.
Baatein, mulaqaatein, aur ek dhusre ki aankhoon mein dheere se kho jaane:
Pehle soch thi thi bakwas hai yeh sab,
Ab mangti duayein ek bar phir se tumse milne ke, rab.

Aur us upar vale ki vaja se,
Jhora kisi ne mere dil ko,
Ek ek kar ke tumhare kaanch ke tukroon ko utaya maine,
Aur jodne lagi apne dil ke surakhoon mein.
Yaadein vapis aati gayi,
Par is bar unme tumhari mohabbat maujood thi,
Chali Gayi thi zindagi se,
Woh aadat jo kamzoori ban chuki thi meri.

Sikhayaan mere dil ko tumne,
Rishtoon ki bholi taqdeer.
Dekhne lagi khuli ankhoon se sapne phir se,
Jaag chuki thi ek khoi hui umeed.

Naya naya sa tajarba tha yeh,
Lagta tha lekhin
Saalon se tum mere hi dil ka khoya hisa le kar jee rahe theh.
Ab jab mulaqaat ban gayi dosti se kuch ziadaa,
Tumhe khone ki himaath nahi thi mere paas,
Dil se kar liya tha kush-naseeb yadoon ka tumne vada.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jan 05, 2019 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Phir Kabhi...Nahi; Urdu PoetryWhere stories live. Discover now