Chapter 7

28 4 1
                                    

“Acha mumani mein chalta hoon”

Zayan bistar sy uthʼtay hue kehta hai.

“Arey, khana to kha kar jao”

Haleema zayan k peechay chaltay hue sehan tak atay hue kehti hai.

“Nahi mumani, mujhy kuch kaam hain. Phir kabhi aoun ga”

Wo darwaza kholta hai aur bahir chala jata hai.

“Nayab mein chalti hoon, bohat dair hogai hai. Phone off na karna mein tumhy call karoon gi”

Anmol nayab ko mukhatib karty hue kehti hai aur apna bag utha kar kamray sy nikal jaati hai.

Wo apnay bistar mein jesy wo 1 ghantay pehly baithi thi wesy hi bethi kisi soch mein mehav hoti hai k achanak darwazay par dastak hoti hai.

Haleema darwaza kholty hue apny qadam ahista sy kamray ki taraf lati hai aur nayab ko mukhatib karti hai.

“Apnay kapray nikaal lo subah k liye”

Wo apni bari bari chamkti hui ankhoon sy unhain dekhti hai aur hairani k aalam mein pochti hai.

Wo kis liye?

Kal tumhara audition hai na to uski tayari bhi to karo, aesy kia mou latkaye bethi ho?

Haleema ka yeh kehna tha k wo khilkhila k muskurayi aur uski ankhoon ki chamak gehri hogayi.

“Ammi aap.. Aap maan gai? Mujhy.. Mujhy yaqeen nahi araha. Mein apka kesy shukriya adaa karun, ammi mein bohat khush hoon, bohat zyada”

Haleema us k pass beth'ti hai aur usko seenay sy laga leti hai aur achanak dono ki ankhain bheegny lagti hain.

“Beshak maa chahy jitni bhi sakht dikhay lekin andar sy uska dil mom ki tarhan narm hota hai. Duniya mein koi bhi shakhs itna pyaar nahi kar sakta jitna maa apny bachon sy karti hai. Maa ki mohabbat khaalis hoti hai, bina kisi gharz bina kisi matlab kay”

Ammi mera red wala dupatta nahi mil raha, mujhy dair horahi hai. Audition walon ka baar baar phone araha hai.

Nayab jaldi kay alam mein pooray ghar ko sar par uthaya hua tha. Aaj lag raha tha k pehly wali nayab phir sy us ghar mein udham macha rahi thi jesy wo pehlay machaya karti thi.

Pehly nashta to karlo, mein dhund deti hoon.

Abrar dining table par newspaper pakray musalsal muskura rahy thy.

“Baba pass the jam

Abrar apni glasses ko halka sy neechay ki taraf karty hain nayab k chehray ki taraf dekhtay hain jo is waqt khilkhila raha tha. Kafi dair baad abrar ny apni beti nayab ko phir sy itna khush dekha tha.

“Sure beta”

Abrar musalsal muskurahat k saath jam nayab ko pass karty hain.

Yeh lo tumhara red dupatta.

Itni dair mein haleema apnay haath mein us ka red dupatta liye uski jaanib khari thi jisko wo pichlay adhay ghantay sy dhoond rahi thi.

Yeh kahan sy mila aapko? Mene to pooray kamray mein dhonda tha magar nahi milaa.

Nayab dupatta pakartay hue hairani sy pochti hai.

Saamny hi para hua tha. Tumhari aankhain hain ya button?

Haleema awazar hotay hue kehti hai.

Wo bread ka slice khatay hue chai ka sip letey hai phir apna bag pakarti hai aur sheeshay k samny khari ho kar apna dupatta set karnay lagti hai.

Ammi abba mein jaa rahi hoon, dua kijiye ga kay select ho jaoun mein

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Ammi abba mein jaa rahi hoon, dua kijiye ga kay select ho jaoun mein.

Wo apna slice khatam kartay hue darwazay ki taraf barhti hai.

Haleema aur abrar usko dekh kar muskurany lagtay hain.

Wo ab audition room mein apni performance dy rahi thi. Achanak audition room ka darwaza khola aur nayab apnay chehry py aik bari si  muskan liye room sy bahir aati hai. Final Result shaam mein bataya jana tha lekin nayab ko uski is qadar appreciation sy andaza hogaya tha kay wo select ho jaye gi.

Zayan yaar abhi tak to koi call nahi aai. I guess they didnʼt selected me.

Wo audition dey kar khushi khushi ghar aai thi, wo waqai bohat khush thi magar jesy jesy din dhalta gaya uski khushi preshani mein badalti gayi. Ab shaam ka waqt tha aur nayab apnay bistar par deewar sy sar tikaye zayan sy mayoosi k alam mein baat kar rahi ti.

Donʼt be sad. Mein jaanta hoon tum zaroor select hogi aur jesy tumny bataya k wo log tumhari performance sy behad khush thy to phir tension wali kia baat hai? Tum phone band karo shayad wo tumhy call kar rahy ho aur tumhara number busy ja ra  ho.”

Wo apnay takiye par sar rakhy  phone kaan sy lagaye apnay kandhay uchkatay hue kehta hai.

Line kat jaati hai.
Hello? Yes, nayab speaking. Yeah sure.

Phone kay dosri taraf sy awaaz aati hai

“YOU ARE SELECTED FOR YOUR FIRST DRAMA MISS NAYAB”

Nayab kay hont jo is waqt nervousness ki wajah sy musalsal kamp rahy thy achanak khushi sy be ikhtiyaar muskurany lagay.

Thank you.

Nayab bol na saki lekin wo apnay aap ko sambhal kar boli.

Weʼll give you the details later.

Phone band ho jata hai.

Kamray mein mukamal khamooshi k baad aik cheekh ki awaaz aati hai.

Wo kamray sy bahir uchalti hui jaati hai aur apni ammi k galay lag gayi, wo be ikhtiyaar muskura rahi thi. Wo waqai bohat khush thi.

Abu Ammi mein drama k aik character k liye select hogai hoon.

Haleema aur abrar uski khushi mein behad khush thy.

Achanak nayab ko zayan aur anmol ka khayal aya. Wo bhaagti hui apnay kamray mein gai aur apnay phone sy zayan ko message kiya

“I AM SELECTED”

Wo anmol ko phone karnay hi wali thi k anmol ka phone agaya.

“Iʼm selected Anmol.”

Wo intehayi khushi k alam mein anmol ko batany lagi.



आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Jan 25, 2021 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

KHAWAHISHजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें