Abadi Mohabbat ek dilchasp kahani hai jo main leads ke utar-chadhav aur mohabbat bhari zindagi par mabni hai. Ye do logon ki ek dil ko chu lene wali kahani hai, jin ki zindagiyan bachpan se ek dusre ke saath judi hui hai. Jaise jaise wo bade hote hain, galat fehmiyan aur chupe hue jazbaat unke darmiyan faaslay paida kar dete hain. Raaste me khandani masail aur achanak samne aane wali mushkilaat unke safar ko aur mushkil bana dete hain, unke rishte aur hausle ko aazmate hain. Lekin taqdeer baar-baar unhein ek dusre ke samne le aati hai. Ye kahani hai mohabbat, nafrat, aur uss taalluq ko pehchanne ki jo itna mazboot ho sakta tha, iska unhein andaza bhi na tha. Kya wo ek dusre tak phir wapis aa sakenge, ya unke faaslay hamesha barqarar rahenge?
Troupes: Arrange Marriage, Childhood Sweethearts, Age Gap (5years), Opposites Attracts, Enemies To Lovers, Protective Hero And Fated Love.
**Note:** I don't write mature stories. So, if you're expecting explicit romance, kindly reconsider reading this book. I'm an old-school person who appreciates pure, classic romance from the 80's.
Checkout English Version Of This Book: Eternal Love.
Zindagi ke safar me insan kab kisse takra jae pata nahi chalta Amyra Sikandar bhi nahi jaanti thi ke uska safar use kahan le jae ga...
_______
"Thori der ke liye tumhe meri har baat per sar hilana ho ga jaisa main kahun ga tum sar hilayi jao"
"No main kisi ki baat pe sar nahi hilati"
"Agar yahan se nikal na hai to meri baat mano!"
Uski sakhti per usne behes karna chahi magar kar na payi.
_________
"Tumhe apni manzil pe pohonchna hai aur mujhe is sab jaan churwani hai aur maze ke baat yeh hai ke hum dono ke paas is drame ke ilawa koi option nahi"
"Tum khiske hue ho ya waise hi bakwas kar rahe ho? NIKAH KA KEH RAHE HO TUM"
Woh beyaqeeni se use dekhtu reh gayi aur woh bezaar sa wahan khara raha.
__________