Chaapter 1: Mera Naseeb Hai Woh Saamne

1K 53 69
                                    

* flashbacks are in bold.

'Kya museebat hai yar, itni dheir pins laga di hain us parlour wali ne, utar hi nahi raha ye dupatta.'
Wo qadrey oonchi awaaz main khud se baatein kar rahi thi, ke achanak ander koi dakhil hua. Wo uske abbu Afzal Mehmood they.
' Tayar hogai meri beti.'
Unke chehre per muskurahat thi, lekin ankhen namm thin, beti ki judai par aansu aa hi jate hain.
Jisko chalna sikhaya tha aj usko akhri baar ghar ki dehleez paar karwane ka waqt aa gaya tha aur unhe yun mehsoos ho raha tha jese unse koi unke jigar ka tukra cheen raha hai. Saari umar unhone apni beti ko seene se laga kar rakha tha aur aaj wo use kisi aur ke hawale karne jaa rahe they to apne jazbaat per qabu rakhna mushkil hogaya tha.

Wo uske qareeb aye aur uski peshani choom li.
' Duniya ki sabse haseen larki hai meri beti, kitna lucky hai Sikander ke usko tum jesa heera mila hai. Ma Sha Allah.'

Uss ke dil main aik phans si reh gayi ye sab sun'ne ke baad. Kahin na kahin wo bechain thi. Usne in sab baton ke jawaab mein kuch na kaha. Bas apne dil main yehi soch payi
" Abba aap mujhe bohat yaad ayein gey."

__________
' Nawal yaar, kya jaldi pari thi wese tumhe shaadi karne ki, abhi to graduation bhi nahi hui hamari.'
Meena ne apni best friend ko chiartay huey kaha. Usko yakeen nahi aa raha tha ke uski woh saheli jisko usne bachpan se le kar ab tak har lamhay qareeb paya hai, wo aaj kisi aur ke ghar jaa rahi hai.

' Meena chup karke betho gi tum, agey hi main itni nervous hun. Pata nahi Ahmed kahan rehgaye hain, poore 5 minute uper hogaye hain arrival time se.'

Meena beikhtayar khilkhila kar hass pari.
' Seriously yar, 5 minute?!? Kitni jaldi hai tumhe jane ki bhai, tobah. Ajate hain Ahmed Bhai.'

Theek das minute baad dhol walon ki awazen tez hone lagin aur shenayian bajne lagin. Nawal ka nikkah uske ghar par hi rakha gaya tha aur is moqey par lawn ko khubsurat barqi qumqomon se sajaya gaya tha. Har saraf khushi ka saman tha.

' Oye hoye, aa gaye hain behnoi jee

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

' Oye hoye, aa gaye hain behnoi jee. Khushi check ki hai unki.'
Meena ne haste huey kaha aur sofe se khari hogai.

Wo bhaagti hui apne behnoi ke pas gayi aur kaha,
" Behnoi jee, hamari behan toh buhat machal rahi hain apse milne ke lie lekin ham bhi aise kese jane dein apko, jayei pehle nikkah khwan ke paas. Jayei jayei.'

Usne Ahmed ka haath pakar kar lawn ke doosri taraf mor diya tha. Ali Meena ki nature se bakhoobi waqif tha, usko pata tha jab wo kuch kehdeti hai to kar ke hi chorti hai lehaza us ne ager mager main time zaya karne ke bajaye uski baat maan li.
' Kya yaaar Meena.'
' You're welcome.'

Idher se udher bhagti dorti, athkheliyan karti meena sab ki aankh ka tara thi.
Door khara koi us ki harkaton se mehzooz ho raha tha. Achi, fun loving si thi woh.

Ahmed Bhai ko nikah khwan ke paas bitha kar wo Nawal ka purse lene gayi, wo bewaqoof use kamre main hi bhool ayi thi.
Tezi ke sath bhaag rahi thi ke ja ke dharam se aik mazboot shaks ke sath ja ke takrayi aur uske haath main pakra hua juice ka glass usi ki sherwani par gir gaya.

Chiragh Taley SaweraWhere stories live. Discover now